Ek Din Mein Bhare Ghar Ko
Ek Din Mein Bhare Ghar Ko Luttay Huwe Dekhi Hoon
Zainab Ne Kaha Bhai Ko Marte Huwe Dekhi Hoon
Jab Qasim E Muztar Ka Pamal Huwa Lasha
Kuch Pal Mei Hi Kubra Bhi Dulhan Se Bani Bewa
Aur Kubra Ko Bewa Mai Bante Huwe Dekhi Hoon
Yeh Aun O Mohammed Ki Kya Wafa Wafai Hai
Bachou Ne Mere Sheh Pe Jaan Apni Lutai Hai
Lashou Pe Main Bhai Ko Rote Huwe Dekhi Hoon
Armaan Tha Mera Ke Dulha Mai Banaoogi
Mere Ali Akbar Ka Sehra Mai Sajaoogi
Ab Usko Jawani Mein Marte Huwe Dekhi Hoon
Nanha Ali Asgher Jab Nusrat Ke Liye Pohcha
Ek Teer Se Zalim Ne Masoom Gala Cheeda
Besheer Ka Manka Mai Dhalte Huwe Dekhi Hoon
Masoom Se Bache The Aur Tashna Dahani Thi
Aur Samne Nazrou Ke Dariya Ki Rawani Thi
Mai Pyas Se Bachou Ko Marte Huwe Dekhi Hoon
Haai Yaad Mujhe Ab Tak Lamhe Woh Judai Ke
Ro Ro Ke Lipat Jana Bachi Ka Woh Qadmou Se
Bhai Ko Suey Maqtal Jatay Huwe Dekhi Hoon
Mai Qayme Se Takti Thi Iss Khoon Bhare Manzar Ko
Par Rok Na Payi Main Chalte Huwe Khanjar Ko
Sar Tan Se Juda Sheh Ka Hote Huwe Dekhi Hoon
Jab Shaam E Ghareeba Mein Chadar Meri Chinti Thi
Mai Barha Ghazy Ko Awaaz Lagati Thi
Abbas Ke Laashe Ko Sehme Huwe Dekhi Hoon
Mai Samne Thairi Thi Aur Jalte Rahe Qayme
Ruqsar Sakina Ke Neele The Tamachou Se
Bimaar Ka Bistar Mai Jalte Huwe Dekhi Hoon
Ashoor Ko Dekhe Hain Maine Yeh Sabhi Manzar
Dil Hilta Hai Rahil Ka Zainab Ka Bayan Sunkar
Ek Din Mei Bhare Ghar Ko Luttay Huwe Dekhi Hoon
Comments
Post a Comment