La Fata Illah Ali (Sachay Bhai)

Shaahe Mardan Shere Yazdan Quwate Parwardigar
La Fata Illah Ali La Saif Illa Zulfaqar

Is Tarha Chalti Thi Ran May Tayghe Shere Kirdagaar
Har Taraf Se Ashkiyan May Al-Amaan Ki Thi Pukar
Kar Chuka Jab Dhayr Marhab Ko Shahe Duldul Sawaar
Aa Rahi Thi Ye Sada Dewaar O Dar Se Baar Baar
Shaahe Mardan Shere Yazdan ...
La Fata Illah Ali ...

Jis Tarha Koi Khuda E Paak Se Bad Kar Nahi
Jis Tarha Koi Rasool Allah Ka Hamsar Nahi
Ek Hai Dunya May Hyder Doosra Hyder Nahi
Misle Hyder Ye Kisi Ki Taygh May Jauhar Nahi
Ek Taraf Saari Ibadat Ek Taraf Hyder Ka Waar
La Fata Illah Ali ...

Juz Ali Ka Kaun Haq Ke Waaste Seena Sipar
Kaun Uth'ta Tha Rasool Allah Ki Awaaz Par
Kisne Qurban Kar Diya Raahe Khuda May Apna Ghar
Is Haqeeqat Se Bhala Hum Kis Tarha Phere Nazar
Hai Isi Awaaz Par Takbeer Ka Daar O Madaar
La Fata Illah Ali ...

Yaad Karlo Door Kyun Jaate Ho Kal Ki Baat Hai
Jang Ke Maidan May Kaam Aaya Wo Kiski Zaat Hai
Mehre Hairat Muttaqil Lashkar Pe Kayenat Hai
Haq O Nusrat Aaj Bhi Naam E Ali Ke Saath Hai
Goonjta Hai Hyderi Naaro Se Dashte Kaarzaar
La Fata Illah Ali ...

Kaam Aaya Phir Wohi Jab Waqt Aaya Imtihan
Naam Se Jiske Larazte Hai Zameen O Aasman
Laakh Jalta Ho Ali Ke Kaarnamo Se Jahan
Sabse Afzal Aaj Hai Dunya May Hyder Ka Nishan
Aaj Bhi Sajti Hai Seeno Pe Yehi Ek Yaadgaar
La Fata Illah Ali ...

Kehte Thay Mohamed Maadare Ghamkhar Se
Is Tarha Ran May Ladenge Lashkare Kuffar Se
Sab Hamay Tashbeeh Denge Jafar E Tayyar Se
Bach Ke Jaa Payega Koi Kya Hamare Waar Se
Khaynch Denge Taygh Se Hum Badr Ke Naksh O Nigaar
La Fata Illah Ali ...

Kya Koi Rokega Hum Ko Matame Shabbir Se
Baandh De Koi Hamay Gar Aahni Zanjeer Se
Mustaqil Hojaye Gardan Bhi Agar Shamsheer Se
Kyun Na Ho Mehshar Aqeedat Shaahe Khyber Geer Se
Ya Ali Keh Denge Jab Ruk Jayegi Khanjar Ki Dhaar
La Fata Illah Ali ...

Comments