Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Yalghaar Hai Ghodo’n Ki Aur Qasim-E Bepar Hai
Tooti Huwi Barchhi Hai Aur Seena-E Akbar Hai
Hulqoome Ali Asghar Aur Teer-E Sitamgar Hai
Naize Ki Bulandi Hai Aur Phool Sa Ik Sar Hai
Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Hai Aalame Tanhaai Aur Zulm Ka Lashkar Hai
Nargha Hai Laeeno Ka Aur Jaane Payambar Hai
Tegho’n Se Badan Zaqmi Aur Teero’n Ka Bistar Hai
Shabbir Ki Gardan Hai Aur Shimr Ka Khanjar Hai
Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Uthti Huwi Talware’n Chalte Huwe Naize Hain
Sab Zakhme Badan Goya Mashko’n Ke Dahaane Hain
Har Simt Se Hamle Hain Abbas Akele Hain
Pyaase Ka Sare Zakhmi Aur Gurze Sitamgar Hai
Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Karbal Ke Biyaba’n Me Aasaar Hain Mehshar Ke
Bikhre Huwe Maida’n Me Laashe Hain Bahattar Ke
Zainab Ki Nigaho’n Me Sab Zakhm Hain Sarwar Ke
Jalti Huwi Reti Hai Aur Laasha-E Besar Hai
Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Khamosh Biyaba’n Hain Aur Shaame Ghariba’n Hai
Har Aankh Me Ashko’n Ka Thehra Huwa Toofa’n Hai
Bewo’n Ka Yatimo’n Ka Ab Koun Nigehbaa’n Hai
Jalte Huwe Khaime Hain Chhinti Huwi Chaadar Hai
Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Bazar Me Sar Nange Ahmed Ka Gharana Hai
Jakda Huwa Rassi Me Har Bibi Ka Shana Hai
Is Haal Me Zainab Ko Darbar Bhi Jana Hai
Har Simt Tamashaai Zainab Ka Khula Sar Hai
Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Hain Pushte Sakina Par Durro’n Ke Nasha’n Saare
Kano’n Se Luhu Jaari Rukhsar Bhi Hain Soojhe
Zakhmo’n Me Jalan Jaise Bharde Koi Angaare
Har Lamha Tamaanche Hain Har Gaam Pa Mehshar Hai
Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Darbar Me Qaidi Hai Aulad Payambar Ki
Sar Tasht Me Sarwar Ka Kaisi Ye Adaawat Thi
Honto’n Pa Shahe Dee’n Ke Zalim Ne Chhadi Rakhi
Zainab Ki Nazar Har Dam Bhai Ke Labon Par Hai
Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Wo Sajda-E Shukrana Hangaame Qayamat Me
Chalta Raha Kaanto’n Par Jo Dhoop Ki Shiddat Me
Rote Hain Sada Ahsan Ham Jiski Muhabbat Me
Uske Liye Nazrana Ashko’n Ka Samandar Hai
Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Comments

Popular posts from this blog

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Andhere Andhere Yateemo Se Chup Kar

Haye Haye Zainab, Haye Haye Shaam