Elaahi Gham Na Dikhana Jawaan Bete Ka (Anjuman e Masoomeen)
Elaahi Gham Na Dikhana Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
1. Chali Gayi Thi Basarat Hussain-E-Bekas Ki
Bataya Ghode Ne Rasta Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
2. Tadap Ke Roye Shah-E-Dee'n Jo Dekha Maqtal Me
Hai Jism Zaqmo'n Se Paara ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
3. Aye Baba Pyaas Ki Shiddat Se Jaan Jaati Hai
Bilak Bilak Ke Woh Kehna ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
4. Nikaali Seena-E-Aqdas Se Jab Sina Sheh Ne
Nikal Ke Aaya Kaleja ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
5. Zayeef Baap Ki Nazro'n Ke Saamne Run Me
Woh Aediyou'n Ka Ragadna ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
6. Hai Tanha Dasht-E-Bala Me Hussain Ibne Ali
Uthega Kaise Janaza ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
7. Hussain Tanha Khade Hai Koi Nahi Deta
Zayeef Baap Ko Pursa ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
8. Sambhala Zainab-E-Muztar Ne Umm-E-Laila Ko
Jab Aaya Khaime Me Laasha ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
9. Yeh Bain Karti Thi Laila Pisar Ke Laashe Par
Mai Dekh Paayi Na Sehra ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
10. Hussain Kehte The Zainab Se Maine Dekha Hai
Woh Dard-E-Dil Se Tadapna ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
11. Har Aik Ahl-E-Aza Ka Hussain Ibne Ali
Qubool Kijiye Pursa ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
12. Dua Yeh Saber-O-Sahil Ki Hai Mere Yaa Rab
Mile Kisi Ko Na Sadma ... Jawaan Bete Ka
Hai Mout Baap Ki Marna Jawaan Bete Ka
Comments
Post a Comment