Posts

Showing posts from December, 2015

Ya Zahra Ali (2015)

Momino qissa e sadaat suno thaam kar dil ye meri baat suno khoon se likhe huwe halaat suno ya zahra, ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2) ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra Momino qissa e sadaat suno thaam kar dil ye meri baat suno noor e kaunain madina hai jaha’n ek mahella bani hashim hai waha’n ek mahelle ke ek ghar ka bayaa’n jisse behtar nahi duniya mein makaa’n deen o eemaan ke kirdaar ka ghar panjetan paak ke anwaar ka ghar dukhtar e Ahmed e mukhtar ka ghar fatima haider e qarrar ka ghar laadle..(3), inke hasan aur hussain aur do betiya’n thi noor e ayn ek kulsoom thi, ek baap ka zayn aur abbas dilo jaan ka chayn ghar ye tha bayt e khuda jisme qur’aa utra aur kis tarha luta inka rutba na zamana samjha ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra Kaisi mazloom magar thi zahra baap ke ghum me bhi rone na diya haq se mehroom kiya wa abata aaj bhi jiski lahad be saaya jispe jalta huwa darwaza g...

Aye Musafir, Be Kafan Tu (2015)

Alwida, alwida, alwida..(4) Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata Mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida Alwida, alwida, alwida..(2) Ae musafir.. 1. Boli zainab, ae mere maa jaye ye kya haal hai kaise pehchanu tera laasha bohot pamaal hai aah re anta akhi kya, hai tu hi bhaiyya mera mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata 2. Kya tumhi ho ibne zehra, kya tumhi ibne ali kya tumhi bhai hasan ke, aur jaane zainabi ae gule baagh e mohammad, haal ye kya hogaya mai musafir shaam ki hu,  dushmano mein berida Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata 3. Na rahi nalayn, na malboos, na dastaaar hai ae ghareeb e fatima, tu khuld ka sardaar hai ae tane uryaa’n tera to, aaj sab kuch lut gaya mai musafir shaam ki hu,  dushmano mein berida Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata 4. Mai rasan basta chali, waada nibhane ke liye ghar me qatil ke teri, m...

Saadat-e-Karbala

Sadaat-e-Karbala, sadaat-e-Karbala. Chelum ko Karbala mei jab aayi wo bibiyan. 1) Kuch bibiyan yaaha hai kuch bibiyan waha Karti hui fuga (x2) Arey bikhri hui thi maktale sarwar mei jabaja. 2) Ek bibi dashte khooni mei jaati thi nehr par  Kehti ba chashme tar (x2) Abbas dene aayi hoo pursa Sakina ka. 3) Gut gut ke ladli teri zindaan mei mar gayi Turbat wahin bani (x2) Bhaiya woh qaid se na hui maar ke bhi juda. 4) Akbar ki kabr par yun hui Laila nauha gar Dekha na saal bhar (x2) Aayi hun qaide Shaam se ab hoke main reha. 5) Banu yeh ben karti thi aye mere bezubaan Maa dhoonde ab kahan (x2) Batlade hai kahaan mera Asghar aye Karbala. 6) Qurbaan tere aye mere maa jaye bewatan Majboor thi behen (x2) Zindaan mei mujse teri amanat hui juda. 7) Rote hai khaas-o-aam tera sun ke ye kalaam Aye Shah ke ghulaam (x2) Nauha tera "Anees" hai maqboole baregaah.

Zindaan Se Reha Hoke

gham khayegi zainab mar jayegi zainab zindan se reha hoke jo ghar jayegi zainab bin bhai ke jayegi to mar jayegi zainab zindan se reha hoke.... ghar lutgaya pardes may veeran hai dinya zindan se reha hoke bhi zindan hai dunya is qaid se ghar jaake bhi kya paaegi zainab zindan se reha hoke.... soona hai makan jisme wo shehdayi na honge ghar hoga magar ghar may mere bhai na honge ta hashr yehi bhai ka gham khayegi zainab zindan se reha hoke.... bachpan hai jahan aun o mohamed ne guzaara ab un dar o deewar ki tanhai ne maara ab unke na saaye may khabi jayegi zainab zindan se reha hoke.... be aas mujhe kar gaye bache mere kamsin bin beton ke kehlayi to kehlayi mai lekin bin bhai ke dunya may na kehlayegi zainab zindan se reha hoke.... is baat pe hairat hai bahot ahle watan may abbas se bhai ki bahan aur rasan may roodad ye kis tarha se batlayegi zainab zindan se reha hoke.... aaya na koi laut ke bhai tera sughra soona hi rahega bani hashim ka mahella kya deke dila...

Mere Baba Khairiyat Se Ho

sughra ghash se chonk kar uthi, boli sar ko peet-ti hui haay meri neend udgayi mere baba khairiyat se ho dekha aaj maine kaisa khaab, rayth par padey hai kuch gulaab chun rahe hai jinko bu-turaab, khoon ro raha hai aaftab haye meri neend.... ek taraf alam hai khoon may tar, jhuk gayi hai shah ki kamar ja rahi hai jis taraf nazar, bibiyan khadi hai nangey sar haye meri neend.... haaye haay qasim-e-jawan, bain kar rahi hai jiski maa hil gaye zameen-o-aasman, todi jab dulhan ne choodiyan haye meri neend.... ek bachi seena-e-pidar, dhoondti rahi idhar udhar baap so raha tha khaaq par, jis ke tan se kat chuka tha sar haye meri neend.... qaid hai rasool-zaadiyan, haath may badhi hai rassiyan be kajawa hai amariyaan, khoon ro raha hai saarban haye meri neend.... khwaab yeh bada ajeeb tha, baad shaah-e-deen gareeb tha kya yahi mera naseeb tha, be-kafan mera tabeeb tha haye meri neend.... sarwar-o-rehaan ki dua, ho qabool shaah-e-karbala koi beti aur is tarha, phir tadap ke...

Aun o Muhammad Mere

kehti thi zainab ay mere sheron kehti thi zainab mere dilayron aun o mohamed mere aun o mohamed khwab ye zainab ka tha, chand sitare mere, chand sitare mamu pe honge fida godh ke paale mere, godh ke paale khwab ye sacha huva, sar mera uncha raha hone ko sheh par fida, laal mere, sher mere chand mere aun o mohamed mere.... jaffar-e-tayyar ke khoon ke akkas ho, khoon ke akkas husn may akbar ho tum josh may abbas ho, josh may abbas jang ke maidan may maut ke arman may, saaya-e-quran may aise utho aise badho maut pe tum toot pado aun o mohamed mere.... haan meri takeed par dhyan tumhara rahe, dhyan tumhara jaake labe nehr bhi pyas gawara rahe, pyas gawara doodh na bakshungi mai, moo bhi na dekhungi mai sher ki beti hoo mai, wada karo, aao chalo, chup na raho aun o mohamed mere.... maana ke pyase ho tum, pyas pe qaboo rahe, pyas pe qaboo sheh ke alamdar ki, saath may khushboo rahe, saath may khushboo bas ye tamanna meri, laaj rahe khoon ki, hai ye wasiyat meri khao qasam...

Ay Sheh Ke Azadaro

tareeq ke kirdaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro kis baat may tum kam ho darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar ho tum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho tum mazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho ay gham ke lamdaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro rasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil ho mazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho insaan ki azmat ke har baab may shaamil ho zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho matam ke talabgaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro.... nisbat hai payambar se nisbat tumhay hyder se is nisbat-e-maula se tum door rahe shar se tum aankh milate ho har waqt sitamgar se jo dars mila tumko salman avuzar se tum roop wohi dharo kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro.... abbas ke parcham se seekhi hai wafadari aankhon may tumhare hai imaan ki bedaari kismat se mili tumko mazloom ki ghamkhari zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari mazloom ke ...

Aseer Hokey Chali Hoon

aseer hoke chali hoo salaam lo baba ye ibtheda hai musibat ki inteha bhi nahi guzar gayi hai qayamat magar gila bhi nahi phupi ke sar pa kafan ke liye rida bhi nahi aur aaj hosh may beemare karbala bhi nahi aseer hoke chali.... hamara karbobala my qayam ho na saka tumhare dafn ka bhi inthezaam ho na saka pade ho khaak pe kuch ehtemam ho na saka ye zoaf hai ke ada bhi salam ho na saka aseer hoke chali.... suna hai shaam ka darbaar jab bhara hoga yazeed ka sare darbaar saamna hoga mera to bhai bhi zanjeer may bandha hoga phupi jo pahunchegi darbaar may to kya hoga aseer hoke chali.... hai sar pe khaak bhi gham bhi hai aur buka bhi hai hai kamsani bhi musibath bhi aur jafa bhi hai phupi ke saaath rasan me mera gila bhi hai in aafato se guzarne ka hausla bhi hai aseer hoke chali.... hai ab bhi peshe nazar waqiyate karbobala wahin hai shimr ka khanjar wahin hai sheh ka gala wahi hai shaam ka bazaar aur wohi koofa urooj ab bhi sakina ki aa rahi hai sada aseer hoke ch...

Berida Shaam Ke Darbar Mein

berida shaam ke darbaar may jaana zainab zalzale aayenge jis waqt zameen ko payham chaadarein cheen ke le jaaye jo baaniye sitam aur balwey may tamashayi banay na-mehram apne baalo hi se moo apna chupana zainab be rida.... meri naadan sakina ko na rone dena baad mere koi takleef na hone dena garm reti pa kabhi usko na sone dena apne seene pe sakina ko sulana zainab be rida.... ghurkiya meri sakina ko jo de shimre layeen sayliya maarne aaye jo usey woh be-deen khauf ke maarey nikal jaaye na jungle mein kahin apni aaghosh mein tum usko chupana zainab be rida.... yeh luta karwan jis waqt madinah pahunche aake jo dukhtare beemar pidar ko pooche aur baysheer ko jis waqt wo dukhiya dhoonde meri sughra ko kaleje se lagana zainab be rida.... khaafila ahle haram ka jo madina jaaye aur asnaye safar may mera maqtal aaye tumko fursat jo ghadi bhar ke liye mil jaaye chund aansoo meri turbat pe bahana zainab be rida.... karbala may jo mere ghar pe musibat guzri aur baazaar...

Mujhe Paidal Chalna

zindan se reha hokar jis dam jab karbobala may aaye haram naaqe se giri zainab dukhiya aur zakhmi zakhmi rakti qadam rokar ghazi se kehne lagi baba ne mujhe samjhaya tha ay beti ghar may paidal chal chalna hai tujhe meelon tanha o mere ghazi ghairat waale haa meri chadar ke rakhwale haa mujhe girke sambhalna aagaya mujhe paidal chalna aagaya abbas meko paidal turna aagaya abbas mashk-o-alam wale mere shahe wafa awaaz de ummul baneen ke laadle har gham se guzarna aagaya mujhe paidal chalna.... meko paidal turna.... le shaam se mai aagayi ghazi mai kyun zinda rahi saaya tha na meelon koi mujhe dhoop may chalna aagaya mujhe paidal chalna.... meko paidal turna.... dekhe saje aada ke ghar naizon pe thay pyaron ke sar tukde huwa mera jigar mujhe yaad madina aagaya mujhe paidal chalna.... meko paidal turna.... bazaar tha darbaar tha zanjeer thi beemar tha jeena mera dushwar tha har dard ko sehna aagaya mujhe paidal chalna.... meko paidal turna.... ay sarwa...

Kehti Thi Zainab

kehti thi zainab haaye hussaina hogayi barbaad ye behna, karbobala may kehti thi zainab.... karbobala kuch na diya karbo aziyat ke siwa mere daaman may bacha kya hai musibat ke siwa karbala tujhse mila kya hai qayamat ke siwa kehti thi zainab.... subhe ashoor azaane ali akbar ki qasam mere bhai pe chale teer hazaaro payham chup rahi karbobala hote rahe hum pe sitam kehti thi zainab.... mera athara baras wala jiyaala akbar khaagayi usko bhi ay karbobala teri nazar maine dekha hai usi laal ka barchi may jigar kehti thi zainab.... bhai athara thay do bete thay koyi na raha ab to tanhaayi meri deti hai mujko pursa kya bhara ghar tha mera kar diya mujko tanha kehti thi zainab.... mere abbas pe kya guzri bataun kaise mashk ek bharne may do baazu qalam hoke gire uske marne se he mehroom behen chadar se kehti thi zainab.... bekhata qatl huwa bhai mera jungal may saynkdo zakhm kaleje pe lage ek pal may aag pani ne laga di hai mere aanchal may kehti thi zainab.... mere...

Zainab Madiney Jaati Hai

zainab madine jaati hai kya kya liye huwe aankhon may karbala ka nazara liye huwe ehsaas may hussain ka laasha liye huwe ashkon may khoon e zakhme tamanna liye huwe abbas ke alam ka pharera liye huwe zainab madine jaati.... teero se chaak chaak hai sarwar ka pairahan abbas ka libaas wo akbar ka pairahan dooba huwa hai khoon may asghar ka pairahan bano ke sheer-khaar ka jhoola liye huwe zainab madine jaati.... gardan ka tauq abid e muztar ki bediyan kuch bediyon ke daagh to durro ke kuch nashan cheeni huwi sakina ke kaano ki baliyaan nanhi si ek bachi ka sadma liye huwe zainab madine jaati.... karbobala may lut gaya gulzar e panjetan pamaal dasht e kee may hua dilbare hassan pehne huwe hai bewa ki poshak ek dulhan qasim bane ke maathe ka sehra liye huwe zainab madine jaati....

Alvida Alvida (2006)

alvida alvida ali akbar alvida alvida alvida ali qasim alvida alvida alvida aun muhammad alvida alvida alvida ali asgar alvida alvida alvida ya abbas alvida alvida alvida ya shahide bekhata naaze dashte nainava 3 kar kabul behen ka salam ya hussain qaid hoke ja rahi hu sham ya husain dil me teri yaad hai aasra sajjad hai saath ibne saad hai mai hu berida khatm ho gaye hai sare aasre akbaro abbas mere na rahe. katilo ki bhid hai humari har taraf jane ko tayyar ab hai kaidio ki saf ibne shahe buturab ho gayi hu behijab laut aau kaamyaab de mujhe dua  kya sunau dard fakhre panjetan chahe maine lakh hai kiye jatan mai ridae innama bhai teri lash pe mai aa nai saki aag thi qayam the jinme do imam the bacche tishnaqam the aati kis tarah ab na jaae tera begunah lahu jaarahi hu isliye maikhubakhu taake mai bataungi tu bemisaal hai tu baqaae deen hai tu lajawab hai shahe benawa hai tu ruhe laaela hai tu fakhre ambiya hai tu naaze kibriya mai na rukne tera gham ...