Aaja Mere Hussain (Anjuman e Masoomeen)

Aaja Mere Hussain
Aaja Mere Hussain

Tu Chand Hai Mere Ghar Ka
Tu Phool Hai Is Aangan Ka
Tu Is Dil Ki Hai Dhadkan
Tu Noor Hai In Aankhon Ka
Teri Yaad May Tadpun Din Bhar
Jaagun Mai Saari Rayn
Aaja Mere Hussain ...

Kya Chakki Pees Ke Beta
Is Din Ke Liye Tha Paala
Khanjar Hai Galay Par Pyase
Manzar Ye Dehun Kaise
Ahmed Ka Nawasa Hai
Ye Beta Hai Mera Hussain
Aaja Mere Hussain ...

Ghar Baar Luta Kar Dekhun
Ye Haal Bhi Dilbar Dekhun
Tu Tanha Khada Hai Ban May
Ujdi Hai Kook Is Ban May
Chaale Hai Mere Is Dil Par
Ashkon Se Tar Hai Nayn
Aaja Mere Hussain ...

Khoon Roti Hai Ye Dukhiya
Bebas Hai Kitni Mamta
Mehshar Ka Hai Ye Manzar
Sajde May Sar Aur Khanjar
Lillaah Rehm Tu Karna
Kaunain Huwe Bechain
Aaja Mere Hussain ...

Be-Aab Na Zibha Kar Tu
Allah Se Kuch To Darr Tu
Kya Soch Ke Tu Badta Hai
Zehra Ka Ye Fidya Hai
Kyun Arsh Ko Tu Dhaata Hai
Khudrat Ke Hai Ye Bain
Aaja Mere Hussain ...

Dil Par Hai Udaasi Chaayi
Baalon Se Maqtal Jhaadi
Beenayi Gayi Hai Maa Ki
Tooti Hai Kamar Bhi Meri
Ye Din Bhi Kaisa Aaya
Haider Ke Noore Ain
Aaja Mere Hussain ...

Khanjar Ko Chalta Dekha
Pyase Ko Tadapta Dekha
Baakhi Hai No Koi Ghar May
Meri Dunya Luti Pal Bhar May
Beemar Bacha Kunbe May
Thay Maa Ke Shor O Shain
Aaja Mere Hussain ...

Be-Aas Tadapti Khaahar
Nikli Hai Ghar Se Baahar
Maqtal May Aayi Zainab
Kya Uspe Hai Ye Musibat
Bichde Hai Ran May Us Se
Sardare Jina Hasnain
Aaja Mere Hussain ...

Saabir Hai Jahan May Iqtaa
Iqbal Hai Jiska Banda
Qurbani Ki Ab Khaatir
Zehra Hai Ran May Haazir
Aa Godh May Meri Aaja
Maa Kabse Hai Bechain
Aaja Mere Hussain ...


Comments