Jao Ke Na Ab Deyr Karo
khafela lut gaya amma mera lashkar na raha amma nana ki nishani ali akbar na raha rehgaya dard e kamar haye baradar na raha ab khabar aapne li ghar ki ke jab ghar na raha aur ab dam e zibha ye poore mere arman karna arsh ke neeche na baalon ko pareshan karna jao ke na ab dayr karo, dekho na amma ab laal tera zeen pe hai aur na zameen par aap aayi hai amma mai salami ko na utha hai dard kaleje may jo uthne nahi deta hasrat thi tere pehlu mai dam mera nikalta mai chain se sojata tere godh may madar ab laal tera zeen pe.... kuch dayr may naize pe rakha hoga mera sar na dekhna us waqt mujhe madar-e-muztar chal jayega us waqt tere qalb pe khanjar ghode abhi daudenge meri laash ke upar ab laal tera zeen pe.... mai subh se ta asr uthata raha laashe daman may chune qasim e naushah ke tukde lipta ali akbar ka kaleja tha sina se amma mere chehre pe hai khoon e ali asghar ab laal tera zeen pe.... kis haal may amma hai teri godh ka paala m...