Ghame Hussain Manana Bohat Zaroori Hai
Ghame Hussain Manana Bohat Zaroori Hai
Hussaini Shamma Jalana Bohat Zaroori Hai
Yeh Woh Hussain Hai Jo Fakhr-E-Ibn-E-Aadam Hai
Ke Jis Ke Zer-E-Qadam Rif'at-E-Do'Aalam Hai
Usi Hussain Ke Gham Me Yeh Shor-E-Matam Hai
Yeh Baat Sab Ko Batana Bohat Zaroori Hai
Woh Jis Me Asghar-E-Masoom Ka Tabassum Hai
Woh Jis Me Aag Ka Sailaab Hai Talaatum Hai
Woh Jis Me Aakhri Shabbir Ki Sad Gum Hai
Woh Baat Sab Ko Sunana Bohat Zaroori Hai
Woh Jisne Deen Bachaya Hai Karbala Aakar
Woh Jisne Aakhri Sajda Kiya Tah-E-Khanjar
Woh Jiske Dar Pe Farishte Jhuka Rahe Hain Sar
Sar Unke Dar Pe Jhukana Bohat Zaroori Hai
Woh Bhook-O-Pyaas Woh Barchi Woh Seena-E-Akbar
Woh Mashk Aur Woh Baazu Kate Jo Dariya Par
Woh Sheh Ka Aaqri Sajda Woh Shimr Ka Khanjar
Har Ek Ko Yaad Dilana Bohat Zaroori Hai
Khamoosh Aal-E-Muhammad Ka Aaj Dera Hai
Bala Ka Shaam-E-Ghareeba'n Me Ek Andhera Hai
Rasool Zaadiya'n Aur Khaak Par Basera Hai
Aza Ka Farsh Bichana Bohat Zaroori Hai
Hussain Hi Toh Sahara Hai Aadmi Ke Liye
Hussain Hi Ki Zaroorath Hai Zindagi Ke Liye
Urooj Azm-E-Hussaini Ki Bartari Ke Liye
Nashan-E-Raah Batana Bohat Zaroori Hai
Comments
Post a Comment