Shimr Kehta Tha Mat Suno Mukhtar

Shimr kehta tha mat suno Mukhtar
Mai ne kaisay Hussain ko maara

Jab hua mai sawaar seenay par
Lab hilaanay laga tera Mola
Pyaas mei badduaaein denay lagay
Mujh ko Shabbir aisa lagta tha
Mai ne honto pe kaan rakh ke suna
Wo to Ghazi ko yaad karta tha

Shimr kehta tha mat suno Mukhtar…

Kaisi gurbat thi ibn e Zehra par
Dekhti thi Sakina ye manzar
Mere haatho mei Sheh ki daadhi thi
Main rulaata raha usay hans kar
Laash e Abbas bhi tadapnay lagi
Jab tamaancha Hussain ko maara

Shimr kehta tha mat…

Us ki aankho mein jaanay kya tha ameer
Koi nazrei nahi milaata tha
Mai bhi aankhei na us ki dekh saka
Is liye chehra us ka pher diya
Ye waja thi jo pusht e gardan se
Tere Mola ko zibha main ne kiya

Shimr kehta tha mat…

Wo jo ik nehr hai wahan jaari
Tera Mola wahan tha zeen se gira
Umar e saad ne kaha mujh se
Qatl us ko nashaib mein karna
Main yahan qatl gaah tak Mukhtar
Us ko zulfo se khench kar laaya

Shimr kehta tha mat suno Mukhtar

Haan wo lamha ajeeb tha Mukhtar
Mere haatho mein tez thi talwaar
Kund ho jaata tha mera khanjar
Mai ne yu bhi kiye thay tera waar
Mujh se kat’ta na tha gala us ka
Us ki Maa ne tha haath rakha hua

Shimr kehta tha mat suno Mukhtar

Aik teela hai Karbala mei jahaa
Ro rahi thi behan khadi us ki
Minnatei kar rahi thi har ik ki
Keh rahi thi nahi chalaao chhuri
Us ne sattar kadam se kat’tay huay
Apnay bhai ka khud gala dekha

Shimr kehta tha mat suno

Us ne dekha jab aa gayi Zainab
Mujh se Shabbir ro ke kehnay laga
Shimr jaanay de us khaimay mei
Apna khanjar chupa le us se zara
Shimr zaanu hata le seenay se
Waasta hai tujhe Muhammad ka

Shimr kehta tha mat suno Mukhtar

Mir Sajjad sun ke us ke sitam
Saaray darbaari bayn karnay lagay
Bola shimr e laeen aye Mukhtar
Kuch dikhaaon agar ijaazat de
Jis pe khoo tha ghareeb e Zehra ka
Us ne khanjar wo sab ko dikhlaaya

Shimr kehta tha mat suno Mukhtar
Main ne kaisay Hussain ko maara

Comments