Hai Qatl Hua Haye Namazi (Mir Arif Ali)

Ek Shor Utha Haye Namazi
Hai Qatl Hua Haye Namazi

Ye Shere Khuda Nafse Khuda Nafse Nabi Hai
Ye Ilm Ibadat May Shuja'at May Dhani Hai
Ahmad Ka Biradar Hai Ye Khaaliq Ka Wali Hai
Kaunain May Sab Ke Liye Bas Ek Ali Hai
Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali

Ahmed Ka Madadgaar Hai Imran Ka Jaani
Ye Ilm Ka Darya Hai Badi Jiski Giraani
Ab Tak Na Hua Iska Koi Dunya May Saani
Kardega Ishaare Se Wo Pathar Ko Bhi Pani
Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali

Ramzan May Sitamgar Ne Namazi Ko Hai Maara
Talwaar Lagi Farq Pe Aur Wo Hai Do Paara
Allah Ka Ghar Surkh Hua Khoon Se Saara
Hilne Laga Is Gham Se Har Ek Arsh Ka Taara
Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali

Kehne Lage Sar Thaam Ke Ye Hyder E Safdar
Fuzto Be Rabbe Kaaba Mere Maalik O Daawar
Hasnain Ali Ko Jo Utha Le Ke Gaye Ghar
Sar Peet'ti Thi Zainab O Kulsoom Tadap Kar
Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali

Hyder Ki Badalne Lagi Kuch Is Tarha Haalat
Us Waqt Bula Kar Kiya Bachon Se Wasiyat
Deen Ke Liye Sehna Hai Tumhe Ranj O Musibat
Phir Hone Lage Aaj Ke Din Sab Se Wo Ruqsat
Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali

Karti Thi Ye Ro Ro Ke Bayan Saani E Zehra
Bin Maa Ke To Pehle Se Hi Mai Ho Chuki Dukhiya
Ab Sar Se Pidar Aap Ka Bhi Uth'ta Hai Saaya
Batlao Kahan Paaungi Mai Aap Ko Baba
Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali

Ek Shor Tha Kaunain Ka Sardar Sidhara
Sab Ahle Aza Kehte Thay Ghamkhaar Sidhara
Hum Saare Ghareebon Ka Madadgaar Sidhara
Aayi Ye Nida Hyder E Karraar Sidhara
Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali

Ab Tak Na Ruka Zikre Ali Hota Hai Payham
Ekkeeswi Ramzan Ko Ye Uth'ta Hai Ye Parcham
Ho Jaati Hai Is Gham May Har Aankh Bhi Purnam
Arif Bhi Bober Karte Hai Jab Nauha O Matam
Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali

Comments