Alam Abbas E Ghaazi Ka - Anjuman Aun o Mohammad
Alam Abbas E Ghaazi Ka
Lahu Me Tar Jo Le Aaye Hussain Ibne Ali Parcham
Badi Hasrat Se Takti Thi Use Saydaniya Paiham
Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
Kate Abbas Ke Shaane, Lahu Behne Laga Saara
Laga Gurze Sitam Sar Par, Gire Rehwar Se Maula
Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
Na The Bazu Sahare Ko, Zameen Par Muh Ke Bal Aaya
Jari Ki Is Musibat Par, Tadapta Hai Dile Zahra
Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
Adu Kehne Lage Saare, Bada Hee Naaz Tha Tum Ko
Ali Ka Zor Tha Jisme, Wo Baazu Hai Kahan Bolo
Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
Sakina Ka Wo Mashkiza, Sitamgar Ne Juhi Cheda
Bazahir Me To Paani Tha, Baha Khoon E Jari Jaisa
Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
Liye Ek Aakhri Hasrat, Shahe Wala Ke Zaano Par
Sar E Ghazi Lahu Me Tar, Qayamat Khaiz Tha Manzar
Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
Mere Aaqa Mera Laasha, Soo E Qaima Na Lejana
Na Waada Kar Saka Poora, Sakina Se Hu Sharminda
Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
Bayaan Karte The Shahe Deen, Sahara Ab Nahi Koi
Tere Marne Se Tooti Hai, Zaeefi Me Kamar Meri
Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
Fasi Ab Baad E Ashura, Khuda Hee Jane Kya Hoga
Nigahbaan Tha Jo Chadar Ka, Labe Darya Gaya Mara
Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
Comments
Post a Comment