Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Shahre Rasule Haq Bada Sunsaan Hogaya

Jalti Zami’n Pa Gir Pade Jab Akbare Jawa’n Laashe Pa Shaah Pohnche To Andher Tha Jaha’n Laila Se Dekha Jaaega Kis Tarha Ye Sama Kadiyal Jawa’n Ke Sine Me Tooti Huwi Sina Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Bedast Hoke Gir Pade Abbas-E Naojawa’n Ankho’n Me Sheh Ki Deed Ka Arma’n Labo’n Pa Jaa’n Haa’el Hai Darmiyaan Me Ik Teere Jaa’nisaa’n Rone Lage Tadapke Shahinshah-E Insojaa’n Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Kya Housle The Tifle Shah-E Benazir Ke The Nehr Par Buland Iraade Saghir Ke Tewar Ayaa’n The Rukh Se Janab-E Ameer Ke Nanha Sa Ik Gala Tha Muqabil Me Teer Ke Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Beta Khada Hai Saamne Aur Berida Bahan Jakda Huwa Hai Touqo Salasil Me Sara Tann Baba Ki Laash Rann Me Hai Begoro Bekafan Sadme Se Kampne Laga Sajjad Ka Badan Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Karbo Bala Se Karwa’n Kufa Huwa Rawa’n Oonto Ki Nangi Pusht Pa Baithi Hain Bibiya’n Hai Sar Khula Har Ek Ka Baazu Me Reesma’n Zainab Tadap Ke Dekhti Hai Soowe Aasma’n Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Jaari The Qaidiyo’n Pa Mazalim Ke Silsile Asnaa-E Raahe Kufa Me The Sakht Marhale Oonto’n Se Girke Margaye Bachche Hussain Ke Godi Ghareeb Maao’n Ki Viraan Kargaye Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Tashte Tila Me Farq-E Shahe Deen Tha Rakha Aur Ik Taraf Khada Huwa Kunba Rasul Ka Honto’n Pa Phir Hussain Ke Wo Zulm Hogaya Zainab Ka Naatawaan Badan Kampta Raha Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Tarik Qaid Khane Me Jab Khafila Gaya Rokar Sakina Boli Ke Amma Ye Kya Huwa Kya Waqt Meri Mout Ka Nazdik Agaya Banu Pukari Ye Na Kaho Meri Dilruba Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Tha Hichkiyo’n Ke Darmiya’n Khwahar Ka Ye Baya’n Hain Shiddate Atash Se Mere Khushk Ustokhwa’n Thandi Jagah Pa Dafn Karo Hamko Bhaija’n Sar Ko Jhukaae Rote The Sajjade Natawa’n Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Hai Zikr Subha-O Shaam Shahe Mashraqain Ka Karbal Ke Tashnakaam Ka Zehra Ke Chain Ka Matam Hai Dilbare Shahe Badro Hu’nain Ka Ahsan Hayat Apni Hai Sadqa Hussain Ka Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya


Comments

Popular posts from this blog

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Andhere Andhere Yateemo Se Chup Kar

Haye Haye Zainab, Haye Haye Shaam