Posts

Showing posts from 2025

Aagaye Haram Hoga Arbaeen

Aagaye Haram Hoga Arbaeen Gham Ke Paasban Dard Ke Ameen Aaye Qaid Se Abide Hazeen Farshe Khaak Par Hai Falak Nasheen Aagaye Haram Hoga Tauq Bediyaan Aur Reesma Sar Pe Gir Pada Jaise Aasman Ghamzada Falak Roti Hai Zameen Aagaye Haram Hoga Dekhiye Mera Zakhmi Hai Gala Nange Paon Mai Kaaton Par Chala Aisi Bebasi Hogi Kya Kahin Aagaye Haram Hoga Zindagi Se Ye Maut Hai Bhali Ay Mere Chacha Sheh Ki Zindagi Shaam May Hai Ab Teri Naazneen Aagaye Haram Hoga Dukhte Hai Mere Sab Ye Us Suqan Kis-Se Mai Karoon Haale Dil Bayaan Keh Rahe Hai Ye Abide Hazeen Aagaye Haram Hoga Akbare Jawan Mere Bhai Jaan Saath Tum Nahi Khaak Hai Jahan Yaad Karti Hai Zainabe Hazeen Aagaye Haram Hoga Sar Kata Diya Ghar Luta Diya Deen Ko Magar Tu Bacha Liya Fatema Ke Laal Waarise Akheer Aagaye Haram Hoga Dafn Jo Hui Dekho Parde May Nange Sar Kabhi Thi Jo Balwe May Uski Betiyan Dar Badar Phiri Aagaye Haram Hoga Karbala May Ab Dekho Ek Baar Gham May Doob Kar Hogaya Ye Haal Sayyeda Ke Saath Fakhre Mursali Aagaye Haram Hoga

Nigehbaan Watan Jaati Hu’n Bhai

Ab Aakhri Mujra Main Baja Laati Hu’n Bhai Ujde Huwe Kunbe Ko Liye Jaati Hu’n Bhai Maalum Nahi Laut Ke Kab Aati Hu’n Bhai Dil Doob Raha Hai Mera Ghabraati Hu’n Bhai Allah Nigehbaan Watan Jaati Hu’n Bhai Haidar Ka Pisar Fatima Ki Jaan Yahin Hai Wo Jis Pa Wafa Hogayi Qurbaan Yahin Hai Bhayya Mere Parde Ka Nigehbaan Yahin Hai Dil Doob Raha Hai Mera Ghabraati Hu’n Bhai Allah Nigehbaan Watan Jaati Hu’n Bhai Lakhte Dil E Shabbir Ko Kaleje Se Lagana Be Chain Jo Asghar Ho To Seene Pa Sulaana Bhayya Mere Bachchon Ko Kahi’n Bhool Na Jaana Dil Doob Raha Hai Mera Ghabraati Hu’n Bhai Allah Nigehbaan Watan Jaati Hu’n Bhai Ab Kaaheko Phir Laut Ke Yaad Aaegi Zainab Ab Tum Ko Madine Me Kahan Paaegi Zainab Marjayegi Marjayegi Marjayegi Zainab Dil Doob Raha Hai Mera Ghabraati Hu’n Bhai Allah Nigehbaan Watan Jaati Hu’n Bhai Batlaao Ke Kab Tak Yuni Khamosh Rahoge Kya Khwahar E Nashaad Ko Rukhsat Na Karoge Sughra Ke Liye Kya Koi Paigham Na Doge Dil Doob Raha Hai Mera Ghabraati Hu’n Bhai Allah Nigehbaan Watan...

Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Shahre Rasule Haq Bada Sunsaan Hogaya Jalti Zami’n Pa Gir Pade Jab Akbare Jawa’n Laashe Pa Shaah Pohnche To Andher Tha Jaha’n Laila Se Dekha Jaaega Kis Tarha Ye Sama Kadiyal Jawa’n Ke Sine Me Tooti Huwi Sina Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Bedast Hoke Gir Pade Abbas-E Naojawa’n Ankho’n Me Sheh Ki Deed Ka Arma’n Labo’n Pa Jaa’n Haa’el Hai Darmiyaan Me Ik Teere Jaa’nisaa’n Rone Lage Tadapke Shahinshah-E Insojaa’n Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Kya Housle The Tifle Shah-E Benazir Ke The Nehr Par Buland Iraade Saghir Ke Tewar Ayaa’n The Rukh Se Janab-E Ameer Ke Nanha Sa Ik Gala Tha Muqabil Me Teer Ke Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Beta Khada Hai Saamne Aur Berida Bahan Jakda Huwa Hai Touqo Salasil Me Sara Tann Baba Ki Laash Rann Me Hai Begoro Bekafan Sadme Se Kampne Laga Sajjad Ka Badan Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Karbo Bala Se Karwa’n Kufa Huwa Rawa’n Oonto Ki Nangi Pusht Pa Baithi Hain Bibiya’n Hai Sar Khula Har Ek Ka Ba...

Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n

Baithi Huwi Hain Khaak Pa Saidaania’n Tamaam Ranjo Alam Ka Hai Har Ik Simt Ishdihaam Har Lamha Yaad Aati Hai Aashoor Ki Wo Shaam Hota Hai Aaj Sibte Payambar Ka Arbaee’n Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n Pamaal Ran Me Hogaya Shabbar Ka Nounehaal Kubra Ki Aarzuein Huwi Rann Me Paaemaal Farwa Ke Dil Ka Chain Tha Terah Baras Ka Laal Hai Karbala Me Dilbar E Shabbar Ka Arbaee’n Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n Dekhi Gayi Na Saaniye Zehra Ki Bekasi Aaya Khayaal Aun O Muhammad Ka Jis Ghadi Zainab Ghareeb Kehti Thi Har Lamha Bas Yehi Khwahar Karegi Apne Baradar Ka Arbaee’n Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n Abbase Naamdaar Ke Shaane Qalam Huwe Pyaasi Sakina Reh Gayi Paani Na La Sake Tooti Kamar Hussain Ki Abbas Chal Base Darya Pa Hai Wafa Ke Payambar Ka Arbaee’n Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n Atthara Saal Waale Ki Maadar Hai Sogwaar Roti Hai Yaad Karke Wo Akbar Ko Baar Baar Kulsoom Beqarar Hai Zainab Jigar Figar Hai Aaj Ham Shabihe Payambar Ka Arbaee’n Kar...

Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab

Hai Jiska Ayat E Tat’heer Pairahan Zainab Imamato’n Ki Madadgaar Khasta Tann Zainab Hai Shaane Deene Khuda Jaane Panjatan Zainab Ali Ki Jaayi Hai Abbas Ki Bahan Zainab Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab Wo Waqte Asr Wo Maqtal Wo Sogwaar Fazaa Nazar Ke Saamne Bhai Ka Katt Raha Tha Gala Tadap Raha Tha Badan Zere Tegh Pyaase Ka Udhar Thi Mehwe Fughaa’n Shah Ki Bahan Zainab Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab Chhuta Hai Bhai Bhi Aur Marchuke Hain Bachhe Bhi Rida Bhi Sar Pa Nahi’n Jal Chuke Hain Khaime Bhi Jale Hain Qalb Bhi Daaman Bhi Aur Kurte Bhi Chali Hai Chhor Ke Bhai Ko Bekafan Zainab Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab Jawa’n Ka Qatl To Khud Uske Dil Pa Bhaala Tha Tha Gham Azeem To Shabbir Ko Sambhaala Tha Qadam Jo Khaime Se Pehle Pahal Nikaala Tha Sahara Dene Ko Aayi Thi Pur Mehan Zainab Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab Dayaar E Kufa Me Taqreer Se Jihad Kiya Diya Hai Shaam Ke Darbaar Me Kabhi Khutba Kabhi Khamoshi Se Mazloomiyat Ko Nashr Kiy...

Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Yalghaar Hai Ghodo’n Ki Aur Qasim-E Bepar Hai Tooti Huwi Barchhi Hai Aur Seena-E Akbar Hai Hulqoome Ali Asghar Aur Teer-E Sitamgar Hai Naize Ki Bulandi Hai Aur Phool Sa Ik Sar Hai Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai Hai Aalame Tanhaai Aur Zulm Ka Lashkar Hai Nargha Hai Laeeno Ka Aur Jaane Payambar Hai Tegho’n Se Badan Zaqmi Aur Teero’n Ka Bistar Hai Shabbir Ki Gardan Hai Aur Shimr Ka Khanjar Hai Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai Uthti Huwi Talware’n Chalte Huwe Naize Hain Sab Zakhme Badan Goya Mashko’n Ke Dahaane Hain Har Simt Se Hamle Hain Abbas Akele Hain Pyaase Ka Sare Zakhmi Aur Gurze Sitamgar Hai Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai Karbal Ke Biyaba’n Me Aasaar Hain Mehshar Ke Bikhre Huwe Maida’n Me Laashe Hain Bahattar Ke Zainab Ki Nigaho’n Me Sab Zakhm Hain Sarwar Ke Jalti Huwi Reti Hai Aur Laasha-E Besar Hai Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai Khamosh Biyaba’n Hain Aur Shaame Ghariba’n Hai Har Aankh Me Ashko’n Ka Thehra Huwa Toofa’n Hai Bewo’n Ka Ya...

Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Shabbir Ne Maida’n Ka Naqsha Hi Digar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Abbas Ki Dariya Par Nazre’n Na Theherti Thi’n Jab Bhar Liya Mashkiza Mudhkar Na Udhar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Dil Thaam Liya Apna Aur Ashk Nikal Aaye Sajjad Ne Baba Ka Naize Pa Jo Sar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Sar Peet Liya Apna Ik Hashr Kiya Barpa Zinda’n Me Sakina Ne Baba Ka Jo Sar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Maida’n Se Ali Akbar Waapas Huwe Khaime Me Maa Ne Jo Dua Ki Thi Uska Ye Asar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Hulqoom Pa Zalim Ka Jab Teere Sitam Aaya Beshir Ne Baba Ko Bas Ek Nazar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Nazro’n Me Mujahid Thi Tasweer Wo Furqat Ki Shabbir Ne Sughra Ko Jab Waqt-E Safar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Pohncho Najaf Se Karbobala

Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Halmin Ki Aarahi Hai Sada Ya Ali Madad Barchhi Nikaalte Huwe Seene Se Laal Ke Mazloome Karbala Ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Nikla Jo Teer Asghare Beshir Ki Taraf Ghabraake Phir Hawa Ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Naiza Huwa Jo Seene Me Paiwast Shah Ke Arshe Baree’n Larazne Laga Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Baitha Huwa Hai Seena-E Aqdas Pa Badkhisaal Khanjar Tale Hai Sheh Ka Gala Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Dekha Sare Hussain Jo Naize Pa Saamne Bimar-E Nainawa Ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Wo Jalte Khaime Bebasi Wo Bekaso’n Ki Shaam Sehraa-E Karbala Ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Jab Daakhila Yazid Ke Darbar Me Huwa Tab Binte Murtaza Ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Manzar Wo Karbala Ka Mujahid Na Poochhiye Bachcho’n Ki Al Atash Ki Sada Ya Ali Madad P...

Aisa Musafir Koun Hai (Anjuman e Masoomeen)

Ho Paao Zaqmou Se Bhare Aisa Musafir Koun Hai Rote Ho Jisko Raate Aisa Musafir Koun Hai Wada Nibhane Ke Liye Dee'n Ko Bachane Ke Liye Kaantou Pe Jo Chalta Rahe Aisa Musafir Koun Hai Har Gaam Jisko Beqata Durre Lagaye Ashqiya Wo Shukr Ka Sajda Kare Aisa Musafir Koun Hai Tujh Ko Quda Ka Wasta Aye Karbala Tu Hi Bata Ghurbat Me Jiska Ghar Luta Aisa Musafir Koun Hai Taraj Ghar Ki Yaad Me Apne Pidar Ki Yaad Me Taa Zindagi Rota Rahe Aisa Musafir Koun Hai Jo Paikare Hasaas Ho Us Waqt Ka Abbas Ho Ghairat Jise Sajda Kare Aisa Musafir Koun Hai Turbat Banaye Qaid Me Mayyat Uthaye Qaid Me Pucho Zara Tareeq Se Aisa Musafir Koun Hai Qaidi Ki Ghurbat Dekh Kar Jiski Musibat Dekh Kar Ayyub Bhi Nouha Padhe Aisa Musafir Koun Hai Gardan Me Ho Touqe Giraa'n Aur Paao Me Ho Bediya'n Taa Sham Wo Paidal Chale Aisa Musafir Koun Hai Aahan Pehan Ke Hath Me Kunbe Ko Leke Sath Me Darbaar Me Jana Pade Aisa Musafir Koun Hai

Barchiyo Me Dil Ka Tukda Reh Gaya

Barchiyo Me Dil Ka Tukda Reh Gaya Sheh Ki Ankhou Me Andhera Reh Gaya Aye Falak Sehne Sitam Ke Waaste Kya Nabi Zaadou Ka Kunba Reh Gaya Noke Naiza Par Sare Akbar Ke Sath Umme Laila Ka Kaleja Reh Gaya Ab Na Wo Akbar Hai Na Husno Shabaab Ha Magar Duniya Me Charcha Reh Gaya Odhti Kyukar Rida Binte Ali Be Kafan Bhai Ka Laasha Reh Gaya Isko Kehte Hai Wafa Ehle Wafa Bhar Ke Saqqa Mashk Pyasa Reh Gaya Jalgaye Qaime Ridaye Chin Gayi Qaana E Zehra Me Ab Kya Reh Gaya Jhaad Ke Daaman Shahedee'n Uthgaye Bezabaa'n Marqad Me Tanha Reh Gaya

Kahan Ho Bezaba'n Asghar

Kahan Ho Bezaba'n Asghar, Ye Rota Hai Jahan Asghar Meri Godi Me Sote Ho, Humakte Aur Rote Ho, Tumhari Yaad Me Aksar, Ye Hota Hai Gumaa'n Asghar Ali Asghar Mere Jaani, Mila Na Tumko Yaa'n Paani, Rakha Pyaasa Layeeno Ne, Bulaakar Mehmaa'n Asghar Jidhar Dekho Qamoshi Hai, Udaasi Hi Udaasi Hai, Nigaaho Me Andhera Hai, Tumhe Dhoondu Kahan Asghar Ye Kis Bekas Na Nouha Hai, Kaleja Gham Se Phat Ta Hai, Tumhaare Gham Me Rote Hai, Zameeno Aasmaa'n Asghar Ye Kaise Bezubani Hai, Ajab Moujuz Bayaaani Hai, Tumhaari Tashnakaami Par, Hai Dunya Nouhaqaa'n Asghar Gaye Be Jurm Tum Maare, Na Aaoge Kabhi Pyaare, Jo Tum Aaoge Maidaa'n Se, To Sadqe Tum Pe Maa Asghar Jo Maa Karwat Badalti Hai, To Dil Se Hook Uth'ti Hai, Tum Apni Maa Se Aye Beta, Na Lo Ab Imtehaa'n Asghar Jise Dekho Wo Rota Hai, Lahu Aankho Se Behta Hai, Hamaare Dil Pe Hai Dekho, Ye Maatam Ke Nasha'n Asghar Sakina Yaad Karti Hai, Kabhi Pani Wo Peeti Hai, Wo Mujhse Kehti Hai Amma, Bataao Hai Kahan Asghar

Rangeen Hai Khoon Se Karbobala

Rangeen hai khoon se Karbobala dur dur tak Qasim ko le gayi hai qaza dur dur tak Ghazi kahan kahan se uthaye tujhe Hussain Bikhra hua hai lasha tera dur dur tak La la ke shamiyon ne giraye Hussain par Pathar na koi ran mein bacha dur dur tak Akbar ki lash tak kabhi Asghar ki lasha tak Shabbir kohniyon pe chala dur dur tak Chalta tha shimr balon se thamay sar e Hussain Gardan se khoon behta gaya dur dur tak Ghurbat ke pehle mil gaya naizon ko sheer khawar Maa ne bohat talash kiya dur dur tak Balon se pakray dortay ghoron ke sath sath Masooma ko chalaya gaya dur dur tak Kehta tha shimr naizon pe itni karo buland Sab ko dikhayi de yeh rida dur dur tak Zainab ne al hijaab ki maqtal mein di sada Akbar ghubar urney laga dur dur tak

Bhaiya Yeh Dua Mangiyae Marjaye Sakina

Bhaiya Yeh Dua Mangiyae Marjaye Sakina Hasrat Na Rahi Dil Me Ke Ghar Jaaye Sakina   Zinda’n Ke Andhere Me Hi Marjaye Sakina   Ab Qabr Me Hi Jayegi Gar Jaaye Sakina Zinda’n Ka Andhera Mujhe Sone Nahi Deta   Zaalim Mujhe Royee Bhi Toh Rone Nahi Deta   Kuch Chain Mayassar Mujhe Hone Nahi Deta Baba Toh Nahi Aaye Yaha’n Mujh Ko Chudane   Ammu Bhi Mujhe Chhod Gaye Ranj Uthane   Shimr-E-Layeen Ki Reh Gayi Mai Seliya’n Khane Gardan Ki Reesma’n Se Meri Saans Hai Rukti   Aur Shimr Ke Durro’n Se Meri Pusht Hai Zaqmi   Chalo’n Ki Aziyath Se Mai Chal Bhi Nahi Sakti Baba Ke Na Aane Ka Gila Karti Thi Bibi   Din Raat Yehi Aah O Buka Karti Thi Bibi   Hatho’n Ko Utha Kar Yeh Dua Karti Thi Bibi Daadi Ki Tarah Saans Bhi Mai Le Nahi Sakti   Zaalim Ke Tamacho’n Se Mere Gaal Hai Zaqmi   Zindaan Me Ek Pal Mujhe Raahat Nahi Milti Ab Qabr Me Hi Jaake Sukoo’n Paungi Bhaiya   Baba Nahi ...

Alam Abbas E Ghaazi Ka - Anjuman Aun o Mohammad

Alam Abbas E Ghaazi Ka Lahu Me Tar Jo Le Aaye Hussain Ibne Ali Parcham   Badi Hasrat Se Takti Thi Use Saydaniya Paiham   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka Kate Abbas Ke Shaane, Lahu Behne Laga Saara   Laga Gurze Sitam Sar Par, Gire Rehwar Se Maula   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka Na The Bazu Sahare Ko, Zameen Par Muh Ke Bal Aaya   Jari Ki Is Musibat Par, Tadapta Hai Dile Zahra   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka Adu Kehne Lage Saare, Bada Hee Naaz Tha Tum Ko   Ali Ka Zor Tha Jisme, Wo Baazu Hai Kahan Bolo   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka Sakina Ka Wo Mashkiza, Sitamgar Ne Juhi Cheda   Bazahir Me To Paani Tha, Baha Khoon E Jari Jaisa   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka Liye Ek Aakhri Hasrat, Shahe Wala Ke Zaano Par   Sar E Ghazi Lahu Me Tar, Qayamat Khaiz Tha Manzar   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Al...

Ek Din Mein Bhare Ghar Ko

Ek Din Mein Bhare Ghar Ko Luttay Huwe Dekhi Hoon   Zainab Ne Kaha Bhai Ko Marte Huwe Dekhi Hoon Jab Qasim E Muztar Ka Pamal Huwa Lasha   Kuch Pal Mei Hi Kubra Bhi Dulhan Se Bani Bewa   Aur Kubra Ko Bewa Mai Bante Huwe Dekhi Hoon Yeh Aun O Mohammed Ki Kya Wafa Wafai Hai   Bachou Ne Mere Sheh Pe Jaan Apni Lutai Hai   Lashou Pe Main Bhai Ko Rote Huwe Dekhi Hoon Armaan Tha Mera Ke Dulha Mai Banaoogi   Mere Ali Akbar Ka Sehra Mai Sajaoogi   Ab Usko Jawani Mein Marte Huwe Dekhi Hoon Nanha Ali Asgher Jab Nusrat Ke Liye Pohcha   Ek Teer Se Zalim Ne Masoom Gala Cheeda   Besheer Ka Manka Mai Dhalte Huwe Dekhi Hoon Masoom Se Bache The Aur Tashna Dahani Thi   Aur Samne Nazrou Ke Dariya Ki Rawani Thi   Mai Pyas Se Bachou Ko Marte Huwe Dekhi Hoon Haai Yaad Mujhe Ab Tak Lamhe Woh Judai Ke   Ro Ro Ke Lipat Jana Bachi Ka Woh Qadmou Se   Bhai Ko Suey Maqtal Jatay Huwe Dekhi Ho...

Sajjad Dil Sambhalo Bazar-E-Shaam Aaya  

Sajjad Dil Sambhalo Bazar-E-Shaam Aaya   Daman Se Muh Chupalo Bazar-E-Shaam Aaya Bimar Keh Raha Tha Aansu Baha Baha Kar   Zainab Ka Sar Khula Hai Lakar Udhado Chadar   Kufe Ke Rehne Walo Bazar-E-Shaam Aaya Namoos-E-Mustafa Ku Kyun Dekhte Hu Aise   Hairath Me Aasman Hai Tum Kalma Guh Hu Kaise   Nazraen Zara Jukalo Bazar-E-Shaam Aaya Sajjad-E-Natawa Ke Pairou Me Bedhiyan Hai   Majma Hai Kufioun Ka Sar Nange Bibiyan Hai   Moula Ali Bachalo Bazar-E-Shaam Aaya Zainab Ka Naam Lekar Aada Pukarte They   Reh Reh Ke Taziyane Abid Ku Marte They   Jab Sheh Ke Rone Walo Bazar-E-Shaam Aaya Barsat Pattharou Ki Kuthou Se Ho Rahi Thi   Zainab Ki Bekasi Par Tanhai Ro Rahi Thi   Logo Diye Bhujado Bazar-E-Shaam Aaya Uthon Se Gir Rahe They Bache Jo Raste Me   Matam Bapa Hai Peham Be Parda Bibiyun Me   Ab Sar Pe Khakh Dalo Bazar-E-Shaam Aaya Rehan Kya Baya Hu Sajjad Ki Musibat...

Abid Ghareeb Bekaso Naachaar Margaya 

Abid Ghareeb Bekaso Naachaar Margaya   Saadaat Qaak Udhaaei'n Ke Sardaar Saaya Raha Saro'n Pa Na Chouthe Imaam Ka   Zahra Ki Jaa'n Hussain Ka Dildaar Margaya Kaanto'n Pa Khainchte The Jise Raahe Shaam Me   Wo Saarbaane Itrate At'haar Margaya Shamme Mazaaare Panjetane Paak Bujh Gayi   Syedaaniyo'n Ka Haaye Parastaar Margaya Beti Hasan Ki Ho Gayi Bewa Hazaar Haif   Hyder Ka Pota Aashaqe Ghaffar Margaya Rota Raha Jo Baap Ko Chaalees Saal Tak   Wo Aaj Shaahedee'n Ka Azadaar Margaya Bin Baap Ke Layeen Ne Baqir Ko Kardiya   Choutha Wasiy-E-Ahmade Muqtaar Margaya

Parda Duniya Ko Sikhane Wali 

parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron may zainab  ghar se bahar bhi na aane wali aayi bazaaron may zainab  parda duniya ko sikhane... 1. jisne baba se chudae-thay kayi baar aseer   qaidi azaad karane wali aayi bazaaron may zainab  parda duniya ko sikhane... 2. jalte qaimon se utha laayi abbas ke baad  ali aabid ko bachane wali aayi bazaaron may zainab   parda duniya ko sikhane... 3. deen ki khaatir ye bibi salaar bani  banke abbas dikhane wali aayi bazaaron may zainab   parda duniya ko sikhane... 4. apne seene pe sakina ko zindano may  baad bhai ke sulaane wali aayi bazaaron may zainab   parda duniya ko sikhane... 5. nange sar padti rahi khutbe bazaaron may  kasre dushman ko hilane wali aayi bazaaron may zainab   parda duniya ko sikhane... 6. kufe aur shaam bhi saare gaye ye baali johar   azmate deen ko badhane wali aayi bazaaron may zainab  parda duniya ko sikhane...

Allah Ye Kaisa Manzar Hai

Allah Ye Kaisa Manzar Hai Yeh Kaunsi Mastoora Hai, Kya Maang Rahi Hai.   Islam Ki Khidmat Ka Silaa Maang Rahi Hai.   Har Saahib-E-Ghairat Se Ridaa Maang Rahi Hai,   Pardes Mai Marne Ki Dua Maang Rahi Hai.   Afsurda Hai Aflaaq Siyaah-A-Bosh Zamin Hai,   Jibreel Zara Dekh Yeh Zainab Toh Nahi Hai. Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x2 Beparda Shaamiyon Mai x2, Aulaade Payamber Hai Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x2 1. Nidaa De Raha Hai Ye Hasskar Manaadi,   Ay Logo Gharo Se Nikal Aao Jaldi,   Sazaae Do Inko Yeh Baaghi Hai Baaghi,   Bajhte Hai Shaadiyane x2, Har Haath Mai Pathhar Hai Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x2 2. Kahaan Khauf Khaata, Hai Zaalim Kisi Se,   Bulaata Hai Ik Ik, Ko Woh Naam Leke,   Har Ik Bibi Chhupti Hai Zainab Ke Pichhe,   Khud Ko Chhupaaye Zainab x2, Fizza Ki Pusht Par Hai Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x2 3. Bataata Hai Shimr Aake Khud Shaamiyon Ko,...

Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi

Margayi Jo Zinda’n Me Shah-E-Deen Ki Dukhtar   Bekaso’n Ke Rone Se Qaid Me Huwa Mehshar   Laash Par Sakina Ki Karti Thi Fugha’n Maadar   Saath Chhor Kar Mera Tum Gayi’n Kahan Bibi   Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi Aaj Shab Ki Taariki Badh Gayi Hai Zinda’n Me   Bebasi Udaasi Hai Bekasi Hai Zinda’n Me   Tum Jo Ab Nahi’n Rothi Khamoshi Hai Zinda’n Me   Sogwaar Baithi Hain Saari Bibiya’n Bibi   Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi Karbala Ke Maida’n Me Mujh Se Chhut Gaya Asghar   Tumse Hi Bahalta Tha Ye Mera Dil-E-Muztar   Kitni Besahara Hoon Ye To Sonchti Dilbar   Tumse Chhutke Zinda’n Me Kya Jiyegi Maa Bibi   Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi Hogaya Kafan Bibi Ye Phata Huwa Kurta   Saaf Bhi Na Ho Paya Kab Se Khoon Kaano Ka   Hai Yaqee’n Khafa Honge Haal Dekh Kar Baba   Jaake Mat Gila Karna Baap Se Waha’n Bibi...

Heyhaat Minnaz Zilla

Heyhaat Minnaz Zilla Paigham E Hussain Ibne Ali Aam Karenge   Haq Ke Liyeh Batil Se Sada Ladte Rahenge   Har Zulm Ko Awaaz Yehi Dete Rahenge   Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla Rokega Kaise Koi Bhala Matam E Sarwar   Hum Gham Bhi Manate Hai Sabhi Ashk Bahakar   Sar Par Hai Kafan Hum Hai Fidaye Ali Akbar   Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla Hum Ashiq E Haider Hain Suno Hum Hain Hussaini   Gardan Ko Kata Dena Hai Miras Humari   Manzoor Nehi Humko Yeh Zillat Ki Zindegi   Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla Qasim Ne Shahadat Ka Maza Humko Bataya   Miti Yeh Shahadat Hai Shahad Se Bhi Ziyada   Phir Kyon Na Lade Kyon Na Mare Jaake Karbala   Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla Shabbir Ke Rouze Main Sada Hoga Arbayeen   Jitna Bhi Chahe Zulm Karo Kam E Zalemeen   Tum Rukna Chaho Na Rukengay Yeh Zayereen   Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla ...

Ghame Hussain Manana Bohat Zaroori Hai  

Ghame Hussain Manana Bohat Zaroori Hai   Hussaini Shamma Jalana Bohat Zaroori Hai Yeh Woh Hussain Hai Jo Fakhr-E-Ibn-E-Aadam Hai   Ke Jis Ke Zer-E-Qadam Rif'at-E-Do'Aalam Hai   Usi Hussain Ke Gham Me Yeh Shor-E-Matam Hai   Yeh Baat Sab Ko Batana Bohat Zaroori Hai Woh Jis Me Asghar-E-Masoom Ka Tabassum Hai   Woh Jis Me Aag Ka Sailaab Hai Talaatum Hai   Woh Jis Me Aakhri Shabbir Ki Sad Gum Hai   Woh Baat Sab Ko Sunana Bohat Zaroori Hai Woh Jisne Deen Bachaya Hai Karbala Aakar   Woh Jisne Aakhri Sajda Kiya Tah-E-Khanjar   Woh Jiske Dar Pe Farishte Jhuka Rahe Hain Sar   Sar Unke Dar Pe Jhukana Bohat Zaroori Hai Woh Bhook-O-Pyaas Woh Barchi Woh Seena-E-Akbar   Woh Mashk Aur Woh Baazu Kate Jo Dariya Par   Woh Sheh Ka Aaqri Sajda Woh Shimr Ka Khanjar   Har Ek Ko Yaad Dilana Bohat Zaroori Hai Khamoosh Aal-E-Muhammad Ka Aaj Dera Hai   Bala Ka Shaam-E-Ghareeb...

Darya Hai Hamara

Abbas Se Kehti Thi Ye Fouje Sitam Aara Darya Hai Hamara   Behtar Hai Agar Aap Kare’n Isse Kanaara Darya Hai Hamara Aane Ki Yaha’n Shaam Ke Hakim Ki Qabar Hai, Sab Zero Zabar Hai   Kal Sub'ha Se Ghir Jaaega Maidaan Ye Saara - Darya Hai Hamara Ye Sunte Hi Abbas Ke Abru Pa Bal Aaya, Badhkar Ye Sunaaya   Hargiz Nahi’n Tum Logo’n Ka Kuch Is Me Ijaara - Darya Hai Hamara Pyaase Rahe Maidaan Me Waa’n Sibte Payambar, Sehraab Ho Lashkar   Ek Dam Me Ulat Doonga Safo Ko Sitam Aara - Darya Hai Hamara Lashkar Ko Hata Kar Ye Sada Sher Ki Aayi, Kis Ki Hai Taraayi   Batlaao Ke Qabze Me Hai Ab Kiske Kanaara - Darya Hai Hamara Zainab Ne Kaha Shaah Se Ghabraati Hu Bhai, Hoe Na Ladaai   Le Aayiye Abbas Ko Ye Kehke Khudaara - Darya Hai Hamara Jaakar Kaha Shabbir Ne Aabbas Se Dilaawar, Kyu Hote Ho Muztar   Mere Liye Har Cheez Ko Qaaliq Ne Utaara - Darya Hai Hamara Be Deeno’n Ki In Baato’n Ke Qaatir Me Na Laao, Ghusse Me Na Aao   H...

Aayi Haatif Ki Aawaz Sheh Ko Utro Shabbir Ye Karbala Hai

Aayi Haatif Ki Aawaz Sheh Ko Utro Shabbir Ye Karbala Hai Bas Qadam Ab Na Aage Badhaao Utro Shabbir Ye Karbala Hai Ab Safar Qatm Hai Ibne Zahra, Labe Darya Karo Qaima Barpa   Hashr Tak Hai Yahi’n Tumko Rehna Utro Shabbir Ye Karbala Hai Yahi’n Nau Roz Mehma’n Rahoge, Khaane Peene Ki Eeza Sahoge   Bhooke Pyaase Yahi’n Qatl Honge Utro Shabbir Ye Karbala Hai Marte Dam Bhi Na Paani Milega, Pyaasi Gardan Pa Qanjar Chalega   Sar Chadega Sina Pa Tumhara Utro Shabbir Ye Karbala Hai Laash Chaalees Din Tak Tumhari, Isi Jungle Me Uryaa’n Rahegi   Rone Waala Bhi Hoga Na Koi Utro Shabbir Ye Karbala Hai Khaaegi Jab Sakina Tamaacha, Yahi’n Tadpega Laasha Tumhara   Shimr Dega Yahi’n Usko Eeza Utro Shabbir Ye Karbala Hai Raahwaar Apna Sarwar Ne Roka, Utre Baaqar Wahi’n Shaahe Waala   Haatife Ghaib Jis Dam Pukaara Utro Shabbir Ye Karbala Hai

Ay Dilbaran-E-Jafar-Tayyar  

Ay Dilbaran-E-Jafar-E-Tayyar Alwida   Alwida   Alwida   Alwida Binte Ali Ye Bachon Say Kehti Thi Baar Baar (X3)   Ran Ko Sidharo Aun-O-Muhammad Ye Maa Nisar Jafar Ka Ifteqar Bharana Jihad May (X3)   Nana Ki Apni Shan Dikhana Jihad May Shair-E-Khuda Ki Beti Kay Tum Dono Shair Ho (X3)   Maidan May Jawo Khud Fatha Ab Kuch Na Dair Ho Haar Baat Apne Dil Kay Siwa Ho To Baat Hai (X3)   Woh Ran Paray Kay Hashr Bapa Ho To Baat Hai Ghayre Rahay Sipah Magar Mou Na Morna (X3)   Haider Ki Yaadgar Ho Maidan Na Chorna Shimro Umar Kay Saar Jo Utaro To Khush Hu May (X3)   Dushman Ko Jhoom Jhoom Kay Maaro To Khush Hu Mai Ab Toh Ye Arzoo Hai Kay Tum Ran May Kaam Aawo (X3)   Chehray Kay Badle Khoon Bhare Chehre Mujhe Dikhao Bacho Zaeef Mamu Ko Zehmat Na Deejiye (X3)   Lashay Uthaaye Bhai To Jumbish Na Kijiye Pyaase Jo Aaoge To Sila Degi Tum Ko Maa (X3)   Khud Daud Kar Gallay Say Laga Legi...