Abbas Ka Parcham (Anjuman e Masoomeen)

Abbas Ka Parcham Mujhe Jis Ja Nazar Aaya
Mashkeeza Wahin Dukhtare Sheh Ka Nazar Aaya

Haathon Se Jigar Saaqiye Kausar Ne Sambhala
Jab Tashna Dahan Unka Khabeela Nazar Aaya
Abbas Ka Parcham ...

Dunya May Usay Milgayi Jannat Ki Basharat
Gham May Jo Shahe Deen Ke Rota Nazar Aaya
Abbas Ka Parcham ...

Sairaab Kiya Saaqiye Kausar Ke Pisar Ne
Jab Lashkare Hurr Dasht May Pyasa Nazar Aaya
Abbas Ka Parcham ...

Hota Hai Jahan Matame Farzande Payambar
Ghazi Ka Alam Bhi Wahin Uncha Nazar Aaya
Abbas Ka Parcham ...

Kya Guzri Na Jaane Dil E Maadar Pe Elaahi
Jab Khoon May Tar Bete Ka Laasha Nazar Aaya
Abbas Ka Parcham ...

Nazron May Wohi Phir Gayi Tasveere Sakina
Ghazi Ko Jo Behta Hua Darya Nazar Aaya
Abbas Ka Parcham ...

Islam Ki Tareekh May Chauda Sau Sadi Se
Khanjar Ke Talay Ek Hi Sajda Nazar Aaya
Abbas Ka Parcham ...

Gardan Pe Laga Teer Magar Daste Pidar Par
Hasta Hua Shabbir Ka Pyara Nazar Aaya
Abbas Ka Parcham ...

Kehte Hai Khaleel Aaj Mili Khaab Ki Tabeer
Sehra May Jo Shabbir Ka Laasha Nazar Aaya
Abbas Ka Parcham ...

Aankhon Se Meri Ashk Chalakne Lage Mazhar
Jab Jab Bhi Mujhe Pani Ka Kooza Nazar Aaya
Abbas Ka Parcham ...

Comments