Darya Hai Hamara
Abbas Se Kehti Thi Ye Fouje Sitam Aara Darya Hai Hamara
Behtar Hai Agar Aap Kare’n Isse Kanaara Darya Hai Hamara
Aane Ki Yaha’n Shaam Ke Hakim Ki Qabar Hai, Sab Zero Zabar Hai
Kal Sub'ha Se Ghir Jaaega Maidaan Ye Saara - Darya Hai Hamara
Ye Sunte Hi Abbas Ke Abru Pa Bal Aaya, Badhkar Ye Sunaaya
Hargiz Nahi’n Tum Logo’n Ka Kuch Is Me Ijaara - Darya Hai Hamara
Pyaase Rahe Maidaan Me Waa’n Sibte Payambar, Sehraab Ho Lashkar
Ek Dam Me Ulat Doonga Safo Ko Sitam Aara - Darya Hai Hamara
Lashkar Ko Hata Kar Ye Sada Sher Ki Aayi, Kis Ki Hai Taraayi
Batlaao Ke Qabze Me Hai Ab Kiske Kanaara - Darya Hai Hamara
Zainab Ne Kaha Shaah Se Ghabraati Hu Bhai, Hoe Na Ladaai
Le Aayiye Abbas Ko Ye Kehke Khudaara - Darya Hai Hamara
Jaakar Kaha Shabbir Ne Aabbas Se Dilaawar, Kyu Hote Ho Muztar
Mere Liye Har Cheez Ko Qaaliq Ne Utaara - Darya Hai Hamara
Be Deeno’n Ki In Baato’n Ke Qaatir Me Na Laao, Ghusse Me Na Aao
Ham Wo Hai Diya Nooh Ki Kashti Ko Sahaara - Darya Hai Hamara
Mar Kar Bhi Na Bhoolunga Saf Aaraai Ko Teri Saqqai Ko Teri
Hai Tere Muqaddar Me Azal Se Ye Kanaara - Darya Hai Hamara
Daswi Ki Moharram Ko Qayamat Hui Bismil, Ro Dete The Qaatil
Saahil Pa Kate Haath Jo Karte The Ishaara - Darya Hai Hamara
Comments
Post a Comment