Rangeen Hai Khoon Se Karbobala
Rangeen hai khoon se Karbobala dur dur tak
Qasim ko le gayi hai qaza dur dur tak
Ghazi kahan kahan se uthaye tujhe Hussain
Bikhra hua hai lasha tera dur dur tak
La la ke shamiyon ne giraye Hussain par
Pathar na koi ran mein bacha dur dur tak
Akbar ki lash tak kabhi Asghar ki lasha tak
Shabbir kohniyon pe chala dur dur tak
Chalta tha shimr balon se thamay sar e Hussain
Gardan se khoon behta gaya dur dur tak
Ghurbat ke pehle mil gaya naizon ko sheer khawar
Maa ne bohat talash kiya dur dur tak
Balon se pakray dortay ghoron ke sath sath
Masooma ko chalaya gaya dur dur tak
Kehta tha shimr naizon pe itni karo buland
Sab ko dikhayi de yeh rida dur dur tak
Zainab ne al hijaab ki maqtal mein di sada
Akbar ghubar urney laga dur dur tak
Comments
Post a Comment