Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Shabbir Ne Maida’n Ka Naqsha Hi Digar Dekha

Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Abbas Ki Dariya Par Nazre’n Na Theherti Thi’n
Jab Bhar Liya Mashkiza Mudhkar Na Udhar Dekha
Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Dil Thaam Liya Apna Aur Ashk Nikal Aaye
Sajjad Ne Baba Ka Naize Pa Jo Sar Dekha
Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Sar Peet Liya Apna Ik Hashr Kiya Barpa
Zinda’n Me Sakina Ne Baba Ka Jo Sar Dekha
Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Maida’n Se Ali Akbar Waapas Huwe Khaime Me
Maa Ne Jo Dua Ki Thi Uska Ye Asar Dekha
Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Hulqoom Pa Zalim Ka Jab Teere Sitam Aaya
Beshir Ne Baba Ko Bas Ek Nazar Dekha
Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Nazro’n Me Mujahid Thi Tasweer Wo Furqat Ki
Shabbir Ne Sughra Ko Jab Waqt-E Safar Dekha
Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Comments

Popular posts from this blog

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Andhere Andhere Yateemo Se Chup Kar

Haye Haye Zainab, Haye Haye Shaam