Heyhaat Minnaz Zilla

Heyhaat Minnaz Zilla

Paigham E Hussain Ibne Ali Aam Karenge  
Haq Ke Liyeh Batil Se Sada Ladte Rahenge  
Har Zulm Ko Awaaz Yehi Dete Rahenge  
Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla

Rokega Kaise Koi Bhala Matam E Sarwar  
Hum Gham Bhi Manate Hai Sabhi Ashk Bahakar  
Sar Par Hai Kafan Hum Hai Fidaye Ali Akbar  
Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla

Hum Ashiq E Haider Hain Suno Hum Hain Hussaini  
Gardan Ko Kata Dena Hai Miras Humari  
Manzoor Nehi Humko Yeh Zillat Ki Zindegi  
Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla

Qasim Ne Shahadat Ka Maza Humko Bataya  
Miti Yeh Shahadat Hai Shahad Se Bhi Ziyada  
Phir Kyon Na Lade Kyon Na Mare Jaake Karbala  
Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla

Shabbir Ke Rouze Main Sada Hoga Arbayeen  
Jitna Bhi Chahe Zulm Karo Kam E Zalemeen  
Tum Rukna Chaho Na Rukengay Yeh Zayereen  
Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla

Karbo Bala Najaf Toh Kabhi Jaaye Samera  
Phir Kazemeen O Shaam Kabhi Shehr E Madina  
Nabood Hum Karenenge Sabhi Zulm Aur Jafa  
Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla

Naize Pe Sar Hussain Ka Kehta Hai Aaj Bhi  
Leila Ke Noor E Ain Ka Kehna Hai Aaj Bhi  
Nanha Sa Woh Shaheed Sunata Aaj Bhi  
Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla

Abbas Ke Parcham Ko Liyeh Aage Badenge  
Os Bawafa Ke Naam Ko Roshan Hi Rakhenge  
Bazu Bhi Jo Kat Jaye Agar Kehte Rahenge  
Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla

Humko Hai Intezaar Zahoor E Imam Ka  
Mehdi Ke Saath Saath Rahein Hai Yehi Dua  
Jab Tak Hai Jaan Dega Raza Bas Yehi Sada  
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Mehdi

Comments

Popular posts from this blog

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Andhere Andhere Yateemo Se Chup Kar

Haye Haye Zainab, Haye Haye Shaam