Hum Kaise Chale Jaye (Mir Hassan Mir)

Ashoor Ki Shab Karte Thay As'hab Ye Noha
Hum Kaise Chale Jaye Tumhe Chod Ke Maula

Kooze Liye Haaton May Hai Masoom Se Bache
In Pyason Ko Pani Ki Badi Aas Hai Humse
Mar Jayenge Ye Gar Hamay Jaate Hue Dekha
Hum Kaise Chale Jaye ...
Ashoor Ki Shab Karte ...

Maana Ke Zaroorat Nahi Hazrat Ko Hamari
Abbas Sa Bha Hai Hifazat Ko Tumhari
Zehra Ko Magar Phir Bhi Hai Moo Humne Dikhana
Hum Kaise Chale Jaye ...
Ashoor Ki Shab Karte ...

Ankhon May Nazar Aati Hai Bachi Ki Ghareebi
Darti Hai Ke Tanhai Na Bad Jaye Padar Ki
Aa Aa Ke Hame Takti Hai Hasrat Se Sakina
Hum Kaise Chale Jaye ...
Ashoor Ki Shab Karte ...

Jis Roz Se Abaad Kiya Tum Ne Ye Jangal
Ek Bibi Yahan Roti Hai Raaton Ko Musalsal
Lagta Hai Lehad Chod Ke Khud Aayi Hai Zehra
Hum Kaise Chale Jaye ...
Ashoor Ki Shab Karte ...

Kya Aalam E Ghurbat Nabi-Zadi Pe Pada Hai
Kehne Ki Nahi Baat Magar Humne Suna Hai
Hai Aap Ki Zainab Ko Bahot Hum Pe Bharosa
Hum Kaise Chale Jaye ...
Ashoor Ki Shab Karte ...

Seena Ali Akbar Ka Bahot Choom Rahe Ho
Jo Tum Pe Guzarti Hai Wo Maloom Hai Hum Ko
Hum Log Bhi To Saahibe Aulaad Hai Aaqa
Hum Kaise Chale Jaye ...

Akbar Jo Diye Qaime May Ghazi Ne Jalaye
Tha Aisa Samaan Sheh Ke Bhi Aansoo Nikal Aaye
Talwaar Galay Par Rakhe Har Shaks Tha Kehta
Hum Kaise Chale Jaye ...
Ashoor Ki Shab Karte ...

Comments