Zehra Zehra Pursa Lo Bahattar Ka
Karbal ki kahani jab koi bhi sunayega Dil walon ki aankhon se ek darya baheyega Wo qafela Sarwar ka jo shaan se nikla tha Sughra ko khabr kya thi na laut ke aayega Zehra Zehra pursa lo bahattar ka Tooti hai qamar sheh ki ghabra na magar Akbar Farzande nabi teri mayyat ko uthayega Zehra Zehra akbar ka bhi pursa lo Pamaal hua qasim jab ghodon ki tapon se Kis tarha chacha teri mayyat ko uthayega Zehra Zehra qasim ka bhi pursa lo Tha hathon ke katne ka kuch gham na dilawar ko Saydaniyo ka parda ab kaun bachayega Zehra Zehra abbas ka pursa lo Rotay thay Ali Asghar jhoolay may na sotay thay Madar ko khabar kia thi ik teer sulaye ga Mehman bulaye hay aey Koofiyo Sarwar ko Kia kunba Sheh e deen ka pani bhi na paye ga Sarwar ne uthaye thay sab saathiyon ke laashe Shabbir tera laasha ab kaun utheyga Zehra Zehra shabbir ka pursa lo