Sajjad Dil Sambhalo Bazar-E-Shaam Aaya  

Sajjad Dil Sambhalo Bazar-E-Shaam Aaya  
Daman Se Muh Chupalo Bazar-E-Shaam Aaya

Bimar Keh Raha Tha Aansu Baha Baha Kar  
Zainab Ka Sar Khula Hai Lakar Udhado Chadar  
Kufe Ke Rehne Walo Bazar-E-Shaam Aaya

Namoos-E-Mustafa Ku Kyun Dekhte Hu Aise  
Hairath Me Aasman Hai Tum Kalma Guh Hu Kaise  
Nazraen Zara Jukalo Bazar-E-Shaam Aaya

Sajjad-E-Natawa Ke Pairou Me Bedhiyan Hai  
Majma Hai Kufioun Ka Sar Nange Bibiyan Hai  
Moula Ali Bachalo Bazar-E-Shaam Aaya

Zainab Ka Naam Lekar Aada Pukarte They  
Reh Reh Ke Taziyane Abid Ku Marte They  
Jab Sheh Ke Rone Walo Bazar-E-Shaam Aaya

Barsat Pattharou Ki Kuthou Se Ho Rahi Thi  
Zainab Ki Bekasi Par Tanhai Ro Rahi Thi  
Logo Diye Bhujado Bazar-E-Shaam Aaya

Uthon Se Gir Rahe They Bache Jo Raste Me  
Matam Bapa Hai Peham Be Parda Bibiyun Me  
Ab Sar Pe Khakh Dalo Bazar-E-Shaam Aaya

Rehan Kya Baya Hu Sajjad Ki Musibat  
Sehta Raha Jo Dil Par Har Har Khadam Aziyath  
Aankhou Se Khoon Bahalo Bazar-E-Shaam Aaya

Comments

Popular posts from this blog

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Andhere Andhere Yateemo Se Chup Kar

Haye Haye Zainab, Haye Haye Shaam