Haye Gareeb Ul Watan

Haye Gareeb Ul Watan Ay Aseer E Mehan
Alwida Alwida Alwida Ay Hussain Alwida

Naizon Pe Sar Kaat Ke Haye Chadaya Gaya
Ghodon Se Paamal Tan Tera Karaya Gaya
Loot Ke Sab Maal O Zar Qaima Jalaya Gaya
Haye Gareeb Ul Watan ...

Bibiyon Pe Jis Khadar Karte Thay Aada Jafa
Utna Hi Saydaniya Karti Hai Aah O Buka
Dashte Jafa May Yehi Goonj Rahi Thi Sada
Haye Gareeb Ul Watan ...

Baandhi Jafa Kaaron Ne Shaano May Kas Kar Rasan
Kis Tara Hamsheer De Bhai Ko Apne Kafan
Cheen Li Sar Se Rida Hogayi Bebas Behan
Haye Gareeb Ul Watan ...

Bali Sakina Ke Jab Shimr Ne Cheene Gohar
Khoon Baha Is Qadar Hogaya Sab Kurta Tar
Kehti Thi Aao Chacha Waqt E Madad Hai Pidar
Haye Gareeb Ul Watan ...

Hathkadi Aur Bediyan Tauq E Giran Baar Hai
Kitna Aseere Mehan Abid E Beemar Hai
Lashkare Jor O Sitam Jaane Ko Tayyar Hai
Haye Gareeb Ul Watan ...

Godh Se Bache Sabhi Raahon May Girte Rahe
Dab Ke Sidhaare Jina Naaqon Ke Paon Talay
Maa'on Ne Ye Daagh Bhi Apne Jigar Par Sahe
Haye Gareeb Ul Watan ...

Kar Gayi Zindan May Jab Se Sakina Qaza
Ranj O Alam Hogaya Aal E Nabi Ka Siwa
Laashe Se Lipti Hui Karti Thi Bano Buka
Haye Gareeb Ul Watan ...

Tum Ko Rehaai Ka Laal Kis Khadar Armaan Tha
Utho Sakina Chalo Hukme Rehaai Mila
Jaate Hai Zindan Se Pehle Suye Karbala
Haye Gareeb Ul Watan ...

Marqad E Shabbir Par Jab Ke Nazar Ja Padi
Binte Ali Pusht Se Naaqe Se Ran May Giri
Karti Hui Bain Ye Ghutniyon Ke Bal Chali
Haye Gareeb Ul Watan ...

Saath Imanath Ko Mai Laa Na Saki Pur Mahan
Bhai Bahot Sharminda Hai Ye Tumhari Behan
Bali Sakina Ko Bhi De Na Saki Mai Kafan
Haye Gareeb Ul Watan ...

Tumpe Anees E Imam Binte Ali Ka Salaam
Bhai Bhatije Sipar Jaane Shahe Tashna Kaam
Nasir E Deene Khuda Haamid E Aali Maqaam
Haye Gareeb Ul Watan ...

Comments