Posts

Showing posts from September, 2018

Aye Chand Muharram Ke

Aye chand muharram ke tu badli mein chala jaa Tujhe dekh ke marjaye naa.. (2) Beemar hain Sughra. 1) Ghar Zahra ke lutne ki khabar tune sunayi, Tujhe dekh ke roti hai Muharram mein khudayi, Chauda so(1400) baras beete.. (2) Sab karte hai shikwah. 2) Milne ke liye bhai ko bechayn badi hain, Kab se Ali Akbar ki yeh raho'n mein khadi hain, Bichdi hai yeh muddat se.. (2) Ise tu na nazaar aa 3) Veeran gharo'n mein na ise neend hain aati, Akbar ki judai hain ise khoon rulati, Qadmon ke nishaan dhamp ke.. (2) Baythi hai sar-e-raah. 4) Gin gin ke to Sughra ne yeh din hain guzare, Zinda hai to Akbar ke waado'n ke sahare, Din raat tadapti hain.. (2) Ise aur na tadpa. 5) Bhaiyya ki judayi mein paraishaan hai rehti, Har roz yeh Nana ko roro ke hai kehti, Akbar na mila Nana.. (2) Main marjaungi tanha. 6) Qasad ko diya khat mein ye paigham likha ke ek baar to mil jaa mujhe seene se lagake patrati hui nazrein..(2) kab dekhegi chehra 7) Waada jo kiya behen ko se...

Shaam Hai Shaam

Shaam hai shaam (4) Teri ummat ke zaver pehn kar dekho nana chali hoo mei shaam Shaam hai shaam (4) 1 Mei deti kafn tujko bhaiyya gar sar pe rida meri hoti Gar hote kole haath mere tere zukh mo ko haatho se doti Pabande rasn sar barehna (2) Dekho bhaiyyya chali hoo mei shaam Pabande rasn sar barehna (2) Dekho bhaiyyya chali hoo mei shaam Shaam hai shaam x2 2 Tere bachcho ko lekar gayi mei shab bhar sari roti rahi hoo Kabhi gaazi ka lehja badl kar mei pehre bhi deti rahi hoo In bewa bahoo betiyo se (2) Kyo karte nahi hoo kalam In bewa bahoo betiyo se (2) Kyo karte nahi hoo kalam Shaam hai shaam x2 3 Tere abid pe tari gashi thi aur kulsoom sehmi khadi thi Kabhi dekho mei zakhmi sakina jiske damn mei aag lagi thi Kabhi rowo mei apni rida ko(2) Kabhi dekho mei jalte khyaam Kabhi rowo mei apni rida ko(2) Kabhi dekho mei jalte khyaam Shaam hai shaam x2 4 Jis zainab ko tumne biradar kabhi nazre utha kar naa dekha Haath rassi mei mere bandhe hai aur sar pe nahi mere...

Ek Baar Aur Mujhe God Me

Ek baar aur mujhe god me lelo baba - 2   Va hussaina ka hua shor haram me barpa, Hoke ruksat jo chale ghar se shahe karbobala, Kehke ye daudi sakina ke theher jao zara. Ek baar aur ……..   Sheh ne bachchi ka jo ye haal pareshan dekha, Roke farmaya ke kya haal meri mahelaka, Jodkar nanhe se hato ko sakina ne kaha Ek baar aur …….. Sochti hoon ke tamache koi mare na mere, Goshware koi kaano se utare na mere, Vehm aate hai mere dil me na jaane kya kya. Ek baar aur …….. Mai samajhti hoon ke yuhi mujhe behlate ho, Tha na maaloom ke marne ke liye jaate ho, Tum hamesha ke liye hote ho ab mujhse juda. Ek baar aur …….. Baba seene se sakina ko lagate jao, Ab kahan hogi mulakat batate jao Tumko akbar ki kasam gulcha dehen ka sadqa. Ek baar aur …….. Kya khabar tum se koi baat bhi ab ho ke na ho, Kaun jaane ke mulaakaat bhi ab ho ke na ho, Dil dhadakta hai mera behre nabi behre khuda. Ek baar aur …...

Kya Dekhti Hai Sughra

H aaye zainab..(6) Kya dekhti hai Sughra, Zainab ke aasuon mein Manzar hai Karbala ka, Zainab ke aasuon mein 1) Barchi ka zakhm taza, ta zindagi rahega..(2) Akbar ka hai kaleja, Zainab ke aasuon mein 2) Sughra nazar uthaao, qasim ka haal dekho..(2) Bikhra hua hain laasha, Zainab ke aasuon mein 3) Ay deeda-e-tassawur, tujhko dekhai dega..(2) Chota sa ek jhula, Zainab ke aasuon mein 4) Abbas ke burredan, lakhoN ki daastan hain..(2) Behta hai gham ka dariya, Zainab ke aasuon mein 5) Zindan-e-Shaam mein hain, choti si qabr lekin..(2) Maujood hai sakina, Zainab ke aasuon mein 6) Ab aun aur mohammed, bhi yaad aa rahe hain..(2) Hone laga izaafa, Zainab ke aasuon mein 7) Zulm o sitam ke manzar, sab dekhle Madina..(2) Hai Shaam aur Kufa, Zainab ke aasuon mein 8) Shabbir pesh-e-dawar, jayenge saath lekar..(2) Bheega hua amama, Zainab ke aasuon mein. 9) Be pardagi ka aalam, kaise Adeel likhe..(2) Khud dekhle zamana, Zainab ke aasuon mein

Pursa Hussain Ka (2019)

Zahra qubool kijiye pursa HUSSAIN ka Pyase ka bewatan ka shahe mashraqain ka 1) Jab maah e moharram ne khabar gham ki suna di Rukh kar ke baqaiyya ka ye momin ne sada di Tashreef laye farshe..(2), aza SHEH ka bich gaya ZAHRA qubool kijiye.... 2) Mazloom ke gham me hui maghmoom KHUDAI Phir naam pe pyaso ke sabeelen hain lagayi Ghar Ghar me hai HUSSAIN ki..(2), ghurbat ka tazkerah   ZAHRA qubool kijiye pursa... 3) Har mod pe dharas jo raha binte ALI ki Wo jiski shahadat pe kamar SHEHki jhuki thi Us sher ke kate hue..(2), shano'n ka wasta ZAHRA qubool kijiye.... 4) Aayi jo madine me zinda'n se palat kar Ghar jane se phle gayi maadar ki lahad par ZAINAB ne maa ki qabr pe..(2), di pehle ye sada ZAHRA qubool kijiye.... 5) GHAZI ko isi maa ne sikhayi thi wafayaen beto ke liye bharti bhala kaise wo aahein Nauha tha ye baqaiyya me..(2), UMMUL BANEEN ka 6) Pardes me ummat ne jise Zakhm diye hain Ek din me jise daagh bahattar ke mile hain Us par salaam jiska..(2...

Dekhte Jaana Ali Akbar (2019)

Akbar Ali Akbar..(3), Ali Akbar Chala jo khaime se marne rasool jaisa pisar to peeche peeche ye kehte hue chale sarwar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(3) Kuch der to jee le tera..(2), baba ali akbar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2) 1. Tum zee'n se giroge to badal jayegi duniya maqtal ki taraf kaun hamein leke chalega qatil to bataenge na..(2), rasta ali akbar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2) 2. Beemar e madina ki khabar aati hi hogi tum saath liye jaate ho beenayi bhi meri haye mai kaise padhunga khate..(2), sughra ali akbar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2) 3. Ho jayega mushkil mera aana mere beta maqtal mein kahi'n door na jaana mere beta haye ab mujhse chala bhi nahi jaata ali akbar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2) 4. Ehsaas tadapne ka hamare tujhe hota meri tarah tu apna jigar thaam ke rota tera bhi jo hota kabhi..(2), beta ali akbar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2) 5. Haye nana mer...

Azadar (2019)

Hu ssain... Hussain, Hussain, Hussain, Hussain, Hussain Maula tum hamare, maula hum tumhare..(2) Maula, Maula salaam aap pe sadd baar ya hussain sab ishq e hussaini mein hai sar shaar ya hussain sab pe ho karam aapka sarkaar ya hussain hazir hai, hazir hai hazir hai azadar, azadar ya hussain azadar..(5) Maula tum hamare, maula hum tumhare..(2) Hum charagh e mustafa ke parwane, aye zamane azadar, azadar, azadar Panjetan ke naam ke hai deewane, aye zamane hamara dil, hamari jaa'n hamari ek hi zabaa'n hai hamare seeno par likha hua azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain azadar..(5) jiye jiye jiye karbala, jiye ya hussain, jiye azadar 1. Haan.. Makka, madina o najaf, karbala ishq e khuda ka hai yehi raasta Fatema, Hasnain, Ali lafatah qibla e mann naaqa Rasule khuda ek sukhan, ek lagan, ek zabaa'n, ek dahan Panjetan ke naam par nisaar hai hum hai wafadar e khuda, naam e Mohammad pe fida Khatim e rasool e kirdigaar hamara dil, hamari j...

Ali Haider e Karaar (2019)

Ya ali Maula ali ali ali ali ali ali ali ali ali ali ..(2) Ali ali maula ali yaa ali yaa ali ..(2) Jaan-e-chaman tu Shiri shukan tu Rab ka dahan tu Shah-e-zaman tu ..(2) Ali ali maula ali yaa ali yaa ali ..(2) Uski duniya ghulam hoti hai ..(2) Jo ali  ka ghulam hota hai Rang Haider ka jispe chad jaae Uska mar kar bhi ..(2) Naam hota hai. Ali ali maula ali Ali maulana ali ..(2) Maula maula maula Ali-un-waliullah ..(2) Haan Sarkar Alamdar do alam ka madadgar Ali Haider - e - Karrar ..(2) Peero me mera peer Zabardast hai sarkar Ali haider - e - Karrar ..(2) Sarkar alamdar do alam ka madadgar Ali haider - e - karrar ..(2) Peero me mera peer Zabardast hai Sarkar Ali haider - e - karrar ..(2) Shaho se bhi aala hai tere dar ke gadagar Karte hai ghulami teri duniya ke sikandar Aala hai ameero se fakiro ke mukkaddar Jannnat ke hai tajir teri dehliz ke naukar Naar-e-haideri Maula, Naar-e-khayberi Maula Naar-e-safdari Maula, Naar-e-Qambari Maula.. Meesam ne la...

Zara Sa Paani (2019)

Haaye Hussain Jab Key Chaley Aye Baad-e-Dopahar Ran Ko  Na tha Koi Key Jo Thaamey Rakab-e-Tousan Ko Sakina Thaam Rahi Thee Abaa Key Daaman Ko, Hussain Chup Ke Khadey Hain (Wa Ghurbata Wa Museebata) ..(2)   1. Hussain Chup Ke Khadey Hue Hain Wa Ghurbata Wa Museebata Hussain Chup Ke Khadey hui Hain Nazar Alam Per Gadi Hui Hai (Sakina Thaamey Abaa Ka Daaman) ..(2) (Ye Apne Baba Se Keh Rahi Hay) ..(2) Aye Pyare Baba Qasam Tumhari Main Tishna Lab Hoon Zara Sa Paani (Wa Ghurbata Wa Museebata) ..(2) 2. Chacha Se Aye Baba Jaan Keh Dein Sakina Pyasi Hai Teen Din Se (Zabaa'n Pe Kaa'nte Pade Hue Hain) ..(2) (Key Mashk Khali Hai Teen Din Se) ..(2) Lo Baba Dekho, Ye Mashk Khali Main Tishna Lab Hoon Zara Sa Paani (Wa Ghurbata Wa Museebata) ..(2) 3. Mujhe Hai Ehsaas Mere Baba Key Ham Se Pyase Ho Tum Ziyada (Karungi Tum Se Na Phir Taqaza) ..(2) (Hai Baba Beti Ka Tum Se Wada) ..(2) Main Tum Pe Sadqey, Main Tum Pe Wari Main Tishna Lab Hoon Zara Sa Paani (Wa Ghurb...

Bala Ke Ghum Uthaye

K arbala k dasht mein, alqama ke saamne..(2) ghar nabi ka lut gaya bala ke ghum uthaye jaa rahe hai..(2) jafa ke teer khaye jaa rahe hai..(2) bala ke ghum uthaye jaa rahe hai..(2) 1. Fida karne ko deen e mustafa par..(2) ali akbar sajaye jaa rahe hai..(2) bala ke ghum uthaye jaa rahe hai..(2) 2. Qadam doshe nabuwat par the jinke..(2) wo kaanto par phiraye jaa rahe hai..(2) bala ke ghum uthaye jaa rahe hai..(2) 3. Jaha'n be izn aate the na jibreel..(2) wo kashane jalaye jaa rahe hai..(2) bala ke ghum uthaye jaa rahe hai..(2) 4. Bithate the nabi kandho pe jinko..(2) wo naizo se giraye jaa rahe hai..(2) bala ke ghum uthaye jaa rahe hai..(2) 5. Hua tha jaun qaem jinse parda..(2) wo baazaro mein laaye jaa rahe hai..(2) bala ke ghum uthaye jaa rahe hai..(2)

Abbas Na Laute (2018)

Abbas na laute.. Abbas na laute Maqtal ki zamee'n bhaa gayi Abbas na laute Sheh aa gaye, mashk aa gayi Abbas na laute Maqtal ki zamee'n bhaa gayi Abbas na laute Sheh aa gaye, mashk aa gayi Abbas na laute 1. Iss shan se maqtal ko sidhara tha alamdaar..(2) aada ki nazar khaa gayi.. abbas na laute Sheh aa gaye, mashk aa gayi Abbas na laute 2. Behta hua kaano se lahu, sukhe hue lab..(2) dikhlane sakina gayi.. abbas na laute Sheh aa gaye, mashk aa gayi Abbas na laute 3. Deti rahi awaaz pe awaaz sakina..(2) akhir ko qaza aagayi.. abbas na laute Sheh aa gaye, mashk aa gayi Abbas na laute 4. Kya janiye kyu rooth gaye, kehti thi zainab..(2) rukhsat ki ghadi aagayi.. abbas na laute Sheh aa gaye, mashk aa gayi Abbas na laute 5. Paani ke liye mashk o alam leke gaye the..(2) din dhal gaya raat aagayi.. abbas na laute Sheh aa gaye, mashk aa gayi Abbas na laute 6. Khaimo mein lagi aag to ammu ko bulane..(2) masoom sakina gayi.. abbas na laute Sheh aa gaye, ma...