Bhai Mai Luti Aayi Hu, Zainab Ki Sada Hai

Bhai Mai Luti Aayi Hu, Zainab Ki Sada Hai

Rassi Ke Nasha'n Laayi Hu, Zainab Ki Sada Hai

 

Bazaar Me Balou'n Se Hi Muh Apna Chupakar

Kis Tarah Se Mai Aayi Hu , Zainab Ki Sada Hai

 

Dil Seene Me Phat-Ta Tha Mera Yaad Me Tere

Ab Jaake Mai Ro Paayi Hu, Zainab Ki Sada Hai

 

Pyasi Hi Sakina Mari Zindaan Me Abbas

Usko Mai Sula Aayi Hu , Zainab Ki Sada Hai

 

Sunte Hi Tadapne Laga Abbas Ka Laasha

Mai Qaid-E-Sitam Paayi Hu , Zainab Ki Sada Hai

 

Aik Laash Ki Tarha Tha Khada Abid-E-Beemaar

Kis Tarha Utha Laayi Hu , Zainab Ki Sada Hai

 

Jo Godh Ke Paale The Woh Sab Thay Sar-E-Naiza

Manzar Bhi Yeh Dekh Aayi Hu, Zainab Ki Sada Hai

 

Yeh Kehke Diya Shaam Ke Darbaar Me Khudba

Hasnain Ki Majaayi Hu, Zainab Ki Sada Hai

 

Utthi Yeh Najaf Qabr Se Shabbir Ki Kehkar

Ab Bhai Mai Bin Bhai Hu , Zainab Ki Sada Hai

Comments

Post a Comment