Kahan Ho Bezaba'n Asghar
Kahan Ho Bezaba'n Asghar, Ye Rota Hai Jahan Asghar
Meri Godi Me Sote Ho, Humakte Aur Rote Ho, Tumhari Yaad Me Aksar, Ye Hota Hai Gumaa'n Asghar
Ali Asghar Mere Jaani, Mila Na Tumko Yaa'n Paani, Rakha Pyaasa Layeeno Ne, Bulaakar Mehmaa'n Asghar
Jidhar Dekho Qamoshi Hai, Udaasi Hi Udaasi Hai, Nigaaho Me Andhera Hai, Tumhe Dhoondu Kahan Asghar
Ye Kis Bekas Na Nouha Hai, Kaleja Gham Se Phat Ta Hai, Tumhaare Gham Me Rote Hai, Zameeno Aasmaa'n Asghar
Ye Kaise Bezubani Hai, Ajab Moujuz Bayaaani Hai, Tumhaari Tashnakaami Par, Hai Dunya Nouhaqaa'n Asghar
Gaye Be Jurm Tum Maare, Na Aaoge Kabhi Pyaare, Jo Tum Aaoge Maidaa'n Se, To Sadqe Tum Pe Maa Asghar
Jo Maa Karwat Badalti Hai, To Dil Se Hook Uth'ti Hai, Tum Apni Maa Se Aye Beta, Na Lo Ab Imtehaa'n Asghar
Jise Dekho Wo Rota Hai, Lahu Aankho Se Behta Hai, Hamaare Dil Pe Hai Dekho, Ye Maatam Ke Nasha'n Asghar
Sakina Yaad Karti Hai, Kabhi Pani Wo Peeti Hai, Wo Mujhse Kehti Hai Amma, Bataao Hai Kahan Asghar
Comments
Post a Comment