Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab

Hai Jiska Ayat E Tat’heer Pairahan Zainab

Imamato’n Ki Madadgaar Khasta Tann Zainab
Hai Shaane Deene Khuda Jaane Panjatan Zainab
Ali Ki Jaayi Hai Abbas Ki Bahan Zainab
Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab

Wo Waqte Asr Wo Maqtal Wo Sogwaar Fazaa
Nazar Ke Saamne Bhai Ka Katt Raha Tha Gala
Tadap Raha Tha Badan Zere Tegh Pyaase Ka
Udhar Thi Mehwe Fughaa’n Shah Ki Bahan Zainab
Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab

Chhuta Hai Bhai Bhi Aur Marchuke Hain Bachhe Bhi
Rida Bhi Sar Pa Nahi’n Jal Chuke Hain Khaime Bhi
Jale Hain Qalb Bhi Daaman Bhi Aur Kurte Bhi
Chali Hai Chhor Ke Bhai Ko Bekafan Zainab
Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab

Jawa’n Ka Qatl To Khud Uske Dil Pa Bhaala Tha
Tha Gham Azeem To Shabbir Ko Sambhaala Tha
Qadam Jo Khaime Se Pehle Pahal Nikaala Tha
Sahara Dene Ko Aayi Thi Pur Mehan Zainab
Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab

Dayaar E Kufa Me Taqreer Se Jihad Kiya
Diya Hai Shaam Ke Darbaar Me Kabhi Khutba
Kabhi Khamoshi Se Mazloomiyat Ko Nashr Kiya
Kabhi Ali Kabhi Zehra Kabhi Hasan Zainab
Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab

Khayaal Kunbe Ka Tha Ro Saki Na Ji Bhar Ke
Nikalne Paaye Na Armaan Binte Haidar Ke
Tha Ek Qalbe Hazee’n Daagh The Bahattar Ke
Lahad Me Le Gayi Zakhmo’n Ka Ye Chaman Zainab
Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab

Qanaat Thaam Le Ye Akbar-E Jawa’n Se Kaho
Sahara Dene Ko Aye Saaniye Ali Utho
Bahan Ko Aye Shahe Bekas Tumhi Sawaar Karo
Chali Hai Karbobala Se Suwe Watan Zainab
Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab

Comments

Popular posts from this blog

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Andhere Andhere Yateemo Se Chup Kar

Haye Haye Zainab, Haye Haye Shaam