Posts

Aagaye Haram Hoga Arbaeen

Aagaye Haram Hoga Arbaeen Gham Ke Paasban Dard Ke Ameen Aaye Qaid Se Abide Hazeen Farshe Khaak Par Hai Falak Nasheen Aagaye Haram Hoga Tauq Bediyaan Aur Reesma Sar Pe Gir Pada Jaise Aasman Ghamzada Falak Roti Hai Zameen Aagaye Haram Hoga Dekhiye Mera Zakhmi Hai Gala Nange Paon Mai Kaaton Par Chala Aisi Bebasi Hogi Kya Kahin Aagaye Haram Hoga Zindagi Se Ye Maut Hai Bhali Ay Mere Chacha Sheh Ki Zindagi Shaam May Hai Ab Teri Naazneen Aagaye Haram Hoga Dukhte Hai Mere Sab Ye Us Suqan Kis-Se Mai Karoon Haale Dil Bayaan Keh Rahe Hai Ye Abide Hazeen Aagaye Haram Hoga Akbare Jawan Mere Bhai Jaan Saath Tum Nahi Khaak Hai Jahan Yaad Karti Hai Zainabe Hazeen Aagaye Haram Hoga Sar Kata Diya Ghar Luta Diya Deen Ko Magar Tu Bacha Liya Fatema Ke Laal Waarise Akheer Aagaye Haram Hoga Dafn Jo Hui Dekho Parde May Nange Sar Kabhi Thi Jo Balwe May Uski Betiyan Dar Badar Phiri Aagaye Haram Hoga Karbala May Ab Dekho Ek Baar Gham May Doob Kar Hogaya Ye Haal Sayyeda Ke Saath Fakhre Mursali Aagaye Haram Hoga

Nigehbaan Watan Jaati Hu’n Bhai

Ab Aakhri Mujra Main Baja Laati Hu’n Bhai Ujde Huwe Kunbe Ko Liye Jaati Hu’n Bhai Maalum Nahi Laut Ke Kab Aati Hu’n Bhai Dil Doob Raha Hai Mera Ghabraati Hu’n Bhai Allah Nigehbaan Watan Jaati Hu’n Bhai Haidar Ka Pisar Fatima Ki Jaan Yahin Hai Wo Jis Pa Wafa Hogayi Qurbaan Yahin Hai Bhayya Mere Parde Ka Nigehbaan Yahin Hai Dil Doob Raha Hai Mera Ghabraati Hu’n Bhai Allah Nigehbaan Watan Jaati Hu’n Bhai Lakhte Dil E Shabbir Ko Kaleje Se Lagana Be Chain Jo Asghar Ho To Seene Pa Sulaana Bhayya Mere Bachchon Ko Kahi’n Bhool Na Jaana Dil Doob Raha Hai Mera Ghabraati Hu’n Bhai Allah Nigehbaan Watan Jaati Hu’n Bhai Ab Kaaheko Phir Laut Ke Yaad Aaegi Zainab Ab Tum Ko Madine Me Kahan Paaegi Zainab Marjayegi Marjayegi Marjayegi Zainab Dil Doob Raha Hai Mera Ghabraati Hu’n Bhai Allah Nigehbaan Watan Jaati Hu’n Bhai Batlaao Ke Kab Tak Yuni Khamosh Rahoge Kya Khwahar E Nashaad Ko Rukhsat Na Karoge Sughra Ke Liye Kya Koi Paigham Na Doge Dil Doob Raha Hai Mera Ghabraati Hu’n Bhai Allah Nigehbaan Watan...

Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya

Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Shahre Rasule Haq Bada Sunsaan Hogaya Jalti Zami’n Pa Gir Pade Jab Akbare Jawa’n Laashe Pa Shaah Pohnche To Andher Tha Jaha’n Laila Se Dekha Jaaega Kis Tarha Ye Sama Kadiyal Jawa’n Ke Sine Me Tooti Huwi Sina Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Bedast Hoke Gir Pade Abbas-E Naojawa’n Ankho’n Me Sheh Ki Deed Ka Arma’n Labo’n Pa Jaa’n Haa’el Hai Darmiyaan Me Ik Teere Jaa’nisaa’n Rone Lage Tadapke Shahinshah-E Insojaa’n Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Kya Housle The Tifle Shah-E Benazir Ke The Nehr Par Buland Iraade Saghir Ke Tewar Ayaa’n The Rukh Se Janab-E Ameer Ke Nanha Sa Ik Gala Tha Muqabil Me Teer Ke Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Beta Khada Hai Saamne Aur Berida Bahan Jakda Huwa Hai Touqo Salasil Me Sara Tann Baba Ki Laash Rann Me Hai Begoro Bekafan Sadme Se Kampne Laga Sajjad Ka Badan Aabaad Ghar Hussain Ka Viraan Hogaya Karbo Bala Se Karwa’n Kufa Huwa Rawa’n Oonto Ki Nangi Pusht Pa Baithi Hain Bibiya’n Hai Sar Khula Har Ek Ka Ba...

Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n

Baithi Huwi Hain Khaak Pa Saidaania’n Tamaam Ranjo Alam Ka Hai Har Ik Simt Ishdihaam Har Lamha Yaad Aati Hai Aashoor Ki Wo Shaam Hota Hai Aaj Sibte Payambar Ka Arbaee’n Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n Pamaal Ran Me Hogaya Shabbar Ka Nounehaal Kubra Ki Aarzuein Huwi Rann Me Paaemaal Farwa Ke Dil Ka Chain Tha Terah Baras Ka Laal Hai Karbala Me Dilbar E Shabbar Ka Arbaee’n Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n Dekhi Gayi Na Saaniye Zehra Ki Bekasi Aaya Khayaal Aun O Muhammad Ka Jis Ghadi Zainab Ghareeb Kehti Thi Har Lamha Bas Yehi Khwahar Karegi Apne Baradar Ka Arbaee’n Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n Abbase Naamdaar Ke Shaane Qalam Huwe Pyaasi Sakina Reh Gayi Paani Na La Sake Tooti Kamar Hussain Ki Abbas Chal Base Darya Pa Hai Wafa Ke Payambar Ka Arbaee’n Karna Hai Fatima Ke Bhare Ghar Ka Arbaee’n Atthara Saal Waale Ki Maadar Hai Sogwaar Roti Hai Yaad Karke Wo Akbar Ko Baar Baar Kulsoom Beqarar Hai Zainab Jigar Figar Hai Aaj Ham Shabihe Payambar Ka Arbaee’n Kar...

Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab

Hai Jiska Ayat E Tat’heer Pairahan Zainab Imamato’n Ki Madadgaar Khasta Tann Zainab Hai Shaane Deene Khuda Jaane Panjatan Zainab Ali Ki Jaayi Hai Abbas Ki Bahan Zainab Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab Wo Waqte Asr Wo Maqtal Wo Sogwaar Fazaa Nazar Ke Saamne Bhai Ka Katt Raha Tha Gala Tadap Raha Tha Badan Zere Tegh Pyaase Ka Udhar Thi Mehwe Fughaa’n Shah Ki Bahan Zainab Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab Chhuta Hai Bhai Bhi Aur Marchuke Hain Bachhe Bhi Rida Bhi Sar Pa Nahi’n Jal Chuke Hain Khaime Bhi Jale Hain Qalb Bhi Daaman Bhi Aur Kurte Bhi Chali Hai Chhor Ke Bhai Ko Bekafan Zainab Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab Jawa’n Ka Qatl To Khud Uske Dil Pa Bhaala Tha Tha Gham Azeem To Shabbir Ko Sambhaala Tha Qadam Jo Khaime Se Pehle Pahal Nikaala Tha Sahara Dene Ko Aayi Thi Pur Mehan Zainab Aseere Fauje Sitam Qaidiye Mehan Zainab Dayaar E Kufa Me Taqreer Se Jihad Kiya Diya Hai Shaam Ke Darbaar Me Kabhi Khutba Kabhi Khamoshi Se Mazloomiyat Ko Nashr Kiy...

Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai

Yalghaar Hai Ghodo’n Ki Aur Qasim-E Bepar Hai Tooti Huwi Barchhi Hai Aur Seena-E Akbar Hai Hulqoome Ali Asghar Aur Teer-E Sitamgar Hai Naize Ki Bulandi Hai Aur Phool Sa Ik Sar Hai Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai Hai Aalame Tanhaai Aur Zulm Ka Lashkar Hai Nargha Hai Laeeno Ka Aur Jaane Payambar Hai Tegho’n Se Badan Zaqmi Aur Teero’n Ka Bistar Hai Shabbir Ki Gardan Hai Aur Shimr Ka Khanjar Hai Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai Uthti Huwi Talware’n Chalte Huwe Naize Hain Sab Zakhme Badan Goya Mashko’n Ke Dahaane Hain Har Simt Se Hamle Hain Abbas Akele Hain Pyaase Ka Sare Zakhmi Aur Gurze Sitamgar Hai Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai Karbal Ke Biyaba’n Me Aasaar Hain Mehshar Ke Bikhre Huwe Maida’n Me Laashe Hain Bahattar Ke Zainab Ki Nigaho’n Me Sab Zakhm Hain Sarwar Ke Jalti Huwi Reti Hai Aur Laasha-E Besar Hai Abid Ki Nigaho’n Me Har Karb Ka Manzar Hai Khamosh Biyaba’n Hain Aur Shaame Ghariba’n Hai Har Aankh Me Ashko’n Ka Thehra Huwa Toofa’n Hai Bewo’n Ka Ya...

Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Shabbir Ne Maida’n Ka Naqsha Hi Digar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Abbas Ki Dariya Par Nazre’n Na Theherti Thi’n Jab Bhar Liya Mashkiza Mudhkar Na Udhar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Dil Thaam Liya Apna Aur Ashk Nikal Aaye Sajjad Ne Baba Ka Naize Pa Jo Sar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Sar Peet Liya Apna Ik Hashr Kiya Barpa Zinda’n Me Sakina Ne Baba Ka Jo Sar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Maida’n Se Ali Akbar Waapas Huwe Khaime Me Maa Ne Jo Dua Ki Thi Uska Ye Asar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Hulqoom Pa Zalim Ka Jab Teere Sitam Aaya Beshir Ne Baba Ko Bas Ek Nazar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha Nazro’n Me Mujahid Thi Tasweer Wo Furqat Ki Shabbir Ne Sughra Ko Jab Waqt-E Safar Dekha Sab Khoon Ke Pyaase The Moula Ne Jidhar Dekha

Pohncho Najaf Se Karbobala

Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Halmin Ki Aarahi Hai Sada Ya Ali Madad Barchhi Nikaalte Huwe Seene Se Laal Ke Mazloome Karbala Ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Nikla Jo Teer Asghare Beshir Ki Taraf Ghabraake Phir Hawa Ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Naiza Huwa Jo Seene Me Paiwast Shah Ke Arshe Baree’n Larazne Laga Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Baitha Huwa Hai Seena-E Aqdas Pa Badkhisaal Khanjar Tale Hai Sheh Ka Gala Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Dekha Sare Hussain Jo Naize Pa Saamne Bimar-E Nainawa Ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Wo Jalte Khaime Bebasi Wo Bekaso’n Ki Shaam Sehraa-E Karbala Ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Jab Daakhila Yazid Ke Darbar Me Huwa Tab Binte Murtaza Ne Kaha Ya Ali Madad Pohncho Najaf Se Karbobala Ya Ali Madad Manzar Wo Karbala Ka Mujahid Na Poochhiye Bachcho’n Ki Al Atash Ki Sada Ya Ali Madad P...

Aisa Musafir Koun Hai (Anjuman e Masoomeen)

Ho Paao Zaqmou Se Bhare Aisa Musafir Koun Hai Rote Ho Jisko Raate Aisa Musafir Koun Hai Wada Nibhane Ke Liye Dee'n Ko Bachane Ke Liye Kaantou Pe Jo Chalta Rahe Aisa Musafir Koun Hai Har Gaam Jisko Beqata Durre Lagaye Ashqiya Wo Shukr Ka Sajda Kare Aisa Musafir Koun Hai Tujh Ko Quda Ka Wasta Aye Karbala Tu Hi Bata Ghurbat Me Jiska Ghar Luta Aisa Musafir Koun Hai Taraj Ghar Ki Yaad Me Apne Pidar Ki Yaad Me Taa Zindagi Rota Rahe Aisa Musafir Koun Hai Jo Paikare Hasaas Ho Us Waqt Ka Abbas Ho Ghairat Jise Sajda Kare Aisa Musafir Koun Hai Turbat Banaye Qaid Me Mayyat Uthaye Qaid Me Pucho Zara Tareeq Se Aisa Musafir Koun Hai Qaidi Ki Ghurbat Dekh Kar Jiski Musibat Dekh Kar Ayyub Bhi Nouha Padhe Aisa Musafir Koun Hai Gardan Me Ho Touqe Giraa'n Aur Paao Me Ho Bediya'n Taa Sham Wo Paidal Chale Aisa Musafir Koun Hai Aahan Pehan Ke Hath Me Kunbe Ko Leke Sath Me Darbaar Me Jana Pade Aisa Musafir Koun Hai

Barchiyo Me Dil Ka Tukda Reh Gaya

Barchiyo Me Dil Ka Tukda Reh Gaya Sheh Ki Ankhou Me Andhera Reh Gaya Aye Falak Sehne Sitam Ke Waaste Kya Nabi Zaadou Ka Kunba Reh Gaya Noke Naiza Par Sare Akbar Ke Sath Umme Laila Ka Kaleja Reh Gaya Ab Na Wo Akbar Hai Na Husno Shabaab Ha Magar Duniya Me Charcha Reh Gaya Odhti Kyukar Rida Binte Ali Be Kafan Bhai Ka Laasha Reh Gaya Isko Kehte Hai Wafa Ehle Wafa Bhar Ke Saqqa Mashk Pyasa Reh Gaya Jalgaye Qaime Ridaye Chin Gayi Qaana E Zehra Me Ab Kya Reh Gaya Jhaad Ke Daaman Shahedee'n Uthgaye Bezabaa'n Marqad Me Tanha Reh Gaya

Kahan Ho Bezaba'n Asghar

Kahan Ho Bezaba'n Asghar, Ye Rota Hai Jahan Asghar Meri Godi Me Sote Ho, Humakte Aur Rote Ho, Tumhari Yaad Me Aksar, Ye Hota Hai Gumaa'n Asghar Ali Asghar Mere Jaani, Mila Na Tumko Yaa'n Paani, Rakha Pyaasa Layeeno Ne, Bulaakar Mehmaa'n Asghar Jidhar Dekho Qamoshi Hai, Udaasi Hi Udaasi Hai, Nigaaho Me Andhera Hai, Tumhe Dhoondu Kahan Asghar Ye Kis Bekas Na Nouha Hai, Kaleja Gham Se Phat Ta Hai, Tumhaare Gham Me Rote Hai, Zameeno Aasmaa'n Asghar Ye Kaise Bezubani Hai, Ajab Moujuz Bayaaani Hai, Tumhaari Tashnakaami Par, Hai Dunya Nouhaqaa'n Asghar Gaye Be Jurm Tum Maare, Na Aaoge Kabhi Pyaare, Jo Tum Aaoge Maidaa'n Se, To Sadqe Tum Pe Maa Asghar Jo Maa Karwat Badalti Hai, To Dil Se Hook Uth'ti Hai, Tum Apni Maa Se Aye Beta, Na Lo Ab Imtehaa'n Asghar Jise Dekho Wo Rota Hai, Lahu Aankho Se Behta Hai, Hamaare Dil Pe Hai Dekho, Ye Maatam Ke Nasha'n Asghar Sakina Yaad Karti Hai, Kabhi Pani Wo Peeti Hai, Wo Mujhse Kehti Hai Amma, Bataao Hai Kahan Asghar

Rangeen Hai Khoon Se Karbobala

Rangeen hai khoon se Karbobala dur dur tak Qasim ko le gayi hai qaza dur dur tak Ghazi kahan kahan se uthaye tujhe Hussain Bikhra hua hai lasha tera dur dur tak La la ke shamiyon ne giraye Hussain par Pathar na koi ran mein bacha dur dur tak Akbar ki lash tak kabhi Asghar ki lasha tak Shabbir kohniyon pe chala dur dur tak Chalta tha shimr balon se thamay sar e Hussain Gardan se khoon behta gaya dur dur tak Ghurbat ke pehle mil gaya naizon ko sheer khawar Maa ne bohat talash kiya dur dur tak Balon se pakray dortay ghoron ke sath sath Masooma ko chalaya gaya dur dur tak Kehta tha shimr naizon pe itni karo buland Sab ko dikhayi de yeh rida dur dur tak Zainab ne al hijaab ki maqtal mein di sada Akbar ghubar urney laga dur dur tak

Bhaiya Yeh Dua Mangiyae Marjaye Sakina

Bhaiya Yeh Dua Mangiyae Marjaye Sakina Hasrat Na Rahi Dil Me Ke Ghar Jaaye Sakina   Zinda’n Ke Andhere Me Hi Marjaye Sakina   Ab Qabr Me Hi Jayegi Gar Jaaye Sakina Zinda’n Ka Andhera Mujhe Sone Nahi Deta   Zaalim Mujhe Royee Bhi Toh Rone Nahi Deta   Kuch Chain Mayassar Mujhe Hone Nahi Deta Baba Toh Nahi Aaye Yaha’n Mujh Ko Chudane   Ammu Bhi Mujhe Chhod Gaye Ranj Uthane   Shimr-E-Layeen Ki Reh Gayi Mai Seliya’n Khane Gardan Ki Reesma’n Se Meri Saans Hai Rukti   Aur Shimr Ke Durro’n Se Meri Pusht Hai Zaqmi   Chalo’n Ki Aziyath Se Mai Chal Bhi Nahi Sakti Baba Ke Na Aane Ka Gila Karti Thi Bibi   Din Raat Yehi Aah O Buka Karti Thi Bibi   Hatho’n Ko Utha Kar Yeh Dua Karti Thi Bibi Daadi Ki Tarah Saans Bhi Mai Le Nahi Sakti   Zaalim Ke Tamacho’n Se Mere Gaal Hai Zaqmi   Zindaan Me Ek Pal Mujhe Raahat Nahi Milti Ab Qabr Me Hi Jaake Sukoo’n Paungi Bhaiya   Baba Nahi ...

Alam Abbas E Ghaazi Ka - Anjuman Aun o Mohammad

Alam Abbas E Ghaazi Ka Lahu Me Tar Jo Le Aaye Hussain Ibne Ali Parcham   Badi Hasrat Se Takti Thi Use Saydaniya Paiham   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka Kate Abbas Ke Shaane, Lahu Behne Laga Saara   Laga Gurze Sitam Sar Par, Gire Rehwar Se Maula   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka Na The Bazu Sahare Ko, Zameen Par Muh Ke Bal Aaya   Jari Ki Is Musibat Par, Tadapta Hai Dile Zahra   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka Adu Kehne Lage Saare, Bada Hee Naaz Tha Tum Ko   Ali Ka Zor Tha Jisme, Wo Baazu Hai Kahan Bolo   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka Sakina Ka Wo Mashkiza, Sitamgar Ne Juhi Cheda   Bazahir Me To Paani Tha, Baha Khoon E Jari Jaisa   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka Liye Ek Aakhri Hasrat, Shahe Wala Ke Zaano Par   Sar E Ghazi Lahu Me Tar, Qayamat Khaiz Tha Manzar   Ye Haal E Zaar Kehta Tha Al...

Ek Din Mein Bhare Ghar Ko

Ek Din Mein Bhare Ghar Ko Luttay Huwe Dekhi Hoon   Zainab Ne Kaha Bhai Ko Marte Huwe Dekhi Hoon Jab Qasim E Muztar Ka Pamal Huwa Lasha   Kuch Pal Mei Hi Kubra Bhi Dulhan Se Bani Bewa   Aur Kubra Ko Bewa Mai Bante Huwe Dekhi Hoon Yeh Aun O Mohammed Ki Kya Wafa Wafai Hai   Bachou Ne Mere Sheh Pe Jaan Apni Lutai Hai   Lashou Pe Main Bhai Ko Rote Huwe Dekhi Hoon Armaan Tha Mera Ke Dulha Mai Banaoogi   Mere Ali Akbar Ka Sehra Mai Sajaoogi   Ab Usko Jawani Mein Marte Huwe Dekhi Hoon Nanha Ali Asgher Jab Nusrat Ke Liye Pohcha   Ek Teer Se Zalim Ne Masoom Gala Cheeda   Besheer Ka Manka Mai Dhalte Huwe Dekhi Hoon Masoom Se Bache The Aur Tashna Dahani Thi   Aur Samne Nazrou Ke Dariya Ki Rawani Thi   Mai Pyas Se Bachou Ko Marte Huwe Dekhi Hoon Haai Yaad Mujhe Ab Tak Lamhe Woh Judai Ke   Ro Ro Ke Lipat Jana Bachi Ka Woh Qadmou Se   Bhai Ko Suey Maqtal Jatay Huwe Dekhi Ho...

Sajjad Dil Sambhalo Bazar-E-Shaam Aaya  

Sajjad Dil Sambhalo Bazar-E-Shaam Aaya   Daman Se Muh Chupalo Bazar-E-Shaam Aaya Bimar Keh Raha Tha Aansu Baha Baha Kar   Zainab Ka Sar Khula Hai Lakar Udhado Chadar   Kufe Ke Rehne Walo Bazar-E-Shaam Aaya Namoos-E-Mustafa Ku Kyun Dekhte Hu Aise   Hairath Me Aasman Hai Tum Kalma Guh Hu Kaise   Nazraen Zara Jukalo Bazar-E-Shaam Aaya Sajjad-E-Natawa Ke Pairou Me Bedhiyan Hai   Majma Hai Kufioun Ka Sar Nange Bibiyan Hai   Moula Ali Bachalo Bazar-E-Shaam Aaya Zainab Ka Naam Lekar Aada Pukarte They   Reh Reh Ke Taziyane Abid Ku Marte They   Jab Sheh Ke Rone Walo Bazar-E-Shaam Aaya Barsat Pattharou Ki Kuthou Se Ho Rahi Thi   Zainab Ki Bekasi Par Tanhai Ro Rahi Thi   Logo Diye Bhujado Bazar-E-Shaam Aaya Uthon Se Gir Rahe They Bache Jo Raste Me   Matam Bapa Hai Peham Be Parda Bibiyun Me   Ab Sar Pe Khakh Dalo Bazar-E-Shaam Aaya Rehan Kya Baya Hu Sajjad Ki Musibat...

Abid Ghareeb Bekaso Naachaar Margaya 

Abid Ghareeb Bekaso Naachaar Margaya   Saadaat Qaak Udhaaei'n Ke Sardaar Saaya Raha Saro'n Pa Na Chouthe Imaam Ka   Zahra Ki Jaa'n Hussain Ka Dildaar Margaya Kaanto'n Pa Khainchte The Jise Raahe Shaam Me   Wo Saarbaane Itrate At'haar Margaya Shamme Mazaaare Panjetane Paak Bujh Gayi   Syedaaniyo'n Ka Haaye Parastaar Margaya Beti Hasan Ki Ho Gayi Bewa Hazaar Haif   Hyder Ka Pota Aashaqe Ghaffar Margaya Rota Raha Jo Baap Ko Chaalees Saal Tak   Wo Aaj Shaahedee'n Ka Azadaar Margaya Bin Baap Ke Layeen Ne Baqir Ko Kardiya   Choutha Wasiy-E-Ahmade Muqtaar Margaya

Parda Duniya Ko Sikhane Wali 

parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron may zainab  ghar se bahar bhi na aane wali aayi bazaaron may zainab  parda duniya ko sikhane... 1. jisne baba se chudae-thay kayi baar aseer   qaidi azaad karane wali aayi bazaaron may zainab  parda duniya ko sikhane... 2. jalte qaimon se utha laayi abbas ke baad  ali aabid ko bachane wali aayi bazaaron may zainab   parda duniya ko sikhane... 3. deen ki khaatir ye bibi salaar bani  banke abbas dikhane wali aayi bazaaron may zainab   parda duniya ko sikhane... 4. apne seene pe sakina ko zindano may  baad bhai ke sulaane wali aayi bazaaron may zainab   parda duniya ko sikhane... 5. nange sar padti rahi khutbe bazaaron may  kasre dushman ko hilane wali aayi bazaaron may zainab   parda duniya ko sikhane... 6. kufe aur shaam bhi saare gaye ye baali johar   azmate deen ko badhane wali aayi bazaaron may zainab  parda duniya ko sikhane...

Allah Ye Kaisa Manzar Hai

Allah Ye Kaisa Manzar Hai Yeh Kaunsi Mastoora Hai, Kya Maang Rahi Hai.   Islam Ki Khidmat Ka Silaa Maang Rahi Hai.   Har Saahib-E-Ghairat Se Ridaa Maang Rahi Hai,   Pardes Mai Marne Ki Dua Maang Rahi Hai.   Afsurda Hai Aflaaq Siyaah-A-Bosh Zamin Hai,   Jibreel Zara Dekh Yeh Zainab Toh Nahi Hai. Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x2 Beparda Shaamiyon Mai x2, Aulaade Payamber Hai Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x2 1. Nidaa De Raha Hai Ye Hasskar Manaadi,   Ay Logo Gharo Se Nikal Aao Jaldi,   Sazaae Do Inko Yeh Baaghi Hai Baaghi,   Bajhte Hai Shaadiyane x2, Har Haath Mai Pathhar Hai Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x2 2. Kahaan Khauf Khaata, Hai Zaalim Kisi Se,   Bulaata Hai Ik Ik, Ko Woh Naam Leke,   Har Ik Bibi Chhupti Hai Zainab Ke Pichhe,   Khud Ko Chhupaaye Zainab x2, Fizza Ki Pusht Par Hai Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x2 3. Bataata Hai Shimr Aake Khud Shaamiyon Ko,...

Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi

Margayi Jo Zinda’n Me Shah-E-Deen Ki Dukhtar   Bekaso’n Ke Rone Se Qaid Me Huwa Mehshar   Laash Par Sakina Ki Karti Thi Fugha’n Maadar   Saath Chhor Kar Mera Tum Gayi’n Kahan Bibi   Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi Aaj Shab Ki Taariki Badh Gayi Hai Zinda’n Me   Bebasi Udaasi Hai Bekasi Hai Zinda’n Me   Tum Jo Ab Nahi’n Rothi Khamoshi Hai Zinda’n Me   Sogwaar Baithi Hain Saari Bibiya’n Bibi   Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi Karbala Ke Maida’n Me Mujh Se Chhut Gaya Asghar   Tumse Hi Bahalta Tha Ye Mera Dil-E-Muztar   Kitni Besahara Hoon Ye To Sonchti Dilbar   Tumse Chhutke Zinda’n Me Kya Jiyegi Maa Bibi   Aye Hussain Ki Pyaari Aye Sakina Jaa’n Bibi Hogaya Kafan Bibi Ye Phata Huwa Kurta   Saaf Bhi Na Ho Paya Kab Se Khoon Kaano Ka   Hai Yaqee’n Khafa Honge Haal Dekh Kar Baba   Jaake Mat Gila Karna Baap Se Waha’n Bibi...

Heyhaat Minnaz Zilla

Heyhaat Minnaz Zilla Paigham E Hussain Ibne Ali Aam Karenge   Haq Ke Liyeh Batil Se Sada Ladte Rahenge   Har Zulm Ko Awaaz Yehi Dete Rahenge   Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla Rokega Kaise Koi Bhala Matam E Sarwar   Hum Gham Bhi Manate Hai Sabhi Ashk Bahakar   Sar Par Hai Kafan Hum Hai Fidaye Ali Akbar   Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla Hum Ashiq E Haider Hain Suno Hum Hain Hussaini   Gardan Ko Kata Dena Hai Miras Humari   Manzoor Nehi Humko Yeh Zillat Ki Zindegi   Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla Qasim Ne Shahadat Ka Maza Humko Bataya   Miti Yeh Shahadat Hai Shahad Se Bhi Ziyada   Phir Kyon Na Lade Kyon Na Mare Jaake Karbala   Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla Shabbir Ke Rouze Main Sada Hoga Arbayeen   Jitna Bhi Chahe Zulm Karo Kam E Zalemeen   Tum Rukna Chaho Na Rukengay Yeh Zayereen   Heyhaat Heyhaat Heyhaat Minnaz Zilla ...

Ghame Hussain Manana Bohat Zaroori Hai  

Ghame Hussain Manana Bohat Zaroori Hai   Hussaini Shamma Jalana Bohat Zaroori Hai Yeh Woh Hussain Hai Jo Fakhr-E-Ibn-E-Aadam Hai   Ke Jis Ke Zer-E-Qadam Rif'at-E-Do'Aalam Hai   Usi Hussain Ke Gham Me Yeh Shor-E-Matam Hai   Yeh Baat Sab Ko Batana Bohat Zaroori Hai Woh Jis Me Asghar-E-Masoom Ka Tabassum Hai   Woh Jis Me Aag Ka Sailaab Hai Talaatum Hai   Woh Jis Me Aakhri Shabbir Ki Sad Gum Hai   Woh Baat Sab Ko Sunana Bohat Zaroori Hai Woh Jisne Deen Bachaya Hai Karbala Aakar   Woh Jisne Aakhri Sajda Kiya Tah-E-Khanjar   Woh Jiske Dar Pe Farishte Jhuka Rahe Hain Sar   Sar Unke Dar Pe Jhukana Bohat Zaroori Hai Woh Bhook-O-Pyaas Woh Barchi Woh Seena-E-Akbar   Woh Mashk Aur Woh Baazu Kate Jo Dariya Par   Woh Sheh Ka Aaqri Sajda Woh Shimr Ka Khanjar   Har Ek Ko Yaad Dilana Bohat Zaroori Hai Khamoosh Aal-E-Muhammad Ka Aaj Dera Hai   Bala Ka Shaam-E-Ghareeb...

Darya Hai Hamara

Abbas Se Kehti Thi Ye Fouje Sitam Aara Darya Hai Hamara   Behtar Hai Agar Aap Kare’n Isse Kanaara Darya Hai Hamara Aane Ki Yaha’n Shaam Ke Hakim Ki Qabar Hai, Sab Zero Zabar Hai   Kal Sub'ha Se Ghir Jaaega Maidaan Ye Saara - Darya Hai Hamara Ye Sunte Hi Abbas Ke Abru Pa Bal Aaya, Badhkar Ye Sunaaya   Hargiz Nahi’n Tum Logo’n Ka Kuch Is Me Ijaara - Darya Hai Hamara Pyaase Rahe Maidaan Me Waa’n Sibte Payambar, Sehraab Ho Lashkar   Ek Dam Me Ulat Doonga Safo Ko Sitam Aara - Darya Hai Hamara Lashkar Ko Hata Kar Ye Sada Sher Ki Aayi, Kis Ki Hai Taraayi   Batlaao Ke Qabze Me Hai Ab Kiske Kanaara - Darya Hai Hamara Zainab Ne Kaha Shaah Se Ghabraati Hu Bhai, Hoe Na Ladaai   Le Aayiye Abbas Ko Ye Kehke Khudaara - Darya Hai Hamara Jaakar Kaha Shabbir Ne Aabbas Se Dilaawar, Kyu Hote Ho Muztar   Mere Liye Har Cheez Ko Qaaliq Ne Utaara - Darya Hai Hamara Be Deeno’n Ki In Baato’n Ke Qaatir Me Na Laao, Ghusse Me Na Aao   H...

Aayi Haatif Ki Aawaz Sheh Ko Utro Shabbir Ye Karbala Hai

Aayi Haatif Ki Aawaz Sheh Ko Utro Shabbir Ye Karbala Hai Bas Qadam Ab Na Aage Badhaao Utro Shabbir Ye Karbala Hai Ab Safar Qatm Hai Ibne Zahra, Labe Darya Karo Qaima Barpa   Hashr Tak Hai Yahi’n Tumko Rehna Utro Shabbir Ye Karbala Hai Yahi’n Nau Roz Mehma’n Rahoge, Khaane Peene Ki Eeza Sahoge   Bhooke Pyaase Yahi’n Qatl Honge Utro Shabbir Ye Karbala Hai Marte Dam Bhi Na Paani Milega, Pyaasi Gardan Pa Qanjar Chalega   Sar Chadega Sina Pa Tumhara Utro Shabbir Ye Karbala Hai Laash Chaalees Din Tak Tumhari, Isi Jungle Me Uryaa’n Rahegi   Rone Waala Bhi Hoga Na Koi Utro Shabbir Ye Karbala Hai Khaaegi Jab Sakina Tamaacha, Yahi’n Tadpega Laasha Tumhara   Shimr Dega Yahi’n Usko Eeza Utro Shabbir Ye Karbala Hai Raahwaar Apna Sarwar Ne Roka, Utre Baaqar Wahi’n Shaahe Waala   Haatife Ghaib Jis Dam Pukaara Utro Shabbir Ye Karbala Hai

Ay Dilbaran-E-Jafar-Tayyar  

Ay Dilbaran-E-Jafar-E-Tayyar Alwida   Alwida   Alwida   Alwida Binte Ali Ye Bachon Say Kehti Thi Baar Baar (X3)   Ran Ko Sidharo Aun-O-Muhammad Ye Maa Nisar Jafar Ka Ifteqar Bharana Jihad May (X3)   Nana Ki Apni Shan Dikhana Jihad May Shair-E-Khuda Ki Beti Kay Tum Dono Shair Ho (X3)   Maidan May Jawo Khud Fatha Ab Kuch Na Dair Ho Haar Baat Apne Dil Kay Siwa Ho To Baat Hai (X3)   Woh Ran Paray Kay Hashr Bapa Ho To Baat Hai Ghayre Rahay Sipah Magar Mou Na Morna (X3)   Haider Ki Yaadgar Ho Maidan Na Chorna Shimro Umar Kay Saar Jo Utaro To Khush Hu May (X3)   Dushman Ko Jhoom Jhoom Kay Maaro To Khush Hu Mai Ab Toh Ye Arzoo Hai Kay Tum Ran May Kaam Aawo (X3)   Chehray Kay Badle Khoon Bhare Chehre Mujhe Dikhao Bacho Zaeef Mamu Ko Zehmat Na Deejiye (X3)   Lashay Uthaaye Bhai To Jumbish Na Kijiye Pyaase Jo Aaoge To Sila Degi Tum Ko Maa (X3)   Khud Daud Kar Gallay Say Laga Legi...

Waqt Sajjad Ne Kaisey Woh Guzaara Hoga

Waqt Sajjad ne kaisey woh guzaara hoga Naam Zainab ka jo ghairoun ne pukaara hoga Lo Hussain Ibne Ali pyaase zibhaa hone lage Kitna sharminda woh darya ka kanaara hoga Woh giraa zeen se Zainab ki ridaa ka zaamin Kaun ab Fatema jaayi ka sahaara hoga Sar-e-maidaan toh, jaane toh, laga hai Asghar Kis tarah tere bina maa ka guzaara hoga Nok-e-naiza pey bahaaney lage ansoo maula Phir Sakina ko kisi shaqs ne maaraa hoga Roz-e-Mehshar ka humein darr nahin koi Shaukat Haath Shabbir ke qadhmoun pe hamaara hoga

Bulaakar Sab Ko Hazrath Ney

Bulaakar sab ko Hazrath ney kahaa aye Karbala waalo Hamein darkaar hai thodi si jaa aye Karbala waalo Iraada hai isi jungle main apna ghar basaaengay Na ho taa hashr ab tumsey judaa aye Karbala waalo Khudaara marney waaloun ki na roko raaha rehnay doh Mujhey laayi hai yahaan meri qazaa aye Karbala waalo Raheygi taaba chehlum laash bey ghusl-o-kafan sabki Meray naamoos hongay bey ridaa aye Karbala waalo Main chupp jaaoonga gar ek ek mutthi khaak daalogay Yoonhi banjaayega marqadh mera aye Karbala waalo Muhibb aayein jo baad-e-margg beykas ki ziyarath ko Bathaa deina unhein mera pathaa aye Karbala waalo Hamaari qabr par aana toh doh aansoo bahaa jaana Miley fursath toh padhna faateha aye Karbala waalo Mileiga chaen baad-e-margg bhi mujhko na turbath main Milega hashr takh madhfan mera aye Karbala waalo

Dil Hai Beychaen Shaahey Huda Ka

Dil hai beychaen shaahey huda ka Ho raha hai safar karbala ka Qasdh hai waanh sey mulk-e-baqaa ka Ho raha hai safar karbala ka Bhaayi Abbas woh mashkoun waaley Aur paani tumharey hawaaley Saath maasoom bachchoun ka hoga Ho raha hai safar karbala ka Sab sey ro-ro kay kehthay hain Hazrath  Ab yehi hai khuda ki mashiyath Mujh sey chut-tha hai Naana ka Rauza Ho raha hai safar karbala ka Jaakay Soghra ko samjhaao bhaayi kardoh beemaar-e-gham ki rihaayi Saath chalnaa hai dushwaar uska Ho raha hai safar karbala ka Kahiyoh beti tujhey kya khabar hai  Raastha har qadam pur qatar hai Saamna ab hai dasht-e-bala ka Ho raha hai safar karbala ka Saath hai meri baali Sakina Behray ismath ka hai yeh nagina Marqadh zindaan may iska baneigaa Ho raha hai safar karbala ka Saath meray mera mehlaqaa hai  Humshabi-e-Rasool-e-Khuda hai Su-e-Maqtal chala hai yeh fidya Ho raha hai safar karbala ka Aaj hai Bibiyoun ko amaari  Shaan sey jaarahi hai sawaari Kal kahaan hoga inkaa yeh pardaa Ho ra...

Tujhe Jhula Jhulaoon (Hasan Sadiq)

Ya Hussain..(4) Mai jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon Mai khwaab me asghar tujhe..(2) Lori bhi sunaoo, Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 1) Laut aao safar se ke badi der hui hai..(2) betaab hu kabse tujhe..(2) seene se lagaoo Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 2) Koi mujhe batlata nahi teri nishani..(2) Barsaat me teero ki..(2) Kaha dhundhne jaoo Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 3) Socha tha teri saalgira ghar me karungi..(2) Taqdeer ye kehti hai..(2) Tera sog manaoo Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 4) Baba se tere tera janaza na uthega..(2) Rukja zara abbas ko..(2) Darya se bulaoo Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 5) Ye khoon bhara kurta ye matti me bhare baal..(2) Seene me chupau ke..(2) Mai aankho se lagaoo Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 6) Is tarha koi rooth ke maa se nahi jaata..(2) Tu khud hi bata de mai..(2) tujhe k...

Zulm Hai Andera Hai Qaid Me Sakina Hai

Zulm Hai Andera Hai Qaid Me Sakina Hai Gham Ka Ab Savera Hai Qaid Me Sakina Hai Bad-e-Shah-e-Deen Uspar, Har Sitam Huwa Khul-Kar. Margayi Hai Wo Pyasi Dekthi Rahi Madar. Kaisa Uss-Ka Marna Hai, Qaid Me Sakina Hai. Shimr Ke Tamache The, Ranj-o-Gham Ke Saye The, Raha Me Sakina Ke, Aafato Ke Kante The, Haye Kya Andhera Hai, Qaid Me Sakina Hai. Be-Kajawa Ountoun Par, Le-Gaye Laien Dar-Dar, Dekhti Rahi Bibi, Baap Ka Sina Par Sar, Nazroun Me Madina Hai, Qaid Me Sakina Hai. Bekasi Ka Aalam Hai, Sab Ki Aankh Purnam Hai, Teergi Me Zindan Ki, Binte Sheh Ka Matam Hai, Haal Hai Wo Zinda Ka, Qaid Mai Sakina Hai. Lake Sar Wo Baba Ka Sheh Se Guftagu Ki Jo, Dekho Tho Zara Abid Sogayi Hai Kya Dekho, Kya Gazab Ka Sona Hai Qaid Me Sakina Hai. Marte Waqt Bhai Se Ye Kaha Sakina Ne, Ho Muqam Ek Thanda Dafan Mujhko Wa Kije, Qush Mera Sina Hai,  Qaid Me Sakina Hai. Nouha Likthe Hai Hyder Aur Sunate Hai Jaffer, Majlis-e-aza Me Hai Sab Ki Ab Zubano Par, Dekhle Zara Dunya,  Qaid Me Sakina Hai.

Mera Muslim Akela Hai

Kaha Shabeer Ne Ghazi Woh Dekho Janib-e-Kofa Mera Muslim Akela Hai. Na Koi Monis-o-Yawar Na Koi Pas Hai Beta Mera Muslim Akela Hai. Mere Bhai Ko Charon Samt Se Fojon Ne Ghaira Hai. Hazaron Marne Walay Hain Our Muslim Akela Hai. Hain Kofi Chaar Janib Nahi Hai Koi Bhi Apna. Bari Dushwar Manzil Hai Kabhi Aisa Na Waqt Aaye. Watan Se Door Ghurbat Mein Koi Aisay Na Dukh Paye. Ruqaiya Hone Wali Hai Abhi Kuch Dair Mein Bewah. Jo Mere Dil Pe Guzri Hai Unhein Batla Nahi Sakta. Tumhari Betiyon Ke Sath Kofa Ja Nahi Sakta. Bacha Lein Mere Bhai Ko Najaf Nazdeek Hai Baba. Katay Honton Ka Oss Ke Khon Jab Pani Mein Girta Hai. Gira Kar Jaam Pani Ko Bari Hasrat Se Takta Hai. Na Jane Kitna Zakhmi Hai Na Jane Kab Se Hai Pyasa. Nazar Aate Nahi Abbas Ko Muslim Ke Shehzaday. Muhammad Our Ibrahim Oss Ke Sath Nikley They. Kahan Par Kho Gaye Dono Na Jane Kya Howa Aisa. Yeh Kal Tak Sath They Oss Ke Abhi Sab Ho Gaye Bagi. Safeer-e-Ibn-e-Haider Ki Ajab Ghurbat Hai Yeh Ghazi. Koi Ghar Se Nahi Nikla Sada Det...

Shimr Kehta Tha Mat Suno Mukhtar

Shimr kehta tha mat suno Mukhtar Mai ne kaisay Hussain ko maara Jab hua mai sawaar seenay par Lab hilaanay laga tera Mola Pyaas mei badduaaein denay lagay Mujh ko Shabbir aisa lagta tha Mai ne honto pe kaan rakh ke suna Wo to Ghazi ko yaad karta tha Shimr kehta tha mat suno Mukhtar… Kaisi gurbat thi ibn e Zehra par Dekhti thi Sakina ye manzar Mere haatho mei Sheh ki daadhi thi Main rulaata raha usay hans kar Laash e Abbas bhi tadapnay lagi Jab tamaancha Hussain ko maara Shimr kehta tha mat… Us ki aankho mein jaanay kya tha ameer Koi nazrei nahi milaata tha Mai bhi aankhei na us ki dekh saka Is liye chehra us ka pher diya Ye waja thi jo pusht e gardan se Tere Mola ko zibha main ne kiya Shimr kehta tha mat… Wo jo ik nehr hai wahan jaari Tera Mola wahan tha zeen se gira Umar e saad ne kaha mujh se Qatl us ko nashaib mein karna Main yahan qatl gaah tak Mukhtar Us ko zulfo se khench kar laaya Shimr kehta tha mat suno Mukhtar Haan wo lamha ajeeb tha Mukhtar Mere haatho mein tez thi talwaar K...

Hum Kaise Chale Jaye (Mir Hassan Mir)

Ashoor Ki Shab Karte Thay As'hab Ye Noha Hum Kaise Chale Jaye Tumhe Chod Ke Maula Kooze Liye Haaton May Hai Masoom Se Bache In Pyason Ko Pani Ki Badi Aas Hai Humse Mar Jayenge Ye Gar Hamay Jaate Hue Dekha Hum Kaise Chale Jaye ... Ashoor Ki Shab Karte ... Maana Ke Zaroorat Nahi Hazrat Ko Hamari Abbas Sa Bha Hai Hifazat Ko Tumhari Zehra Ko Magar Phir Bhi Hai Moo Humne Dikhana Hum Kaise Chale Jaye ... Ashoor Ki Shab Karte ... Ankhon May Nazar Aati Hai Bachi Ki Ghareebi Darti Hai Ke Tanhai Na Bad Jaye Padar Ki Aa Aa Ke Hame Takti Hai Hasrat Se Sakina Hum Kaise Chale Jaye ... Ashoor Ki Shab Karte ... Jis Roz Se Abaad Kiya Tum Ne Ye Jangal Ek Bibi Yahan Roti Hai Raaton Ko Musalsal Lagta Hai Lehad Chod Ke Khud Aayi Hai Zehra Hum Kaise Chale Jaye ... Ashoor Ki Shab Karte ... Kya Aalam E Ghurbat Nabi-Zadi Pe Pada Hai Kehne Ki Nahi Baat Magar Humne Suna Hai Hai Aap Ki Zainab Ko Bahot Hum Pe Bharosa Hum Kaise Chale Jaye ... Ashoor Ki Shab Karte ... Seena Ali Akbar Ka Bahot Choom Rahe Ho Jo Tu...

Haye Gareeb Ul Watan

Haye Gareeb Ul Watan Ay Aseer E Mehan Alwida Alwida Alwida Ay Hussain Alwida Naizon Pe Sar Kaat Ke Haye Chadaya Gaya Ghodon Se Paamal Tan Tera Karaya Gaya Loot Ke Sab Maal O Zar Qaima Jalaya Gaya Haye Gareeb Ul Watan ... Bibiyon Pe Jis Khadar Karte Thay Aada Jafa Utna Hi Saydaniya Karti Hai Aah O Buka Dashte Jafa May Yehi Goonj Rahi Thi Sada Haye Gareeb Ul Watan ... Baandhi Jafa Kaaron Ne Shaano May Kas Kar Rasan Kis Tara Hamsheer De Bhai Ko Apne Kafan Cheen Li Sar Se Rida Hogayi Bebas Behan Haye Gareeb Ul Watan ... Bali Sakina Ke Jab Shimr Ne Cheene Gohar Khoon Baha Is Qadar Hogaya Sab Kurta Tar Kehti Thi Aao Chacha Waqt E Madad Hai Pidar Haye Gareeb Ul Watan ... Hathkadi Aur Bediyan Tauq E Giran Baar Hai Kitna Aseere Mehan Abid E Beemar Hai Lashkare Jor O Sitam Jaane Ko Tayyar Hai Haye Gareeb Ul Watan ... Godh Se Bache Sabhi Raahon May Girte Rahe Dab Ke Sidhaare Jina Naaqon Ke Paon Talay Maa'on Ne Ye Daagh Bhi Apne Jigar Par Sahe Haye Gareeb Ul Watan ... Kar Gayi Zindan May Jab S...

Har Durood Aur Har Salaam

Har Durood Aur Har Salaam Madare Hussain Tere Naam Zaujaye Ali E Sar Baland Fatema Azeem Arjumand Jiske Aastane Paak Ke Qudsiyane Arsh Hai Ghulam Har Durood Aur ... Hai Wo Fatema Wo Fatema Aarzoo-E-Qalb E Mustufa Jiske Laadle Hassan Hussain Jiski Betiyan Falak Muqaam Har Durood Aur ... Kat Raha Tha Farte Shaahe Deen Chal Raha Tha Khanjare Layeen Bibi Aap Dekhti Rahi Lut Gaye Haram Jalay Khayaam Har Durood Aur ... Har Durood Aur Salam Khwahare Hussain Tere Naam Sani E Janabe Sayyeda Allah Allah Tera Hausla Khoob Ki Hifazate Haram Baad-E-Qatle Sayyede Anaam Har Durood Aur ... Bibi Gham Uthaye Hai Bahot Dil Pe Daagh Khaaye Hai Bahot Tujpe Ay Hussain Ki Behan Hogayi Musibatein Tamaam Har Durood Aur ... Karbala May Apne Dilruba Kardiye Hussain Par Fida Aun Aur Mohamed E Jari Hogaye Shaheed E Tashnakaam Har Durood Aur ... Daulate Batool Lut Gayi Dukhtare Rasool Lut Gayi Chin Gayi Saro Se Chadarein Jal Gaye Hussain Ke Qayam Har Durood Aur ... Mayyate Padi Hai Bekafan Kya Kare Hussain Ki Behan...

Hal Min Naser Hal Min Naser (Anjuman e Masomeen)

Hal Min Naser Hal Min Naser Kaun Hai Meri Madad Ko Haazir Hal Min Naser Hal Min Naser Asr Ko Goonji Jab Ye Sada Larze Sunkar Arz O Samaa Jaanta Jo Hai Mujhko Jaane Jo Nahi Jaanta Wo Pehchane Tum Par Haq Ho Mera Zaahir Kaun Hai Meri Madad Ko Haazir Hal Min Naser ... Nana Mohamed Nani Khadija Baba Ali Maa Fatema Zehra Bhai Hassan Sardar E Jina Hai Khabze May Mere Kaun O Makan Hai Mera Munkir Haq Ka Kaafir Kaun Hai Meri Madad Ko Haazir Hal Min Naser ... Mai Hoo Quran Mai Hoo Emaan Munkir Mera Dushmane Yazdan Nafse Khuda Hoo Nafse Nabi Hoo Jaane Nabi Hoo Mai Bhi Ali Hoo Mai Hoo Jalaale Haq Ka Mazhar Kaun Hai Meri Madad Ko Haazir Hal Min Naser ... Subha Se Tumne Dekhe Nazare Khoon May Doobe Chand Aur Taare Nana Nabi Ke Deen Pe Waare Jaan Se Jo Thay Mujhko Pyare Koi Raha Na Humdam O Yawar Kaun Hai Meri Madad Ko Haazir Hal Min Naser ... Laash Mere Akbar Ki Padi Hai Uspe Jawani Roti Khadi Hai Phool Sa Jism Aur Naiza Aur Payka Tumne Kiya Ghar Mera Veeran Cheen Liya Kyun Mujhse Akbar Kaun Hai Me...

Gham Sakina Ko Mile (Mir Hassan Mir)

Gham Sakina Ko Mile Itne Musalmano Se Mar Gayi Par Na Kabhi Haath Hatay Kaano Se Shaam Jaate Hue Naaqe Se Giri Yun Bachi Mashk Ghazi Ki Giri Jaise Kate Shano Se Gham Sakina Ko Mile ... Chaunk Ut'ti Thi Madine May Ye Keh Kar Bano Koi Awaaz Mujhe Deta Hai Veerano Se Gham Sakina Ko Mile ... Kitni Berahmi Se Zaalim Ne Utaare Wo Gohar Sheh Ne Beti Ko Jo Pehnaye Thay Armaano Se Gham Sakina Ko Mile ... Mujhko Kurte May Hi Dafnana Sakina Ne Kaha Mat Kafan Maangna Ay Bhai Musalmano Se Gham Sakina Ko Mile ... Koi Ghairat May Unhe Dekh Ke Khoon Rota Hai Rista Rehta Hai Lahoo Aaj Bhi Jin Kaano Se Gham Sakina Ko Mile ... Sab Chale Jaate Hai Shabbir Ko Rokar Akbar Ek Bachi Nahi Jaati Hai Azakhano Se Gham Sakina Ko Mile ...

Ek Nanhi Si Lehad (Mir Hassan Mir)

Ek Nanhi Si Lehad Ran May Banate Hai Hussain Khaak May Doosre Mohsin Ko Chupate Hai Hussain Daalte Jaate Hai Asghar Ke Badan Par Mitti Aur Qaimo Ki Taraf Dekhte Jaate Hai Hussain Ek Nanhi Si Lehad ... Marte Dam Nanhe Se Haathon Ne Jise Thaama Tha Ab Wo Daaman Ali Asghar Se Churate Hai Hussain Ek Nanhi Si Lehad ... Laashe Hurr Ne Kaha Rumaal Ye Dedo Jaa Kar Zakhm Baysheer Ka Haathon Se Chupate Hai Hussain Ek Nanhi Si Lehad ... Dhoondne Aayenge Is Laash Ko Naiza Bardaar Chup Ke Bano Se Ye Zainab Ko Batate Hai Hussain Ek Nanhi Si Lehad ... Kaha Sughra Ne Ke Mar Kar To Miloongi Sheh Se Mujhko Maloom Hai Har Qabr May Aate Hai Hussain Ek Nanhi Si Lehad ... Laashe Abbas Pa Kehti Thi Ye Zehra Roke Utho Abbas Tumhe Kabse Bulaate Hai Hussain Ek Nanhi Si Lehad ... Koi Zainab Ko Bula Laaye Takallum Jaa Kar Barchi Akbar Ke Kaleje Se Churate Hai Hussain Ek Nanhi Si Lehad ...

Ek Ali Ki Laadli Thi Ek Ali Ka Laal Tha

Padke Mehzar Jab Madine Se Chala Wo Khaafila Qasim O Abbas O Akbar Aur Sibte Mustufa Saath May Zainab Sakina Aur Roohe Fatema Syed E Sajjad O Asghar Saath Sughra Ki Dua Khaafila Tha Ek Lekin Do Thay Roohe Khaafila Ek Ali Ki Laadli Thi Ek Ali Ka Laal Tha Haye Wo Kis Shaan Se Nikle Thay Suye Karbala Saath Abbas E Jari Khabze May Tayghe Murtuza Markaze Tazeem Thi Do Hastiyan Har Ek Ka Ek Ali Ki Laadli ... Apne Beton Ko Fida Bhai Pe Zainab Ne Kiya Bhai Mar Ke Bhi Na Zainab Se Huwa Ek Pal Juda Sar-Barehna Wo Chali Wo Bar Sare Naiza Chala Ek Ali Ki Laadli ... Sar Diya Bhai Ne Chadar Di Bahan Ne Deen Ko Na Bahan Aisi Na Aisa Bhai Hoga Momino Jisne Sar Uncha Kiya Hai Baani-E-Islam Ka Ek Ali Ki Laadli ... Sar-Barehna Thi Behan To Bhai Bhi Tha Be-Kafan Bhai Ke Baazu Juda Behna Ke Baazu May Rasan Sar Kiya Dono Ne Mil Kar Karbala Ka Maareka Ek Ali Ki Laadli ... Bhai Ne Cheh Maah Ke Bache Ki Mayyat Gaad Kar Ek Nayi Tareekh Likhi Karbal Ki Khaak Par Shukr Ka Sajda Jawabe Tay Ke Marne Par Kiya Ek Ali...

Bazaar Aa Raha Hai (Kazmi Brothers)

Ye Kaun Khoon Rota Bazaar Aa Raha Hai Lab Pe Sawaal E Chadar Aankhon May Karbala Hai Mahol Hai Sharabi Uryan Aayatein Hai Ghairat Ke Na Khuda Par Ghurbat Ki Imtehan Hai Ye Kaun Khoon Rota ... Abid Haya Ka Kaaba Kaise Na Khoon Roye Namoos Us Jari Ki Balwe May Berida Hai Ye Kaun Khoon Rota ... Ghairat Se Khoon May Tar Har Aankh Hai Sina Par Darbar Waqt E Payshi Nazdeek Aa Chuka Hai Ye Kaun Khoon Rota ... Hilne Lagi Zameen Aur Bazaar Thar Tharaya Zainab Ka Patharon Se Jab Zakhmi Sar Hua Hai Ye Kaun Khoon Rota ... Balon May Aa Chuki Hai Masooma Ke Safedi Shimr E Layeen Ne Uspe Itna Sitam Kiya Hai Ye Kaun Khoon Rota ... Haider Karenge Matam Is Baat Ka Hashr Tak Sajjad Ki Jawani Bazaar Kha Gaya Hai Ye Kaun Khoon Rota ...

Ay Shehr-E-Madina

Kya Tujhse Kahe Haal E Safar Zainabe Muztar Ay Shehr-E-Madina Laut Aayi Hoo Mai Apne Bhare Ghar Ko Luta Kar Ay Shehr-E-Madina Athara Baras Naazon Se Maine Jise Paala Wo Gaysuon Wala Dunya Se Gaya Seene Pa Phal Barchi Ka Khakar Ay Shehr-E-Madina Kya Tujhse Kahe ... Darwaze Pe Qaime Ke Mai Majboor Khadi Thi Aur Dekh Rahi Thi Jab Sibte Payambar Ke Galay Par Chala Khanjar Ay Shehr-E-Madina Kya Tujhse Kahe ... Thay Shah Jise Pyar Se Seene Pa Sulaate Aur Naaz Uthaate Zindan Ke Andhere May Usay Aayi Hoo Khokar Ay Shehr-E-Madina Kya Tujhse Kahe ... Bache Hi Nahi Saath Mai Kis Tarha Se Jaaun Ye Soch Rahi Hoo Ghar Dekhungi Jab Khaali To Sabr Aayega Kyunkar Ay Shehr-E-Madina Kya Tujhse Kahe ... Dil Tham Ke Rote Thay Saeed Ahle Madina Jab Kehti Thi Dukhya Mai Aayi Hoo Amma Ke Bhare Ghar Ko Lutakar Ay Shehr-E-Madina Kya Tujhse Kahe ...

Abbas Ka Parcham (Anjuman e Masoomeen)

Abbas Ka Parcham Mujhe Jis Ja Nazar Aaya Mashkeeza Wahin Dukhtare Sheh Ka Nazar Aaya Haathon Se Jigar Saaqiye Kausar Ne Sambhala Jab Tashna Dahan Unka Khabeela Nazar Aaya Abbas Ka Parcham ... Dunya May Usay Milgayi Jannat Ki Basharat Gham May Jo Shahe Deen Ke Rota Nazar Aaya Abbas Ka Parcham ... Sairaab Kiya Saaqiye Kausar Ke Pisar Ne Jab Lashkare Hurr Dasht May Pyasa Nazar Aaya Abbas Ka Parcham ... Hota Hai Jahan Matame Farzande Payambar Ghazi Ka Alam Bhi Wahin Uncha Nazar Aaya Abbas Ka Parcham ... Kya Guzri Na Jaane Dil E Maadar Pe Elaahi Jab Khoon May Tar Bete Ka Laasha Nazar Aaya Abbas Ka Parcham ... Nazron May Wohi Phir Gayi Tasveere Sakina Ghazi Ko Jo Behta Hua Darya Nazar Aaya Abbas Ka Parcham ... Islam Ki Tareekh May Chauda Sau Sadi Se Khanjar Ke Talay Ek Hi Sajda Nazar Aaya Abbas Ka Parcham ... Gardan Pe Laga Teer Magar Daste Pidar Par Hasta Hua Shabbir Ka Pyara Nazar Aaya Abbas Ka Parcham ... Kehte Hai Khaleel Aaj Mili Khaab Ki Tabeer Sehra May Jo Shabbir Ka Laasha Nazar Aaya...

Aajao Ali Asghar (Anjuman e Masoomeen)

Maadar Ka Ye Nauha Tha Aajao Ali Asghar Aajao Ali Asghar Aajao Ali Asghar Chodo Na Mujhe Tanha Aajao Ali Asghar Aajao Ali Asghar ... Surat Teri Ay Asghar Phirti Hai Nigahon May Dikhlayi Nahi Deta In Dard Ki Raahon May Tadpao Na Yun Beta Aajao Ali Asghar Aajao Ali Asghar ... Wo Phool Sa Chehra Phir Hoga Kahan Dunya May Ab Dhoondne Jayegi Ye Maa Kahan Dunya May Jangal May Tum Na Sona Aajao Ali Asghar Aajao Ali Asghar ... Thi Pyaas Gawahi May Baysheer Ki Aahon May Ek Dard Ki Dunya Hai Shabbir Ki Baahon May Dil Doobta Hai Mera Aajao Ali Asghar Aajao Ali Asghar ... Bikhre Pade Hai Laashe Aaun Kahan Mai Ran May Dil Khauf Se Darta Hai Karbobala Ke Ban May Chodo Na Mujhe Tanha Aajao Ali Asghar Aajao Ali Asghar ... Mai Raaton May Uth Uth Ke Wo Jhoola Jhulati Thi Ro Ro Ke Tumhe Beta Lori Mai Sunaati Thi Veeran Hua Jhoola Aajao Ali Asghar Aajao Ali Asghar ... Behaal Sakina Hai Dekho To Zara Aa Kar Hai Neel Tamachon Ke Masooma Ke Gaalon Par Mar Jayegi Wo Dukhiya Aajao Ali Asghar Aajao Ali Asghar ....

Aaja Mere Hussain (Anjuman e Masoomeen)

Aaja Mere Hussain Aaja Mere Hussain Tu Chand Hai Mere Ghar Ka Tu Phool Hai Is Aangan Ka Tu Is Dil Ki Hai Dhadkan Tu Noor Hai In Aankhon Ka Teri Yaad May Tadpun Din Bhar Jaagun Mai Saari Rayn Aaja Mere Hussain ... Kya Chakki Pees Ke Beta Is Din Ke Liye Tha Paala Khanjar Hai Galay Par Pyase Manzar Ye Dehun Kaise Ahmed Ka Nawasa Hai Ye Beta Hai Mera Hussain Aaja Mere Hussain ... Ghar Baar Luta Kar Dekhun Ye Haal Bhi Dilbar Dekhun Tu Tanha Khada Hai Ban May Ujdi Hai Kook Is Ban May Chaale Hai Mere Is Dil Par Ashkon Se Tar Hai Nayn Aaja Mere Hussain ... Khoon Roti Hai Ye Dukhiya Bebas Hai Kitni Mamta Mehshar Ka Hai Ye Manzar Sajde May Sar Aur Khanjar Lillaah Rehm Tu Karna Kaunain Huwe Bechain Aaja Mere Hussain ... Be-Aab Na Zibha Kar Tu Allah Se Kuch To Darr Tu Kya Soch Ke Tu Badta Hai Zehra Ka Ye Fidya Hai Kyun Arsh Ko Tu Dhaata Hai Khudrat Ke Hai Ye Bain Aaja Mere Hussain ... Dil Par Hai Udaasi Chaayi Baalon Se Maqtal Jhaadi Beenayi Gayi Hai Maa Ki Tooti Hai Kamar Bhi Meri Ye Din Bhi Kais...

Aaj Hai Khurasan May Ek Ghareeb Ka Matam (Anjuman Parwana e Shabbir)

Aaj Hai Khurasan May Ek Ghareeb Ka Matam Toos Ki Hawaon May Hai Ye Kaisi Be-Chaini Har Taraf Fazaon May Hai Ye Bekali Kaisi Goonjti Hai Har Ghar May Ab Sadayein Matam Ki Us Imam Ke Gham May Sab Ki Aankh Hai Pur Nam Aaj Hai Khurasan May ... Ek Ghareeb O Bekas Ko Kisne Zehr De Daala Is Imam E Hashtum Par Ho Gaya Sitam Kaisa Karwatein Badalte Hai Khaak Par Shahe Waala Dil Ko Thaam Kar Maula Khoon Ugalte Hai Payham Aaj Hai Khurasan May ... Aaj Dilbare Kazim Hum Se Hogaya Ruqsat Kya Bayan Kare Koi Us Ghareeb Ki Haalat Kaisi Hai Ye Tanhaai Haye Kaisi Hai Ghurbat Ab Watan Se Doori Hai Bekasi Ka Hai Aalam Aaj Hai Khurasan May ... Hota Hai Do Aalam May Gham Imam E Zaamin Ka Kar Rahe Hai Sab Matam Sab Ke Lab Pa Hai Nauha Lo Janaza Uth'ta Hai Aaj Uska Wavaila Tha Na Jiska Ghurbat May Koi Monis O Humdam Aaj Hai Khurasan May ... Ek Bahan Pa Toota Hai Bhai Ka Ye Gham Kaisa Khaak Uda Ke Roti Hai Aaj Qum Ki Masooma Keh Rahi Hai Ro Ro Kar Mar Gaya Mera Bhaiya Kya Karoon Mai Ab Jee Kar Kaun Hai Mera...

La Fata Illah Ali (Sachay Bhai)

Shaahe Mardan Shere Yazdan Quwate Parwardigar La Fata Illah Ali La Saif Illa Zulfaqar Is Tarha Chalti Thi Ran May Tayghe Shere Kirdagaar Har Taraf Se Ashkiyan May Al-Amaan Ki Thi Pukar Kar Chuka Jab Dhayr Marhab Ko Shahe Duldul Sawaar Aa Rahi Thi Ye Sada Dewaar O Dar Se Baar Baar Shaahe Mardan Shere Yazdan ... La Fata Illah Ali ... Jis Tarha Koi Khuda E Paak Se Bad Kar Nahi Jis Tarha Koi Rasool Allah Ka Hamsar Nahi Ek Hai Dunya May Hyder Doosra Hyder Nahi Misle Hyder Ye Kisi Ki Taygh May Jauhar Nahi Ek Taraf Saari Ibadat Ek Taraf Hyder Ka Waar La Fata Illah Ali ... Juz Ali Ka Kaun Haq Ke Waaste Seena Sipar Kaun Uth'ta Tha Rasool Allah Ki Awaaz Par Kisne Qurban Kar Diya Raahe Khuda May Apna Ghar Is Haqeeqat Se Bhala Hum Kis Tarha Phere Nazar Hai Isi Awaaz Par Takbeer Ka Daar O Madaar La Fata Illah Ali ... Yaad Karlo Door Kyun Jaate Ho Kal Ki Baat Hai Jang Ke Maidan May Kaam Aaya Wo Kiski Zaat Hai Mehre Hairat Muttaqil Lashkar Pe Kayenat Hai Haq O Nusrat Aaj Bhi Naam E Ali Ke Saath H...

Ye Hyder Ka Janaza Hai (Sajjad & Mesum Zaidi)

Wasi E Mustafa Ka Kul Ke Maula Ka Janaza Hai Amaama Jiska Khoon May Bhar Gaya Uska Janaza Hai Ye Hyder Ka Janaza Hai Janaze Se Lipat Kar Betiyan Behaal Hoti Hai Tadap Kar Zainab O Kulsoom Ka Rona Batata Hai Ye Hyder Ka Janaza Hai Wasi E Mustafa Ka ... Qayamat Dha Rahi Hai Aaj Tak Uneeswi Ramzan Jo Ab Har Saal Hi Ekeeswi Ramzan Ko Uth'ta Hai Ye Hyder Ka Janaza Hai Wasi E Mustafa Ka ... Uthaate Hai Na Jaane Kis Tarha Baba Ki Mayyat Ko Ghamon Ki Raah Par Ye Sarwar O Shabbar Ka Nauha Hai Ye Hyder Ka Janaza Hai Wasi E Mustafa Ka ... Ali Ka Khoone Na-Haq Keh Raha Hai Daastan Gham Ki Jo Barpa Hai Zamane Bhar May Wo Matam Ye Kehta Hai Ye Hyder Ka Janaza Hai Wasi E Mustafa Ka ... Yehi Ghul Hai Yateemon Ka Sahara Uth Gaya Haye Ye Dooba Gham May Har Majboor Ka Bekas Ka Chehra Hai Ye Hyder Ka Janaza Hai Wasi E Mustafa Ka ... Julooson May Uthaate Hai Jo Hum Taboot Hyder Ka Hamari Aankh Se Phir Ashke Gham Ye Kehke Behta Hai Ye Hyder Ka Janaza Hai Wasi E Mustafa Ka ... Hai Turbat Fatema Zahra Ki ...

Hai Qatl Hua Haye Namazi (Mir Arif Ali)

Ek Shor Utha Haye Namazi Hai Qatl Hua Haye Namazi Ye Shere Khuda Nafse Khuda Nafse Nabi Hai Ye Ilm Ibadat May Shuja'at May Dhani Hai Ahmad Ka Biradar Hai Ye Khaaliq Ka Wali Hai Kaunain May Sab Ke Liye Bas Ek Ali Hai Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali Ahmed Ka Madadgaar Hai Imran Ka Jaani Ye Ilm Ka Darya Hai Badi Jiski Giraani Ab Tak Na Hua Iska Koi Dunya May Saani Kardega Ishaare Se Wo Pathar Ko Bhi Pani Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali Ramzan May Sitamgar Ne Namazi Ko Hai Maara Talwaar Lagi Farq Pe Aur Wo Hai Do Paara Allah Ka Ghar Surkh Hua Khoon Se Saara Hilne Laga Is Gham Se Har Ek Arsh Ka Taara Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali Kehne Lage Sar Thaam Ke Ye Hyder E Safdar Fuzto Be Rabbe Kaaba Mere Maalik O Daawar Hasnain Ali Ko Jo Utha Le Ke Gaye Ghar Sar Peet'ti Thi Zainab O Kulsoom Tadap Kar Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali Hyder Ki Badalne Lagi Kuch Is Tarha Haalat Us Waqt Bula Kar Kiya Bachon Se Wasiyat Deen Ke Liye Sehna Hai Tumhe Ranj O Musibat ...

Haye Ali Qatl Hogaye

Haye Ali Qatl Hogaye Jibreel De Rahe Thay Nida Ke Ghazab Hua Hyder Ko Qatl Qanaye Khaaliq May Kar Diya Haye Ali Qatl ... Shehzadiyo Ne Jyon Hi Suni Gham Ki Ye Sada Betaab Hoke Royi Aur Hasnain Se Kaha Masjid May Jaake Dekho Zara Kya Hai Maajra Ye Kaun Keh Raha Hai Hue Qatl Murtaza Haye Ali Qatl ... Zarbe Layeen Se Hogaya Jis Dam Do Para Sar Us Dam Alam Se Hilte Thay Masjid Ke Baam O Dar Mehraab Aur Musalla Hua Saara Khoon May Tar Kaampa Falak To Zalzala Aaya Zameen Par Haye Ali Qatl ... Daude Ye Sunte Hi Suye Masjid Hassan Hussain Dekha Namazi Karte Hai Naale Ba Shor O Shain Apne Lahoo May Laut'te Hai Shaahe Mashraqain Paaya Pidar Ko Aise Kiye Dono Ne Ye Bain Haye Ali Qatl ... Dekha Namaziyo Ne Jo Beton Ko Hat Gaye Hasnain Bad Ke Apne Pidar Se Lipat Gaye Naale Kiye Wo Sunke Jigar Gham Se Phat Gaye Riqqat Se Doston Ke Kaleje Ulat Gaye Haye Ali Qatl ... Yan Ho Rahi Thi Seena Zani Naala-O-Buka Aayi Kahin Khareeb Se Fizza Ki Ye Sada Zehra Ki Betiyon Ko Nahi Yaara Zabt Ka Bechain Hai Wo...

Hogaye Zainab Se Khafa Ay Mere Baba

Hogaye Zainab Se Khafa Ay Mere Baba Kya Beti Se Pyari Thi Khaza Ay Mere Baba Ghar Mera Veraan Kiya Ay Mere Baba Karti Hoo Aah O Buka Ay Mere Baba Zulm Ye Kaisa Hua Ay Mere Baba Sunte Nahi Meri Sada Kisko Pukaru Saaya Hai Mere Sar Se Utha Kisko Pukaru Ay Mere Baba Ay Mere Baba Zarb Ye Kaisi Lagi Ay Mere Baba Kaun Tha Aisa Shakhi Ay Mere Baba Zulm Ki Hadh Ho Gayi Ay Mere Baba Rote Hai Hasnain Zara Ankhein To Kholo Dil Gham Hai Bechain Zara Ankhein To Kholo Ay Mere Baba Ay Mere Baba Kaisi Hai Gham Ki Sahar Ay Mere Baba Phat'ta Hai Mera Jigar Ay Mere Baba Aap Ko Yun Dekh Kar Ay Mere Baba Chalte Hai Kanjar Mere Seene Pe Alam Ke Taqdeer Ne Dikhlaye Ye Din Kaise Sitam Ke Ay Mere Baba Ay Mere Baba Aankh Se Aansu Rawan Ay Mere Baba Seeno Se Utha Dhuwan Ay Mere Baba Dard Ki Chingariyan Ay Mere Baba Ay Bine Muljim Ye Bata Tukhjo Mila Kya Tune Lahoo Kis Liye Hyder Ka Bahaya Ay Mere Baba Ay Mere Baba Qatl Namazi Huwa Ay Mere Baba Arsh Se Aayi Sada Ay Mere Baba Hogaya Mehshar Bapa Ay Mere Baba R...