Dil hai beychaen shaahey huda ka
Ho raha hai safar karbala ka
Qasdh hai waanh sey mulk-e-baqaa ka
Ho raha hai safar karbala ka
Bhaayi Abbas woh mashkoun waaley
Aur paani tumharey hawaaley
Saath maasoom bachchoun ka hoga
Ho raha hai safar karbala ka
Sab sey ro-ro kay kehthay hain Hazrath
Ab yehi hai khuda ki mashiyath
Mujh sey chut-tha hai Naana ka Rauza
Ho raha hai safar karbala ka
Jaakay Soghra ko samjhaao bhaayi
kardoh beemaar-e-gham ki rihaayi
Saath chalnaa hai dushwaar uska
Ho raha hai safar karbala ka
Kahiyoh beti tujhey kya khabar hai
Raastha har qadam pur qatar hai
Saamna ab hai dasht-e-bala ka
Ho raha hai safar karbala ka
Saath hai meri baali Sakina
Behray ismath ka hai yeh nagina
Marqadh zindaan may iska baneigaa
Ho raha hai safar karbala ka
Saath meray mera mehlaqaa hai
Humshabi-e-Rasool-e-Khuda hai
Su-e-Maqtal chala hai yeh fidya
Ho raha hai safar karbala ka
Aaj hai Bibiyoun ko amaari
Shaan sey jaarahi hai sawaari
Kal kahaan hoga inkaa yeh pardaa
Ho raha hai safar karbala ka
Comments
Post a Comment