Posts

Showing posts from October, 2021

Dekh Madine Kya Kya Yaadein (Anjuman e Parwana e Shabbir)

Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab, Karbobala mein ghar ko lutakar apne watan mein aayi hai Zainab.  Zulm kiya woh ahle jafaa ne, Zainab ka gham Zainab jaane,  (Soojhe howe hain ab tak shaane) x2 Daaghe yeh kaisi paayi hain Zainab,  Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab. Gham ki kise rudad sunaaye, zakhm jigar ke kaise dikhaaye,  (Daagh e rasan kis kis se chupaaye) x2 Sonchke yeh ghabraayi hai Zainab, Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab. Shaam ka kya bazaar saja tha, shehr e khada tha, bahr e tamaasha, (Haye kisi ne yeh bhi na soncha) x2 Yeh to Ali ki jaayi hai Zainab, Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab. Saamne haakim ke main khadi thi, Bhai ke mere lab pa chhadi thi,  (Haye woh kaisi sakht ghadi thi) x2 Sonch ke yeh tharrayi hai Zainab, Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab. Ek qayamat harsu bapa thi, mahwe tamaasha khalq e khuda thi, ...

Zainab Lipat Gayi Hai (Anjuman e Parwana e Shabbir)

Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se. Armaan hai yeh Zainab, e aali maqaam ka,  Chehlum hai Karbala mein shahe, tashnaqaam ka,  Bhai ki qabr dekh ke, aansu nikal pade,  Pyaason ki yaad aayi toh, darya ubal pade,  Bhai ki qabr hilgayi, kwaahar ke bain se, Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se. Bhaiya tumhare baad anokhe sitam howe,  Durre lage ridaayein chini, khaime jalgaye, Bano ke qalb ka woh sahara bhi jalgaya,  Maa dekhti hi rehgayi, jhoola bhi jalgaya,  Bhai ki qabr hilgayi, kwaahar ke bain se,  Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se.  Bhaiyya woh raat kaisi qayamat ki raat hai,  Ahle haram pa saqt musibat ki raat thi,  Shaane kataake mera nigehbaan sogaya, Abbas ka joh farz tha, maine adaa kiya,  Bhai ki qabr hilgayi, kwaahar ke bain se,  Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se.  Aaghaaz Karbala se hamara safar howa, Abid ko dekh dekhe tukde jigar howa, Kufe mein sar barahna joh, aal e Aba gaye...

Bain The Yeh Bano Ke (Anjuman e Parwana e Shabbir)

Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar, Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar. Bekasi me kya meri, aas toot jaayegi, Ab tumhare jhoole mein, kisko maa jhulaayegi,  Dasht ke andhere mein, kaise neeend aayegi (x2) Ghut rahi hain seene mein, kabse loriyaan Asghar, Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar, Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar. Dekhne ko zinda thi, maa woh karb ka manzar,  Kya sitam howe beta, aah teri gardan par,  Teer e zulm kya kam tha, haye phir chala khanjar (x2) Gir pada na dharti par, kyu yeh aasmaan Asghar, Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar, Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar. Tere jism e naazuk par, pyaas ka asar dekha, Tera chaand sa chehra, khoon me tarbatar dekha, Maine nok e naiza par, haye tera sar dekha, (X2) Margayi na kyu teri be-naseeb maa Asghar, Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar, Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar. Kya bayaan karu beta, mere qalb ki haalat, Phir rahi hai aankhon mein, teri chaand si so...

Wa Hasrata Hussaina (Anjuman e Parwana e Shabbir)

Zanhaaye shaam o Kufa, Wa hasrata hussaina Beninda e tamasha, Wa hasrata hussaina Zainab aseer e adaa, Wa hasrata hussaina Sad alvida Hussaina, Wa hasrata hussaina Zakhmi shuda khudaya, Wa hasrata hussaina Aztaaziyana harjaa, Wa hasrata hussaina Pahlu e Binte Zehra, Wa hasrata hussaina Sad alvida Hussaina, Wa hasrata hussaina Go'ed Zehra hazina, Wa hasrata hussaina Veerana shud Madina, Wa hasrata hussaina Shub bepidar Sakina, Wa hasrata hussaina Sad alvida Hussaina, Wa hasrata hussaina Azmargateen asar shud, Wa hasrata hussaina Rang e jahaan digaar shud, Wa hasrata hussaina Zainab barahna sar shud, Wa hasrata hussaina Sad alvida Hussaina, Wa hasrata hussaina Go'ed Sakina purgham, Wa hasrata hussaina Azdast e shimr e azlam, Wa hasrata hussaina Khoon shudrawaanz e goshem, Wa hasrata hussaina Sad alvida Hussaina, Wa hasrata hussaina Bastand qoum e adaa, Wa hasrata hussaina Darik rasan ba'eeza, Wa hasrata hussaina Aal e Rasool e khudraa, Wa hasrata hussaina Sad alvida Hussaina,...

Pamaal Ran Mein Hogaya (Anjuman Al Abbas)

pamaal ran mein hogaya noushahe karbala   aayi jo ran se qasim -e- bekas ki yeh sada,   waqt madad hain aayiye ab aayiye chacha shabbir sar ko peet ke karte the buka paamal ran mein hogaya noushahe karbala   Qasim hume bulate hain abbas hain kaha goonji sada hussain ki tharaya aasman akbar se roke kehte the yeh shah -e- insoja paamal ran mein hogaya noushahe karbala   suraj pe ahle shaam ka nargha hain aye pisar dhonde kidhar sitam ke andhere mein yeh nazar awaaz sun rahe hain falak se yeh hum sada paamal ran mein hogaya noushahe karbala   mausam bahar ka tha fizza kaisi chagayi yeh zindagi ke din yeh ajal kaisi aagayi tera baras ka sin tha abhi yeh sitam huwa paamal ran mein hogaya noushahe karbala   maqtal ki sar zameen pa dekha yeh maajra, Tukde badan ke bikhra tha Qasim ke jabajaa, Abbas se kehte the bhai yeh kya howa, paamal ran mein hogaya noushahe karbala   maqtal ki gardoodh ke Qasim joh s...