Mera Muslim Akela Hai

Kaha Shabeer Ne Ghazi Woh Dekho Janib-e-Kofa Mera Muslim Akela Hai.
Na Koi Monis-o-Yawar Na Koi Pas Hai Beta Mera Muslim Akela Hai.

Mere Bhai Ko Charon Samt Se Fojon Ne Ghaira Hai.
Hazaron Marne Walay Hain Our Muslim Akela Hai.
Hain Kofi Chaar Janib Nahi Hai Koi Bhi Apna.

Bari Dushwar Manzil Hai Kabhi Aisa Na Waqt Aaye.
Watan Se Door Ghurbat Mein Koi Aisay Na Dukh Paye.
Ruqaiya Hone Wali Hai Abhi Kuch Dair Mein Bewah.

Jo Mere Dil Pe Guzri Hai Unhein Batla Nahi Sakta.
Tumhari Betiyon Ke Sath Kofa Ja Nahi Sakta.
Bacha Lein Mere Bhai Ko Najaf Nazdeek Hai Baba.


Katay Honton Ka Oss Ke Khon Jab Pani Mein Girta Hai.
Gira Kar Jaam Pani Ko Bari Hasrat Se Takta Hai.
Na Jane Kitna Zakhmi Hai Na Jane Kab Se Hai Pyasa.

Nazar Aate Nahi Abbas Ko Muslim Ke Shehzaday.
Muhammad Our Ibrahim Oss Ke Sath Nikley They.
Kahan Par Kho Gaye Dono Na Jane Kya Howa Aisa.

Yeh Kal Tak Sath They Oss Ke Abhi Sab Ho Gaye Bagi.
Safeer-e-Ibn-e-Haider Ki Ajab Ghurbat Hai Yeh Ghazi.
Koi Ghar Se Nahi Nikla Sada Deti Rahi Zahra.

Siwaye Ibn-e-Urwa Ke Koi Aaya Nahi Aagay.
Bachaney Tu Nahi Aaye Woh Lasha Hi Utha Letey.
Kahan Khat Likhney Walay Hain Koi Ab Tak Nahi Aaya.

Mere Abbas-e-Ghazi Ki Behan Ka Hai Yahan Roza.
Tere Pursay Ko Maula Main Tu Kofa Aa Nahi Sakta.
Main Bibi Pak Daman Ko Tera Noha Sunaon Ga.

Lipat Kar Sheh Ke Qadmo Se Kaha Ghazi Ne Aye Maula.
Mujhe Pohancha Dein Kofa Tu Badal Doon Shehar Ka Naqsha.
Ghareebi Par Mere Bhai Ki Sara Shehar Hai Hansta.

Comments