Ek Ali Ki Laadli Thi Ek Ali Ka Laal Tha

Padke Mehzar Jab Madine Se Chala Wo Khaafila
Qasim O Abbas O Akbar Aur Sibte Mustufa
Saath May Zainab Sakina Aur Roohe Fatema
Syed E Sajjad O Asghar Saath Sughra Ki Dua
Khaafila Tha Ek Lekin Do Thay Roohe Khaafila
Ek Ali Ki Laadli Thi Ek Ali Ka Laal Tha

Haye Wo Kis Shaan Se Nikle Thay Suye Karbala
Saath Abbas E Jari Khabze May Tayghe Murtuza
Markaze Tazeem Thi Do Hastiyan Har Ek Ka
Ek Ali Ki Laadli ...

Apne Beton Ko Fida Bhai Pe Zainab Ne Kiya
Bhai Mar Ke Bhi Na Zainab Se Huwa Ek Pal Juda
Sar-Barehna Wo Chali Wo Bar Sare Naiza Chala
Ek Ali Ki Laadli ...

Sar Diya Bhai Ne Chadar Di Bahan Ne Deen Ko
Na Bahan Aisi Na Aisa Bhai Hoga Momino
Jisne Sar Uncha Kiya Hai Baani-E-Islam Ka
Ek Ali Ki Laadli ...

Sar-Barehna Thi Behan To Bhai Bhi Tha Be-Kafan
Bhai Ke Baazu Juda Behna Ke Baazu May Rasan
Sar Kiya Dono Ne Mil Kar Karbala Ka Maareka
Ek Ali Ki Laadli ...

Bhai Ne Cheh Maah Ke Bache Ki Mayyat Gaad Kar
Ek Nayi Tareekh Likhi Karbal Ki Khaak Par
Shukr Ka Sajda Jawabe Tay Ke Marne Par Kiya
Ek Ali Ki Laadli ...

Thi Rasan Basta Behan Lekin Jalalat Al-Amaan
Khutba E Zainab Se Larza Thay Zameen O Aasman
Rak Diya Thakhta Palat Ke Jisne Mulke Shaam Ka
Ek Ali Ki Laadli ...

Bhai Khaak O Khoon May Ghaltan Aur Zindani Bahan
Aabroo-E-Mustufa Ek Aabroo-E-Panjatan
Daudta Tha Jism May Dono Ke Sheere Sayyeda
Ek Ali Ki Laadli ...

Tasht May Bhai Ka Sar Zainab Bhare Darbar May
Koi Bhi Insaan Nahi Tha Lashkare Kuffar May
Khaak Madfan May Udaate Thay Nabiye Do Sara
Ek Ali Ki Laadli ...

Aaj Tak Qayam Hai Jinke Dam Se Deene Mustufa
Naam Jinka Shaamile Juzwe Ibaadat Hogaya
Khudsiyan E Arsh Ki Rehaan Aati Hai Sada
Ek Ali Ki Laadli ...

Comments