Aisa Musafir Koun Hai (Anjuman e Masoomeen)
Ho Paao Zaqmou Se Bhare Aisa Musafir Koun Hai
Rote Ho Jisko Raate Aisa Musafir Koun Hai
Wada Nibhane Ke Liye Dee'n Ko Bachane Ke Liye
Kaantou Pe Jo Chalta Rahe Aisa Musafir Koun Hai
Har Gaam Jisko Beqata Durre Lagaye Ashqiya
Wo Shukr Ka Sajda Kare Aisa Musafir Koun Hai
Tujh Ko Quda Ka Wasta Aye Karbala Tu Hi Bata
Ghurbat Me Jiska Ghar Luta Aisa Musafir Koun Hai
Taraj Ghar Ki Yaad Me Apne Pidar Ki Yaad Me
Taa Zindagi Rota Rahe Aisa Musafir Koun Hai
Jo Paikare Hasaas Ho Us Waqt Ka Abbas Ho
Ghairat Jise Sajda Kare Aisa Musafir Koun Hai
Turbat Banaye Qaid Me Mayyat Uthaye Qaid Me
Pucho Zara Tareeq Se Aisa Musafir Koun Hai
Qaidi Ki Ghurbat Dekh Kar Jiski Musibat Dekh Kar
Ayyub Bhi Nouha Padhe Aisa Musafir Koun Hai
Gardan Me Ho Touqe Giraa'n Aur Paao Me Ho Bediya'n
Taa Sham Wo Paidal Chale Aisa Musafir Koun Hai
Aahan Pehan Ke Hath Me Kunbe Ko Leke Sath Me
Darbaar Me Jana Pade Aisa Musafir Koun Hai
Comments
Post a Comment