Posts

Showing posts from November, 2016

Salam Bar Muharram (2017)

Ya aba abdillah..(2) Hussain, hussain, hussain, hussain, hussain hussain,hussain, hussain..(2) Hussaina!!..(6) Shabe awwal e moharram meri ankho'n mein nami qurbaa'n tere sog pe mere maula har khushi meri sanso mein azaa meri dhadkan mein buka tera ghum ghume karbala keh rahi hai ye chashme namm salam bar moharram..(4) Tumhe to pata hai maula gunahgaar hu mai maula har ek waqt har ek lamha khatao'n mein hu mai duba magar jab moharram aaya teri simt mai laut aaya khatakaar hu mai beshak magar hu mai banda tera ye sab kuch teri hi ataa hai hamein ye mahina mila hai faqat ek aansoo pe hi makaa'n khuld mein paaya hai tera jo ghum mila na koi ghum raha ae shahe karbala dil ne di ye sada salam bar maahe hussaini salam bar moharram..(2) Hussaina..(6) salam bar moharram..(2) Juloos e aza e hussaini jaha'n mein bapa hai paiham alamdaar e karbobala ka qayadat hai karta parcham mukhalif tha saara aalam ruke na azaa aur matam hui  chauda(1...

Yeh Karbala Hai (2017)

Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain..(2) Fi fuaadi karbala, wan-nidai karbala Karbala awaaz meri, dil mera hai karbala karbala, karbala, karbala..(6) Yaha'n sambhal kar qadam uthana yeh karbala hai, yeh karbala hai..(2) Yeh baat hargiz na bhul jaana yeh karbala hai, yeh karbala hai Karbala karabala karbala 1. Jahan e sabr o reza yehi hai nida e  sabr o reza yehi hai yaha'n pe aake hai chalke Mehdi(a.t.f.s) Behisht e zahra ye sar zamee'n hai yaha'n hai zahra ka aana jana yeh karbala hai, yeh karbala hai 2. Duaein denge hussain tumko yaha'n pe aansu agar bahaye yaha'n pe beti ne bewatan ki sitamgaro se tamache khaye yaha'n pe khushiyo ko bhul jaana yeh karbala hai, yeh karbala hai 3. Yaha'n pe guzri hai wo qayamat mila na usko sukoon ab tak ridaein chinne ke ghum mein abid lahad mein rota hai khoon ab tak yaha'n pe hargiz na muskurana yeh karbala hai, yeh karbala hai 4. Yaha'n pe hurr bhi tha hurmala bhi kitabe hasti ko...

Sar E Abbas (2017)

Abbas haye abbas..(3) Sar e abbas aata hai..(3) Kaha zainab ne ye rokar, sambhalo bibiyo chadar Sar e abbas aata hai Bula laaye sakina ko..(2), koi zindaan se jakar Sar e abbas aata hai kaha zainab ne... 1. Ye ghairat ka khuda hai uski ghairat ka takaza tha khula sar dekh ke naize se jo ye sar girata tha nahi hai paas gar chadar to rakhlo haath hi sar par Sar e abbas aata hai 2. Bhara hoga lahu aankho'n mein uski khud hataungi mai bachpan ki tarah se bhai ka chehra dhulaungi agar mumkin hai to dede koi paani mujhe laakar Sar e abbas aata hai 3. Haaye.. mujhe uthna padega bibiyo tazeem ko uski mai maa ummul banee ki simt se ghazi ko chumungi arey sambhale sar koi aun o mohammad ke yaha'n aakar Sar e abbas aata hai 4. Isi ehsaas se usne nazar apni jhukayi hai use maloom hai ye kitna ghairat mand bhaai hai chupaye kis tarha zainab pade hai neel shano par Sar e abbas aata hai 5. Mila pani use pucha to kya batlayegi zainab bhala uski bhatiji ko kaha'n se...

Jab Bhi Ho Karbobala (2017)

Haye.. Akhri baar mera haal e musibat sunlo bhai sajjad ye sakina ki wasiyat sunlo jab bhi karbobala aapka jana bhaiyya..(2) meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya Ye wasiyat meri.. ye wasiyat meri tum bhul na jaana bhaiyya meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya jab bhi karbobala aapka jana bhaiyya..(2) 1. Wo agar puche mera haal chacha se kehna meri neendein hui pamaal chacha se kehna taziyano ka sab ehwaal chacha se kehna ab bhi neele hai mere gaal chacha se kehna jo sitam mujh pa hue saare batana bhaiyya meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya 2. Paao jalte the mere hoti thi eeza mujhko chhao me baithne dete na the adaa mujhko jab bhi chalte hue ghash dhoop mein aaya mujhko oonth ki pusht se jallad ne bandha mujhko mai bohot royi.. mai bohot royi magar shimr na maana bhaiyya meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya 3. Jab haram qaid hue maine chacha ko dhundha jab bandhe 12 gale maine chacha ko dhundha jab gohar mere chine maine c...

Bazaar Mein Zainab Ne (2017)

Haye shaam..(3) haaye shaam, haaye shaam, haaye shaam..(2) Bazaar mein zainab ne marne ki dua mangi..(3) jab shaam ke logo se..(2) abid ne rida mangi haaye shaam, haaye shaam, haaye shaam..(2) Bazaar mein zainab ne marne ki dua mangi 1. Rukhsar sakina ke kuch aur hue nile..(2) jab saaye mein aane ki..(2) bachi ne riza maangi 2. Jo raah mein chubte the abbas ki behno ko..(2) un kaanto ne khud rokar..(2) Mehdi(a.t.f.s) se saza mangi 3. Apne liye dono ne ummat se na kuch manga..(2) zainab ne kafan manga..(2) sarwar ne rida mangi 4. Ehsaas e yatimi phir hone laga zainab ko..(2) jab ghazi ne bibi se..(2) marne ki riza maangi 5. Zalim ne talab ki hai wo bacchi kanizi mein..(2) shabbi ne jo beti..(2) tujhse aye khuda mangi 6. Ya rab mujhe dikhla de kaisi hai meri sughra..(2) ye akhri hichki mein..(2) akbar ne dua mangi haaye shaam, haaye shaam, haaye shaam..(2) bazar mein... 7. Rakh deti thi haath apne maa bachi ke hoto'n par..(2) jab bali sakina ne..(2) marne...

Bhai Bhai Pukarti Rahi Main (2017)

Amma meri amma..(3) amma, amma amma ruka na shimr e laee'n mere bayn se sattar(70) qadam thi door ye zainab hussain se bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma shimr ne ki phir aisi ghustakhi..(2) mujhse dekha nahi gaya amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma 1. Tum jo zulfe sawara karti thi unhi zulfo mein haath tha uska jaha'n bose diye the nana ne usi gardan se khoo'n tapakta tha sare shabbir yu uthaye hue shimr khaime tak aagaya amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma 2. Dekh kar mujhko bayn karte hue shimr har baar muskarata raha meri nazro ke saamne zalim waar ginkar churi chalata raha haye 13 zarbe thi kund khanjar tha aur shabbir ka gala amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma 3. Charo janib se gher rakha tha tere noore nazar ko lashkar ne teer barsata tha koi uspar koi patthar se maarta tha use haye ret zakhmo pe wo girata raha jisko patthar nahi...

Baba Raat Hogayi Hai (2017)

Baba raat hogayi..(6) Baba aye mere baba, aao dhal gaya suraj Nauha tha sakina ka, aao dhal gaya suraj Baba aye mere baba, aao dhal gaya suraj Baba raat hogayi..(4) 1. Sirf apne seene par, shab guzaar lene do Chayn se mere baba, ek dafa to sone do Subha phir chale jaana, aao dhal gaya suraj 2. Dono haath phaylaye, mai tumhe bulati hu Is andhere zindaa mein, kitna ghabrati hu Ab nahi raha jaata, aao dhal gaya suraj 3. Bus tumhare jaate hi, ghar jale chini chadar Shimr mere kaano se, cheen le gaya gauhar Zulm hogaye kya kya, aao dhal gaya suraj 4. Kya tumhe gawara hai mai yateem kehlau Dushmano ki basti mein, kaise dil ko behlau Berida hu be saaya, aao dhal gaya suraj 5. Shaam tak sabhi apne, ghar ko laut aate hai Kitna hum to ro ro kar, intezar karte hai Tum kab aaoge baba, aao dhal gaya suraj Baba aye mere baba, aao dhal gaya suraj Baba raat hogayi...Raat hogayi baba...

Yeh Kaun Gira (2017)

Kaaba hai siyahposh falak mehwe buka hai Ye gumbade aflaak se kyu shor utha hai Kohram baqaiyya ki fizao me bapa hai - 2 Ye kaun gira - 2 Ye kaun gira reti per - 2 1. Tha waqte asr arshe moalla pe shor tha - 2 Wa hasrata ke zeen se zameen per koi gira Kaapi zameen chashme malaaek ko yu laga Quran rehle zeen se sare farsh gir pada - 2 Deeware kaaba bayth gayi arsh gir pada 2. Girte hi iske kaabe ki deewar gir gayi Sar aasman ka jhuk gaya dastaar gir gayi Insaniyat ki dehr me sarkaar gir gayi Zakhmo se chur chur hai jhuk kar kamaan hai - 2 Hairaan hai maut khauf nahi itmenaan hai 3. Ye hogaya maalum ye khaasaane khuda hai Ye aisa bashar hai jo zamane se juda hai Qaunain me kyu iske liye hashr bapa hai Kyu iske liye arshe moalla pe hai matam - 2 Rote hai nabi saare siyah posh hai adam 4. Ye marde khuda shahe arab aala nasab hai Alhamd se wan naas talak iska hi sab hai Baba ka nasab maa ka hasab iska hasab hai Teero ke musalle pe jo sajde me gira hai - 2 Islam isi s...

Aey Kufiyo (2017)

Aye kufiyo Ghul machate be adab wo kufiyaane bad zabaan..(2) wahshato'n ke dayere mein thi ali ki betiya'n zalimo ke saamne, qatilo'n ke darmiyaa'n choti dukhtare ali ki aa rahi thi ye sadaa hussainnn... nauha ye tha kulsoom ka, aye kufiyane bewafa..(2) aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa hai tumhe khabar, tum ho aashna kiska ghar luta, kiska khoo'n baha haye tumne ye kya kar diya kisko loot kar, ghar jala diya hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2) aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa hai tumhe khabar, tum ho aashna kiska ghar luta, kiska khoo'n baha haye tumne ye kya kar diya kisko loot kar, ghar jala diya hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2) 1. Us hussain ko qatl kar diya jiske paas hai marziye khuda deen jiske ghar surkhroo hua jis hussain ka, nana mustafa(s.a.w.w)..(2) jis hussain ka, baba murtaza(a.s.) jis hussain ki, maa hai sayyeda(s.a.) ru baru agar hog...

Khoon Barsa (2017)

Khoon barsa, khoon barsa..(3) Khoon barsa na barasna tha na badal barse ek ek qatre ko paani ke shahe dee'n tarse Khoon barsa, khoon barsa Khoon barsa na barasna tha na badal barse 1. Pyaas jab hadse badhi roke sakinaa ne kaha..(2) door kitni hai chacha nehr batao ghar se Khoon barsa, khoon barsa Khoon barsa na barasna tha na badal barse 2. Ab kaha'n khaak pe baithi ho sakina uttho..(2) kaun aaya hai palat kar jo gaya rann se Khoon barsa, khoon barsa Khoon barsa na barasna tha na badal barse 3. Ghudkiya'n shimr ki khaayi to kiya aap ko yaad..(2) kaan ke dard se royi to tamache barse Khoon barsa, khoon barsa Khoon barsa na barasna tha na badal barse 4. Abhi shabbir hai zinda wahi thehro zainab..(2) tumko akbar ki qasam tum na nikalna ghar se Khoon barsa, khoon barsa Khoon barsa na barasna tha na badal barse 5. Mere nana ke madine tujhe zainab ka salam..(2) thokare khake palat aayi hu mai dar dar se Khoon barsa, khoon barsa Khoon barsa na barasna tha n...

Baadshah Hussain (2017)

Hussain x2 badshaah hussain, hussain badshaah hussain yeh deen panaahi ka sharaf kisko mila hai, yeh kiska laqab hai jo sare arsh likha hai badshaah hussain, hussain badshaah hussain Ajmer ke khwaaja ne yeh sach khoob kaha hai, laarayb k shabbir hi kalme ki baqa hai badshaah hussain, hussain badshaah hussain shah ast hussain, badshah ast hussain dee'n aat hussain, dee'n panah ast hussain sardaad na daad dast dar dast e yazeed haqqa k bina laa ilaah ast hussain badshaah hussain, hussain badshaah hussain karbobala ishq e khuda ishq ka tu sultaan hussain shah hussain, badshaah hussain dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain 1. Maula bada kaam kiya, deen e khuda aam kiya, kar naa saka koi kabhi, tune wahi kaam kiya, waada wafa karke raha, sar na jhuka haq pe jiya, sabse bada mera khuda karta rha ailaan hussain shah hussain, badshaah hussain dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain badshaah hussain, hussain badshaah hussain karboba...

Kya Andhera Hai Phoopi (2017)

Haay Aye phuphi amma - 3 Aye phuphi amma meri - 4 Kya andhera hai phuphi - 2 Qaidkhane me sakina ka tha nauha aye phuphi Kya andhera hai phuphi - 2 Ek shama mangwaiye ke ho ujala aye phuphi Kya andhera hai phuphi - 2 1. God me apni chupalo dil dhadakta hai mera Har ghadi lagta hai jaise shimr fir se aa gaya Paas se mere nahi jaana khudara aye phuphi 2. Khauf aata hai phuphi din ke ujaale me yaha Wehshate hi wehshate hai qaidkhane me yaha Ek pal lagta nahi hai dil hamara aye phuphi 3. Ab kaha baba ka seena chayn ki raate kaha Ab kaha wo din rahe wo pyaar ki baate kaha Aayenge kab laut ke wo din dubara aye phuphi 4. Haa abhi kuch der pehle mujko neend aayi to thi Chand lamho baad firse aankh meri khul gayi Yu laga jaise ho baba ne pukara aye phuphi 5. Aaye baba to sunau mai sitam ki daastaan Mai dikhaaungi rasan ke aur tamacho ke nishan Sun nahi paayenge baba haal saara aye phuphi

Aye Alam Dar e Man (2017)

ya Abbas a.s (10) Aey Alamdar e man Aey Sipah dar e man(2) Aey wafadar e man Aa Main hogaya tanha Ya Abbas a.s(3) 1. Waqt e madad hai ba wafaa darya pe ab sota hai kya Halmin ki deta hu sada sun aey Sakina a.s ke chacha aey mere bawafaa aey mere dilruba aey mere mehlaqaan Aa Main Hogya Tanha Ya Abbas a.s (3) 2.  Aa dekh meri zindagi Dard o alam main ghir gayi zakhmi huwa rah war bhi barhne lagi hai tishnagi Tunay rakha bharam Har ghadi har qadam Phir uthalay Alam Aa main hogaya tanha ya Abbas a.s (3) 3. Laashain utha kar thak gaya Pucho na kese ghar gaya Abbas phir main gir gaya Samjhi Behn main mar gaya haye kiya reh gaya hogayi inteha jaane Mushkil Kasha Aa main hogaya tanha Ya Abbas a.s (3) 4. Bhaya mujhay yeh hai khabar Be dast tu hai khaak par Phir bhi magar koshish to kar Aja tarayi chod kar Tere baazoo qalam khoon main dooba Alam Hai Sakina a.s ko gham Aa mai hogya tanha Ya Abbas (3) 5. Khanjar talay hai sar mera zaalim hai seenay par charha thi...

Abbas Tumhe Baali Sakina (2017)

Tuh shere Jari hai, sakhiyo ka sakhi hai Ya baabe hawaej meri fariyaad ko sunle.. 2 Imdaad karo meri.... 2 Ab waqte karam hai ABBAS TUMHE BALI SAKINA KI QASAM HAI-3 1. Aaya hu tere darpe badi aas hai maula, Har tute hue dil ka tu ehsaas hai maula , Tu ek samandar hai mujhe pyaas hai maula, Zakhmo ki dawa sirf tere paas hai maula. Imdaad  karo meri-2 Ab waqte karam hai ABBAS TUMHE BALI SAKINA KI QASAM HAI-3 2. Be dast sakhi apni sakhawat tu dikha de, Marte hue logo ki hayaat aur badha de, Tu chahe toh matti ko bhi akseer bana de, Bimaar ko ABBASE ALAMDAAR shifa de. Imdaad karo meri.... 2 Ab waqte karam hai ABBAS TUMHE BALI SAKINA KI QASAM HAI-3 3. Milti  hai tere darse gunahgaar ko izzat, Bat-ti hai zamane me tere hath se daulat, Aulad, shifa, rizq, hunar, lutfo sama'at, Isaar, wafa, ishqe khuda teri ata'at. Imdaad karo meri.... 2 Ab waqte karam hai ABBAS TUMHE BALI SAKINA KI QASAM HAI-3, 4. Tu baabe hawaej hai sakhi ibne sakhi hai, Allah ke nazdeek t...

Ab Main Paani Na Maangungi (2017)

Ro rahi hai tumhari sakina.....4 Laut  aao chacha alkama se pyase ashko se apni bujha lungi..... Ab mai pani na mangungi.....2 Aur kuch roz pyaase rahe bhi toh kya, Pyaas se badhke gam aapka hai cahcha, Koi degana ab al atash ki sada.... Laut  aao chacha alkama se........... Pyaase bacho ko  mai khud mana lungi....... Ab mai pani na mangungi.....2 Pani aae na aae mujhe gham nahi, Par ye furkat yatimi se kuch kam nahi, Yu samajh lo chacha tum nahi ham nahi , Laut  aao chacha alkama se........... Maina shikwa kabhi lab pe laungi..... Ab mai pani na mangungi.....2 Zalimone mujhe besahara kiya, Maine kaato pe chalna gawara kiya, Dil ke zakhmo ne nauha dubaara kiya, Laut  aao chacha alkama se........... Sab ghamo ko gale se laga lungi...... Ab mai pani na mangungi.....2 Yu sitamgar mujhe ab satane lage, Paani mujhko dikhakar bahane lage, Zakhm dil ke tumhe fhir bulaane lage, Laut  aao chacha alkama se........... Zalimo se tamache bhi kha...

Abbas Kaha Ho Bhai (2017)

Abbas mere bhai he dekh meri tanhaae...2 Haas Abbas ....Haas abbas ...2 Haae shame gariba aae ....2 Pehre pe zehra jaae abbas kahan ho bhai Haae shame garina aae ....2 Pehre pe zehra jaae abbas kahan ho bhai....2 Har bibi  hai ghabraae ..2 haae fauj  hai lutne aae Abbas kahan to bhai Haae shame gariba aae ....2 Pehre pe zehra jaae abbas kahan ho bhai...2 Atthara baradar ho jiske chin jaae usi bibi ki rida , Maara  hai garibo ko pyaasa lassho pe hame rone na diya....2 Haae legae chadar zalim. ..2 Ye kaisi qayamat aae..... Abbas kahan to bhai....... Haae shame gariba aae ....2 Pehre pe zehra jaae abbas kahan ho bhai....2 Bachi ne tamache khaae hai ye Zulm huwa ham par bhai, Chadar bhi chini masnad bhi jhali Khaimo me aag lagi bhai....2 Jalte hue khaimo se mai....2 Aabidko bacha le aae...... Abbas kahan to bhai....... Haae shame gariba aae ....2 Pehre pe zehra jaae abbas kahan ho bhai....2 Ye garm zamin sehme bache mai kaise inhein samjhaaon, Rote...

Ghabraey Gi Zainab

Ghabraey Gi Zainab Bhaiya tumhain ghar, ja ke Kahan paey gi Zainab Ghabraey Gi Zainab Pardes hai gurbat hai (2) Kaha jaayegi zainab, Ghabraey Gi Zainab Tum Saaniye zahra ki yeh, gharibi ko samajhna, Ghazi ki kasam hai tumhe, bhaayi na tadapna, Be parda tere laash pe, jab aayegi zainab Ghabraey Gi Zainab  (2) Jis tarha guzarungi, qayamat ka woh lamha, Jab shaam e ghareebaan mein, mera saamna hoga, Baba se nigaahein na, mila paayegi zainab, Ghabraey Gi Zainab  (2) Insaaf karo kaisi, behen dil ko sambhaale, Isi tanze ka ehsaas, mujhe maare na daale Baaghi ki behen shaan mein, kehlaayegi zainab Ghabraey Gi Zainab  (2) Tum meri tarha gham yeh, akele hi sahoge, Vaada karo yeh baat, na bano se kahoge, Zindaan sakina ko (2) joh dafnaayegi zainab, Ghabraey Gi Zainab  (2) Dekhi nahi jaayenge, woh mayoos nighaaein, Sughra joh usse deti, hai jeene ki duaen, Akbar ke bina jab bhi, watan jaayegi zainab Ghabraey Gi Zainab  (2) Kya kya howa bazaar mei...

Gayi Darbar Mein Zainab

Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi (2) Yeh kaisa, garb hai ya rab, Qayamat kyu nahi aayi, Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nahi aayi (2) Kata sajde mein sheh ka sar (2) Jale khaime chini chadar  (2) Yeh sab kuch hogaya ya rab, Qayamat kyu nahi aayi (2), Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi (2) Hai ab tak fikr uljan mein (2) Sakina teri gardan mein (2) Rasan baandhi gayi thi jaan, Qayamat kyu nahi aayi ( 2 ) Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi ( 2 ) Khule bazaaro mein ya rab (2) Bhare darbaro mein ya rab (2) Tamasha ban gayi Zainab, Qayamat kyu nahi aayi ( 2 ) Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi ( 2 ) Salasil touq mein jakra (2) Imam aahista aahista (2) Sare darbar pohoncha jab, Qayamat kyu nahi aayi ( 2 ) Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi ( 2 ) ...

Aaya Hai Alam (2015)

Alamdaar na aaya, alamdaar na aaya..(3) Aaya hai alam, aur alamdaar na aaya..(2) darya se dil e haider e qarrar na aaya aaya hai alam.. 1. Baazu jo kate daa'nto mein mashkeeza dabaya..(2) jab mashk chhidi phir wo hayadaar na aaya aaya hai alam.. 2. Har waaste bhai ka madadgaar tha ghaazi..(2) baad uske koi sheh ka madadgaar na aaya aaya hai alam.. 3. Jab tak wo raha chadar e zainab ka muhafiz..(2) khaime ki taraf koi sitamgaar na aaya aaya hai alam.. 4. Baazu tha jo shabbir ka be baazu hua wo..(2) be dast wo dast e shahe abraar na aaya aaya hai alam.. 5. Jis waqt tamache hai lage boli sakina..(2) kya mujhpe chacha jaan tumhe pyaar na aaya aaya hai alam.. 6. Hai mujhko yaqee'n naize pe ghazi ko ye ghum tha..(2) kabze mein mere shaam ka bazaar na aaya aaya hai alam.. 7. Manga hai sakina ke tawassul se jo meesum..(2) salman dar e ghazi se inkaar na aaya aaya hai alam..