Zulm Hai Andera Hai Qaid Me Sakina Hai

Zulm Hai Andera Hai Qaid Me Sakina Hai
Gham Ka Ab Savera Hai Qaid Me Sakina Hai

Bad-e-Shah-e-Deen Uspar, Har Sitam Huwa Khul-Kar.
Margayi Hai Wo Pyasi Dekthi Rahi Madar.
Kaisa Uss-Ka Marna Hai, Qaid Me Sakina Hai.

Shimr Ke Tamache The, Ranj-o-Gham Ke Saye The,
Raha Me Sakina Ke, Aafato Ke Kante The,
Haye Kya Andhera Hai,
Qaid Me Sakina Hai.

Be-Kajawa Ountoun Par, Le-Gaye Laien Dar-Dar,
Dekhti Rahi Bibi, Baap Ka Sina Par Sar,
Nazroun Me Madina Hai, Qaid Me Sakina Hai.

Bekasi Ka Aalam Hai, Sab Ki Aankh Purnam Hai,
Teergi Me Zindan Ki, Binte Sheh Ka Matam Hai,
Haal Hai Wo Zinda Ka,
Qaid Mai Sakina Hai.

Lake Sar Wo Baba Ka Sheh Se Guftagu Ki Jo,
Dekho Tho Zara Abid Sogayi Hai Kya Dekho,
Kya Gazab Ka Sona Hai Qaid Me Sakina Hai.

Marte Waqt Bhai Se Ye Kaha Sakina Ne,
Ho Muqam Ek Thanda Dafan Mujhko Wa Kije,
Qush Mera Sina Hai, 
Qaid Me Sakina Hai.

Nouha Likthe Hai Hyder Aur Sunate Hai Jaffer,
Majlis-e-aza Me Hai Sab Ki Ab Zubano Par,
Dekhle Zara Dunya, 
Qaid Me Sakina Hai.

Comments