Kehti Hain Aye Hussain Ki Amma
beti ali ki turbate zehra pe aayi hai kurta lahoo bhara hua bhai ka laayi hai kehti hai ay hussain ki amma utho utho zainab se karbala ka zara maajara suno amma hamare ranjo masayab hai dard naak amma hamare qalbo jigar ho chuke hai chaak amma hamare nana ki ummat ne ki dagha amma hamare khoon ko samjhe hai sab rawan kehti hai ay hussain.... amma taras ke reh gaye pani ko ham tamaaam amma diya na humko kisi ne bhi ek jaam amma hamare mard tahay taygh hogaye amma nahake khoon may bechare sogaye kehti hai ay hussain.... amma pade hai nehr pe abbas rooth kar amma sakina soti hai zindan may bepidar amma kahan se akbare mehru ko laaun mai amma kahan pe asghare nadan ko paaun mai kehti hai ay hussain.... amma wo mere auno mohammad mere pisar maidane karbala may pade hai kata ke sar amma lahoo may doob ke qasim bhi chal basay amma hassan ko moo na dikhane ke hum rahe kehti hai ay hussain.... amma hussain karbobala hi may rehgaye amma hussain saare masayab ko seh gaye ...