Aagaye Haram Hoga Arbaeen
Aagaye Haram Hoga Arbaeen Gham Ke Paasban Dard Ke Ameen Aaye Qaid Se Abide Hazeen Farshe Khaak Par Hai Falak Nasheen Aagaye Haram Hoga
Tauq Bediyaan Aur Reesma Sar Pe Gir Pada Jaise Aasman Ghamzada Falak Roti Hai Zameen Aagaye Haram Hoga
Dekhiye Mera Zakhmi Hai Gala Nange Paon Mai Kaaton Par Chala Aisi Bebasi Hogi Kya Kahin Aagaye Haram Hoga
Zindagi Se Ye Maut Hai Bhali Ay Mere Chacha Sheh Ki Zindagi Shaam May Hai Ab Teri Naazneen Aagaye Haram Hoga
Dukhte Hai Mere Sab Ye Us Suqan Kis-Se Mai Karoon Haale Dil Bayaan Keh Rahe Hai Ye Abide Hazeen Aagaye Haram Hoga
Akbare Jawan Mere Bhai Jaan Saath Tum Nahi Khaak Hai Jahan Yaad Karti Hai Zainabe Hazeen Aagaye Haram Hoga
Sar Kata Diya Ghar Luta Diya Deen Ko Magar Tu Bacha Liya Fatema Ke Laal Waarise Akheer Aagaye Haram Hoga
Dafn Jo Hui Dekho Parde May Nange Sar Kabhi Thi Jo Balwe May Uski Betiyan Dar Badar Phiri Aagaye Haram Hoga
Karbala May Ab Dekho Ek Baar Gham May Doob Kar Hogaya Ye Haal Sayyeda Ke Saath Fakhre Mursali Aagaye Haram Hoga
Comments
Post a Comment