Bhaiya Yeh Dua Mangiyae Marjaye Sakina
Bhaiya Yeh Dua Mangiyae Marjaye Sakina
Hasrat Na Rahi Dil Me Ke Ghar Jaaye Sakina
Zinda’n Ke Andhere Me Hi Marjaye Sakina
Ab Qabr Me Hi Jayegi Gar Jaaye Sakina
Zinda’n Ka Andhera Mujhe Sone Nahi Deta
Zaalim Mujhe Royee Bhi Toh Rone Nahi Deta
Kuch Chain Mayassar Mujhe Hone Nahi Deta
Baba Toh Nahi Aaye Yaha’n Mujh Ko Chudane
Ammu Bhi Mujhe Chhod Gaye Ranj Uthane
Shimr-E-Layeen Ki Reh Gayi Mai Seliya’n Khane
Gardan Ki Reesma’n Se Meri Saans Hai Rukti
Aur Shimr Ke Durro’n Se Meri Pusht Hai Zaqmi
Chalo’n Ki Aziyath Se Mai Chal Bhi Nahi Sakti
Baba Ke Na Aane Ka Gila Karti Thi Bibi
Din Raat Yehi Aah O Buka Karti Thi Bibi
Hatho’n Ko Utha Kar Yeh Dua Karti Thi Bibi
Daadi Ki Tarah Saans Bhi Mai Le Nahi Sakti
Zaalim Ke Tamacho’n Se Mere Gaal Hai Zaqmi
Zindaan Me Ek Pal Mujhe Raahat Nahi Milti
Ab Qabr Me Hi Jaake Sukoo’n Paungi Bhaiya
Baba Nahi Aayenge Toh Marjaungi Bhaiya
Rassi Ke Nasha’n Daadi Ko Dikhlaungi Bhaiya
Aaqir Sakina Chal Basi Zaindan-E-Shaam Me
Tadfeen Uski Hogayi Zindaan-E-Shaam Me
Kehti Thi Roke Har Ghadi Zindaan-E-Shaam Me
Ro Ro Ke Yeh Farmati Thi Baba Nahi Aaye
Lene Ko Qaza Aagayi Baba Nahi Aaye
Mazher Mai Bulati Rahi Baba Nahi Aaye
Comments
Post a Comment