Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n
Baithi Huwi Hain Khaak Pa Saidaania’n Tamaam
Ranjo Alam Ka Hai Har Ik Simt Ishdihaam
Har Lamha Yaad Aati Hai Aashoor Ki Wo Shaam
Hota Hai Aaj Sibte Payambar Ka Arbaee’n
Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n
Pamaal Ran Me Hogaya Shabbar Ka Nounehaal
Kubra Ki Aarzuein Huwi Rann Me Paaemaal
Farwa Ke Dil Ka Chain Tha Terah Baras Ka Laal
Hai Karbala Me Dilbar E Shabbar Ka Arbaee’n
Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n
Dekhi Gayi Na Saaniye Zehra Ki Bekasi
Aaya Khayaal Aun O Muhammad Ka Jis Ghadi
Zainab Ghareeb Kehti Thi Har Lamha Bas Yehi
Khwahar Karegi Apne Baradar Ka Arbaee’n
Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n
Abbase Naamdaar Ke Shaane Qalam Huwe
Pyaasi Sakina Reh Gayi Paani Na La Sake
Tooti Kamar Hussain Ki Abbas Chal Base
Darya Pa Hai Wafa Ke Payambar Ka Arbaee’n
Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n
Atthara Saal Waale Ki Maadar Hai Sogwaar
Roti Hai Yaad Karke Wo Akbar Ko Baar Baar
Kulsoom Beqarar Hai Zainab Jigar Figar
Hai Aaj Ham Shabihe Payambar Ka Arbaee’n
Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n
Asghar Ko Rann Me Laaye Jo Sultan E Karbala
Teer E Sitam Se Chhid Gaya Besheer Ka Gala
Bachche Ko Ek Boondh Bhi Paani Na Mil Saka
Hai Tashna Lab Rabab Ke Dilbar Ka Arbaee’n
Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n
Shabbir Hain Hamari Rag E Jaan Se Qareeb
Haidar Dua Ye Karta Hai Aye Sarwar E Ghareeb
Makhsoosi Arbaeen Ki Ham Sab Ko Ho Naseeb
Mil Kar Waha’n Karenge Bahattar Ka Arbaee’n
Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n
Comments
Post a Comment