Khaak Par Lasha-E-Shabbir Hai Aao Nana

Khaak Par Lasha-E-Shabbir Hai Aao Nana

Kya Yehi Ajr-E-Risalath Hai Batao Nana

 

Bhai Be Ghusl-O-Kafan Dasht-E-Bala Me Hai Pada

Paas Mayyath Ke Udhane Ko Nahi Koi Rida

Ab Koi Raah Nawasi Ko Dikhao Nana

 

Zulm Beemaar Pa Dhaane Ke Liye Aaye Hai

Ashqiya Tauq Pinhane Ke Liye Aaye Hai

Ghash Ke Aalam Me Hai Sajjad Bachao Nana

 

Koi Hamdard Nahi Koi Sahara Bhi Nahi

Dashte Zulmath Me Koi Poochne Wala Bhi Nahi

Ab Ghareeboun Pe Taras Aap Hi Khao Nana

 

Thak Ke Soye Hain Badi Der Me Pyase Bache

Dashte Tareek Me Ab Koun Hai Jo Pehra De

Mere Ghazi Mere Abbas Ko Lao Nana

 

Aap Ke Laal Pa Tooti Hai Qayamath Dekho

Qatl Ke Baad Bhi Ummat Ki Adawat Dekho

Laash Pamaali Ki Zad Par Hai Bachao Nana

 

Baap Ko Ro Nahi Sakti Hai Sakina Apne

Sehmi Sehmi Si Hai Masoom Tamache Khaake

Shimr Ke Zulm Se Bachi Ko Chudao Nana

 

Sar Pe Kunbe Ki Hifazat Ka Hai Zimma Pehle

Saamna Shaam-E-Ghareeba'n Ka Karungi Kaise

Hausla Do Meri Himmat Ko Badao Nana

 

Hashr Rone Ki Sada Se Hai Andhere Bun Me

Seena-E-Shah Se Lipti Hai Sakina Run Me

Baap Ki Laash Se Beti Ko Chudao Nana

 

Baandhne Aaye Hai Zaalim Mere Baazu Me Rasan

Kab Se Awaaz Lagati Hai Musibat Me Behen

Bhai Soya Lab-E-Darya Hai Jagaao Nana

 

Bain Sadiq Ye Behen Ke The Larazti Thi Zamee'n

Rone Wala Mere Bhai Pa Yahan Koi Nahi

Aao Ab Farsh-E-Aza Aake Bichao Nana.

Comments