Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi
Margayi Jo Zinda’n Me Shah-E-Deen Ki Dukhtar
Bekaso’n Ke Rone Se Qaid Me Huwa Mehshar
Laash Par Sakina Ki Karti Thi Fugha’n Maadar
Saath Chhor Kar Mera Tum Gayi’n Kahan Bibi
Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi
Aaj Shab Ki Taariki Badh Gayi Hai Zinda’n Me
Bebasi Udaasi Hai Bekasi Hai Zinda’n Me
Tum Jo Ab Nahi’n Rothi Khamoshi Hai Zinda’n Me
Sogwaar Baithi Hain Saari Bibiya’n Bibi
Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi
Karbala Ke Maida’n Me Mujh Se Chhut Gaya Asghar
Tumse Hi Bahalta Tha Ye Mera Dil-E-Muztar
Kitni Besahara Hoon Ye To Sonchti Dilbar
Tumse Chhutke Zinda’n Me Kya Jiyegi Maa Bibi
Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi
Hogaya Kafan Bibi Ye Phata Huwa Kurta
Saaf Bhi Na Ho Paya Kab Se Khoon Kaano Ka
Hai Yaqee’n Khafa Honge Haal Dekh Kar Baba
Jaake Mat Gila Karna Baap Se Waha’n Bibi
Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi
Kaan Se Chhine Gowhar Aur Jal Gaya Kurta
Dono Gaal Zakhmi Hain Pusht Par Laga Durra
Dekhti Rahi Bebas Maa Bohut Hai Sharminda
Maa Ke Saamne Khaai Tumne Sayliyaa’n Bibi
Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi
Ghar Ujad Gaya Mera Qatl Hogaye Baba
Karbala Se Laayi Hu’n Dil Pa Daagh Asghar Ka
Ab To Dil Ki Har Hasrat Thi Tumhee’n Se Waabasta
Kargayi Mere Armaa’n Khaak Me Nihaa’n Bibi
Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi
Comments
Post a Comment