Darbar Mein Jo Aaye Aseeran E Karbala

Darbar Mein Jo Aaye Aseeran E Karbala

Dekha Sitamgaron Ka Hai Majma Bhara Hua

 

Chadar Na Thi Saron Pe To Uthte Na Thay Qadam

Goshe Mein Ja Ke Baith Gaye Aal E Mustafa

 

Halqa Kiya Kaneezon Ne Zainab Ke Saamne

Dekhen Na Ta Ke Saani E Zaherra Ko Behaya

 

Aal E Nabi Ko Dekh Ke Kahne Laga Yazeed

Bibi Yeh Kaun Goshe Mein Baithin Hain Berida

 

Bola Yeh Shimr Khahar E Shabbir Hain Yahi

Zainab Hai Naam, Dukhtar E Zaherra O Murtuza

 

Kahne Laga Yazeed, Kaneezon Ko Hukm De

Zainab Ke Saamne Se Woh Hat Jaayen Ab Zara

 

Baaten Karoonga Khawar E Shabbir Se Main Khud

Poochon Ga, Apni Aakh Se Dekha Hai Tumne Kya

 

Kyunkar Shaheeed Dasht Mein Shabbir Ho Gaye

Zaherra Ka Bagh Kat Gaya Kaisa Hara Bhara

 

Shimr E Laen Ne Aate Hi Hukm E Yazeed Se

Un Sab Kaneezon Se Kaha, Hat Jao Tum Zara

 

Sab To Yeh Sun Ke Hat Gayi Lekin Hati Na Eik

Us Se Dobaran Shimr Ne Ghusse Mein Phir Kaha

 

Hat Ja Main Tujse Kahta Hoon, Sunti Nahi Hai Tu

Kahne Lagi Ke Door Ho Zalim, Nahi Haya

 

Darbaar Mein Hai Ahl E Tamasha Ka Bhi Hujoom

Saidaniyon Ke Sar Pa Nahin Hai Koi Rida

 

Ghusse Mein Shimr Ne Kaha, Hati Nahin Agar

Maaron Ga Taziyane Se, Doonga Tujhe Saza

 

Boli Majaal Kya Hai Lagaye Jo Mujhko Haath

Tanha Samajh Na Mujhko Sitamgar Yahan Zara

 

Yeh Kah Ke Boli Ghaiz Mein Un Hapshiyon Se Phir

Jo Pusht E Sar Yazeed Ke Maujood Tha Pada

 

Afsoos Kya Hamiyate Khaumi Nahi Rahi

Ek Shaqs Ghair Maarne Aaya Hai Be Qata,

 

Tum Sab Ke Saamne Mujhe Durrey Lagayen Ge

Manzoor Gar Yahi Ha To Mujhko Hai Uzr Kya

 

Sunte Hi Is Kalaam To Habshi Bigad Gaye

Talwaar Khaich Khaich Ke Har Eik Ne Kaha

 

Shimr E Laen Ko Rok Le Sunta Hai Ai Amir

Warna Lahoo Bahe Ga Abhi Hashr Hoye Ga

 

Qayal Hua Yazeed To Bola Woh Shimr Se

Durra Na Padne Paye Khabardaar Ab Zara

 

Jab Woh Kaneez Bach Gaye Jaur E Laen Se

Zainab Ne Rukh Najaf Ki Taraf Kar Ke Yeh Kaha

 

Koi Bachane Mujhko Na Aaya Main Kya Karoon

Bandha Hai Ashkiya Ne Rasan Se Cheeni Rida

 

Bas Aey Razi Tamam Karo Gham Ki Daastan

Kisme Hai Taab Sun Jo Sake Saara Waqiya.

Comments