Aajao Ali Asghar (Anjuman e Masoomeen)

Maadar Ka Ye Nauha Tha Aajao Ali Asghar
Aajao Ali Asghar Aajao Ali Asghar
Chodo Na Mujhe Tanha Aajao Ali Asghar
Aajao Ali Asghar ...

Surat Teri Ay Asghar Phirti Hai Nigahon May
Dikhlayi Nahi Deta In Dard Ki Raahon May
Tadpao Na Yun Beta Aajao Ali Asghar
Aajao Ali Asghar ...

Wo Phool Sa Chehra Phir Hoga Kahan Dunya May
Ab Dhoondne Jayegi Ye Maa Kahan Dunya May
Jangal May Tum Na Sona Aajao Ali Asghar
Aajao Ali Asghar ...

Thi Pyaas Gawahi May Baysheer Ki Aahon May
Ek Dard Ki Dunya Hai Shabbir Ki Baahon May
Dil Doobta Hai Mera Aajao Ali Asghar
Aajao Ali Asghar ...

Bikhre Pade Hai Laashe Aaun Kahan Mai Ran May
Dil Khauf Se Darta Hai Karbobala Ke Ban May
Chodo Na Mujhe Tanha Aajao Ali Asghar
Aajao Ali Asghar ...

Mai Raaton May Uth Uth Ke Wo Jhoola Jhulati Thi
Ro Ro Ke Tumhe Beta Lori Mai Sunaati Thi
Veeran Hua Jhoola Aajao Ali Asghar
Aajao Ali Asghar ...

Behaal Sakina Hai Dekho To Zara Aa Kar
Hai Neel Tamachon Ke Masooma Ke Gaalon Par
Mar Jayegi Wo Dukhiya Aajao Ali Asghar
Aajao Ali Asghar ...

Ab Khaak Hai Baalon May Andhayr Hai Aankhon May
Dikhlayi Nahi Dete Tum Mujhko Bhi Khaabon May
Dil Mera Larazta Hai Aajao Ali Asghar
Aajao Ali Asghar ...

Iqbal Ban May Saabir Maa Ye Dua Karti Hai
Matam Jo Kar Rahe Hai Unki Hi Zindagi Hai
Bano Ka Tha Ye Nauha Aajao Ali Asghar
Aajao Ali Asghar ...

Comments